QUOTE
Hmmmmmmmm I don’t c in real………as I saw on net……..i recall something in my mind:
How idolship started???
Hazrat Saleh a.s Say logon nay kaha k aap pather say oonthni peda karain jo foran bacha day to hum aap ko nabi maan lain gay…….Allah nay apnay nabi ki dua suni aur poori ker di….is k bawajood bohat kum log iman laye baher haal nabi nay farmaya k is oonthni ko kuch na kehna q k yeh Allah ki oonthni hay……nahin to tum per Allah ka azab aye ga………kuch arsay baad logon nay usay tang karna shuru ker dia………yahan tak k usay mar dia……….us ka bacha usi pather main wapas chala gaya………
Us qom per azab aya aur jo MOMANEEN thay unhon nay is ghalti per rona shuru ker dia…….kuch arsay k baad shetan bazurg ki shakal main MOMANEEN k paas aya aur kaha k jis ki yaad main tum log ro rahay ho to kisi ko kesay pata chalay ga??? Tum logon ko main nishani bna deta hoon phir rona…….us nay matti ka ek toda lia aur kaha ab is k samnay beth ker apnay gunahon ki maafi mango…….kuch arsay k baad logon nay wahan phal aur deeger cheezain rakhna shuru ker din……..phir kuch arsay k baaad logon nay wahan per duain mangna shuru ker din………kuch arsay k baad logon nay socha k hum dua mangnay yahan jo aatay hain to aisa hi ek boot gher lay jatay hain…….gher main bhi barkat ho gi………..bus isi tarhan say buto’n ki parastish shuru hui…………..
Ab log keh rahay hain k yeh Nalain Pak hain…….hamaray Plant per ek worker nay to yahan tak kaha k chand per Hazrat Muhammad (s.a.w) ka image dekha gaya hay????
Mujhay to in tasveeron main aisi koi baat nahin lagi………….
ager kisi maan say poochain to us ko chand main apnay bachay ki hi shakal nazer aye gi………
in dhabbon ko apni marzi ka image dena her insan ki psyche hay………..Aaj ki nasal in ki copies kara ker bant rahi hay……….lakin aap k aaj k yeh dhabbay anay wali nasalain kis tarhan perceive karain gi……….zara sochiye………
baat yaqeen ki hoti hai SHAM 99 apko jo laga ,ap ne jo suna kah diya
jis ne dekhna tha dekh b liye
lakin remember one thing
agr apko ap k dream main koi aa kar ye khabar day jab k ap is se bekhabar ho tu apko wo nazar aa jaye tub b kya ap is pe believe nahi karo gay
well main apko batati chalon k ye sab haqeeqatun hai ...................... aur insaan jis b baat pe yaqeen kray wesay hota hai....................jis ko jis se MUHABBAT hoti hai wo us ki hr cheeeez se muhabbat karta hai aur usay wo sab kuch nazar aata hai jo aik aam insaan ko nazar nahi aata hota
kabhi yaqeen ka daman thaam k dekhiye ga wo b milay ga jo ap ki fahm.o.farasat se bala tar ho ga