Us ne doctor se iltija ki k wo foran us k sath chale
Doctor sahab apna bag le kar us k saath chal paday
Wo shakhs doctor ko apni biwi k pass le gaya jo behosh padi thi
Doctor ne us se kaha k wo room se bahar chala jaye
Thodi dair baad doctor ne aa kar kaha
"Tumharay pas paichkas hai??"
Us shakhas nay la kar de dya jisay le kar doctor room main chala gaya
Thori dair baad wo phir wapis aaya
"Hathoda hai to le aao..."
Wo shakhas le aaya
Chand minton baad doctor nay dubara bahir aa kar kaha
"knife ho gi to zara la do... "
Wo shakhs pareshan ho chuka tha bola
"Khuda k liye doctor sahab! mujhay itna to bata dein k meri biwi ko hua kya hai???"
Doctor ne maathay per aye huway paseenay ko khushk kartay huway kaha
"Ye bhi bata doon ga... pehlay mera bag tou khul jaye"