bhai merh ilm main tu yeh hai keh pakistan kay ghair muqalid(eh lay hadis..naam nihad) tu dawa karteh hain keh saudia kay ulama oun kay hum mahzahb hain
sunny_prince2020
Mar 24 2008, 11:27 PM
QUOTE(*RAJA* @ Mar 24 2008, 10:16 AM) [snapback]2788081[/snapback]
bhai merh ilm main tu yeh hai keh pakistan kay ghair muqalid(eh lay hadis..naam nihad) tu dawa karteh hain keh saudia kay ulama oun kay hum mahzahb hain
ji wo sirf dawa hi hai or kuch nai
saima56
Mar 25 2008, 09:22 AM
QUOTE(*RAJA* @ Mar 24 2008, 10:16 PM) [snapback]2788081[/snapback]
bhai merh ilm main tu yeh hai keh pakistan kay ghair muqalid(eh lay hadis..naam nihad) tu dawa karteh hain keh saudia kay ulama oun kay hum mahzahb hain
mai chah rahi thi ka koi sahi banda iss post mai ayaa, kyunka talaq ki doosri post mai kissi ko koi jawab nahi mila isse lia naye post shuru ki gaye aur Quran w Ahadees ki baje saudi ulma ka fatwa(jo ragoni shab na apni kitab mai paish kia) woo paste kia. pehli baat ka saudi ulma bhi Quran w Sunnat ka khilaaf koi baat karain ga to woo qabil-e-muzammat hoogi..
Laken laken laken mai saudi ulma ki dil sa qadar karti hoon, woo pakistani ulma(iss mai sab shamil hain) jaisa nahi, unn mai apas mai ikhtalaaf bhi hoota hai to woo apas mai kufur kufur nahi kehlta balka ikhtlaaf khanda paishani sa kia jata hai. balka aap yeh kahain ka mai ne bhut si cheezain saudi ulma sa hi sekhin too ghalat nahi hoga jaisa nasir ud din albahi ra , sheikh ibn-e-baaz ra, shaikh salah utamyaam ra etc. unn ki kutub na hi dimagh ko kushada kia.
now comming to the post, yeh post mai pehla din jab post hui tab hi ura sakti thi magar mai na soocha ka raja bhai ayeen to reply karoon gi kyunka pichli post mai mere aap sa hi baat hoo rahi thi. Yeh Rangooni shab na tarjuma kia hai aur ilmi khiynaat ka ajeeb waqiaa hai, iss commitee mai 5 ulmaa na ikhtlaaf kar ka apna alag fatwa likha yani iss masla mai ikhtlaaf maujood hai (jiss ko aap nahi manta). aur woo 5 jaid ulma tha jinn mai shaikh ibn-e-baaz ra bhi shamil tha joo mufti azam saudi arabia tha. mulahiza hoo
now sirf ibn-e-baaz koi rauye hi mai paish kar doo to ragoni shab ki ilmi khiyanaat waza hoojaye gi..
yeh hi haal hoota hai baghair tehkeek kia kissi cheez ko paste karna. before posting any thing first do a complete research.agar aap kahin to mai saudi website sa different fatwa jaat bhi paste karsakti hoon , waisa raja bhai tafseer-e-usami ka haal aap ko yaad nahi jo saudia mai hua
abb mujhe maloom hai ka koi jawab nahi mila ga too fatwa lagaye jayen aur mai ne kyunka saudi ulma ki tareef ki hai to unn ka khilaf fatwaat ka bazaar garam kia jaye ga too aap ka kaam bhi mai hi kar dai too taka aap ko zehmaat na hoo.aap hi ka ulma ki zabani
sunny_prince2020
Mar 28 2008, 02:23 AM
sirf itna kahon ga k jin kitaboon k hawalaey ap nay diye hain un k scan pages bhi day dain inshaALLAH phir baat kartey hain mujey umeed hai ap scan pages post kar dain gi