yeh humaray sath hi kiyun hota hay
hum nay aakhir kya bigarra hay kisi ka
iss bijli nay to jeena haram kar kay rakh diya hay
kaisi zindagi hay yeh ............kaisa mulk hay yeh jahan aik qaum nahin ban saki aaj tak
agar aik qaum ban jati to aik dam bananay par kuch %^&%*& logon ki waja say masla na hota
ghee, oil 140/ litre , aata itna mehenga, petrol itna mehnga aur abhi 10 Rs aur barhay ga
awam to chakki mein gandum ki tarah peesay ja rahay hain
yeh saray ameer kabeer wazeer ...&*%#^&%#&*^#*&^#*& qisam kay log
in ko ehsas hi nahin awam ka $&^&%&*%*&%
jo iss mulk ko chaur detay hain woh bohat acha kartay hain ........kam az kam iss azab say to nikaltay hain
masla hum jaison ka hay jo yahan zindagi guzarnay par majboor hain