sabit huwa kay insan kabhi khush nahin hota :P
jab bacha hota hay to sochta hay barra ho kar yeh karon ga woh karon ga ....jab barra ho jata hay to sochta hay phir say bacha ban jaon
jab student hota hay to kehta hay kitni museebat hay parrhna .........jab professional life mein jata hay to kehta hay kay wohi zamana acha tha
jab ghar mein hota hay to ghar walon say larai karta hay aur sochta hay kisi aur sheher chala jaon .....jab ghar say duur jana parrta hay to sochta hay ghar mein hi acha tha
jo PK mein hain sochtay hain bahar chalay jayein aur jo bahar hain sochtay hain wapas aa jayein

bilkul 100% sach kaha keh insan khabhi bhi kishi bhi halat main khush nahi hota...