Help - Search - Members - Calendar
Full Version: Eid Milaad A Deep Look..
HulChul.NET > Religions > Islam
Gambler1

Gambler1
Gambler1
Gambler1
ravaila
mehfil.e.milaad main koi gunnah ka kaam nahi hota
sab sawaab ka kaam hota hai
khana khilaana b sawaab hai aur naats parhna b
rani aapi
QUOTE(ravaila @ Mar 29 2008, 04:54 PM) [snapback]2796503[/snapback]
mehfil.e.milaad main koi gunnah ka kaam nahi hota
sab sawaab ka kaam hota hai
khana khilaana b sawaab hai aur naats parhna b

well answered 1-kahani.gif ok.gif
Gambler1
QUOTE(ravaila @ Mar 29 2008, 04:54 PM) [snapback]2796503[/snapback]
mehfil.e.milaad main koi gunnah ka kaam nahi hota
sab sawaab ka kaam hota hai
khana khilaana b sawaab hai aur naats parhna b



O ho, Ravaila phir tu Sahaba(rz) es sawab Say mehroom hogayy Naaozubilah Kiuon k unsay tu eski humko koe Riwayat nahi milti ????
Sham_99
QUOTE(ravaila @ Mar 29 2008, 11:54 AM) [snapback]2796503[/snapback]
mehfil.e.milaad main koi gunnah ka kaam nahi hota
sab sawaab ka kaam hota hai
khana khilaana b sawaab hai aur naats parhna b


gunnah wali baat nahin hay dear .........kehnay ka maqsad yeh hay k KOI KHAAS DIN MAKHSOOS karna, bay ja ki namood o numaish aur sub say barh ker ager inhin baton ko mad e nazer rakhtay huay koi na aye to us per KUFR ka fatwa lagana yeh bohat ghalat baat hay.......wesay Allah tala hi behter janta hay

Dash|ng^^Pr|nc3^^
kia yaar

wohi larai
*DhanaK*
QUOTE(rani aapi @ Apr 2 2008, 09:00 PM) [snapback]2803388[/snapback]
well answered 1-kahani.gif ok.gif


yes it is a good answer
Gambler1
Dashing bhai koe nahi lar raha dont worry bro...


mera tu in logoon say etna sawal hai k yeh Sawab ka kam hai Tu Sahaba(rz) tu essay mehroom rehgay Naozubillah kiuon k unsay tu humay koe riwayat nahi milti es kam ki ??

yeh tu sara sir Biddat hai ..
raat ki rani
QUOTE(Gambler1 @ Apr 7 2008, 09:05 PM) [snapback]2809382[/snapback]
Dashing bhai koe nahi lar raha dont worry bro...
mera tu in logoon say etna sawal hai k yeh Sawab ka kam hai Tu Sahaba(rz) tu essay mehroom rehgay Naozubillah kiuon k unsay tu humay koe riwayat nahi milti es kam ki ??

yeh tu sara sir Biddat hai ..


hmm is bat ka koi jawab nhi dey ga
Sham_99
QUOTE(Gambler1 @ Apr 7 2008, 08:05 PM) [snapback]2809382[/snapback]
Dashing bhai koe nahi lar raha dont worry bro...


mera tu in logoon say etna sawal hai k yeh Sawab ka kam hai Tu Sahaba(rz) tu essay mehroom rehgay Naozubillah kiuon k unsay tu humay koe riwayat nahi milti es kam ki ??

yeh tu sara sir Biddat hai ..


gud.gif AGREED gud.gif
musfera
I agree with sham 99, naat parhna koi gunah nai hai but us ko aek rasam bana dena aur na parhne walon pe kufr ka fitwa lagana ghalat hai.
Kashif
main kisi say behes nahin karna chahta kiyune sab ko apni soch kay mutabiq amal karnay ka haq hay albata kuch baton ki wazahat zaroor karon ga

kuch aitraazaat bilkul illogical qisam kay kiyay gayay hain maslan 12 Rabi-ul-Awal ka din "muqarar" karna
pehli baat to yeh hay kay Naat sharif aur milad sharif ki mehfilein sara saal hi hoti rehti hain.......Rabi-ul-Awal mein ziada ehatmam iss liyay kiya jata hay kiyunke yeh HAZOOR PAK (SAW) ki dunya mein aamad ka mahina hay .....ab 12 tareekh ka sawal hay to yeh bilkul ajeeb si baat hay .......14 August ko har saal hum yaum -e- azadi manatay hain, kya humein har saal din badal kar yaum e- azadi manana chahiyay ?
jo din, jo tareekh jis baat say mansoob hoti hay ussi din us hawalay say koi kaam kiya jayay ga ya kisi aur din kiya jayay ga ?
12 Rabi-ul-Awal HAZOOR PAK (SAW) ki dunya mein aamad ka din hay to ussi din tamam musalman ko khushi ho gi aur woh meelad waghaira ka ehatmam karein gay ya har saal din badal badal kar kiya karein ?

doosri baat israaf ki ki gayee to HAZOOR PAK (SAW) kay naam par koi musalman jo kharch kar raha hay woh us ka jazba hay usay israaf kehnay walay aap log kon hotay hain ........apnay betay/ beti ki shadi par bhi log kai lakh ka khana khila detay hain dosron ko .......to iss din agar kharcha kartay hain to woh to achi baat hay.......aur iss mein aik aur baat bhi hay kay israaf ki had har banday ki hasiat kay mutabiq mukhtalif hoti hay .......10000 ki amdani walay kay liyay jo cheez israaf mein aati hay , 100,000 ki amdani walay kay liyay wo normal si cheez hogi

haan jahan tak laud speaker ki baat hay to us kay istamal mein logon ka khyal bhi rakhna chahiyay

aakhri baat yeh kay HAZOOR PAK(SAW) ki dunya mein aamad ki khushi aasmanon par bhi manai gayee thi aur yeh tamam ehl-e-iman kay liyay khushi ka din hota hay ..........albata us din Iblees aur us kay chelay khush nahin thay aur na yeh din dunya kay kufaar kay liyay khushi ka baa'es tha (remember Qaiser o Kisra ).........main hargiz kisi musalman ko kafir nahin keh raha .........sirf aik tareekhi haqeeqat bata raha hon
This is a "lo-fi" version of our main content. To view the full version with more information, formatting and images, please click here.
Invision Power Board © 2001-2008 Invision Power Services, Inc.