degree centigrade aur degree Fahrenheit ka to sab ko pata hai k temperature k different scales haiN. aik say doosray maiN convert karna bhi sab hi ko aataa hoga. formula bhi sab hi ko aataa hoga. aap nay batana yeh hai k woh kaun sa temperature value hai jissay deg F say deg C maiN convert kia jaye to bhi same hi rahta hai. yani woh kaun saa temperature value hai jo donouN scales maiN same hai.
yeh sawaal jab mujh say poocha gaya thaa to maiN nay 1 mint maiN batla dia tha aur jab yehi sawaal maiN nay kissi aur say poocha to oss nay bhi 1 mint k ander hi batla dia tha. magar hum dounouN nay 2 alag alag method use kiyeh thay matloobah number jannay k liyeh. hum dounouN ko pahlay say yeh maloom nah thaa.
aap ko agar pahlay say maloom nahi to bhi above 2 methods use karkay easily maloom karsaktay haiN.