QUOTE(Abu Adnan @ Mar 28 2008, 10:48 AM)

ghum aur shock maiN zameen aasman ka faraq hai.... shock maiN nervous sytem effected hota hai jo neend ki soorat maiN relax hojata hai. fari, achanak, unexpected ghum /dukh say insaan ko jo shock lagta hai, saktah tari hota hai, aasaabi nizaam bigaR jata hai, woh khul kar ronay say bhi aur gahri neend say bhi normal hojata hai.
jabkay ghum aur dukh ki age to baRi taweel bhi hosakti hai aur basa auqaat to taa danmay marg baqi rahti hai. yeh zati ghum bhi hosakta hai, khandani bhi, mulki o qaumi bhi aur milli o deeni bhi.... last ki misaal 'ghamay hussain' say bhi dee jasakti hai. moharram aatay hi lakhouN nahi kaRoRouN mosalman iss ghum say bar bar dochaar hotay haiN.
yeh zaroori nahi k har baRay adeeb /likhari ki har baat durust aur bari ho. onki barayee yeh hoti hai k onhouN nay aam insaan ki satah say ooper uTh kar kuch aisay baray kaam /tahreer pesh kiyeh hotay haiN, jo onhaiN nomayaaN kartti hai. sirf ambaya karam AS ki har baat mustanad hoti hai.
ab pata nahi wasif sb nay yeh baat kiss pasay manzar maiN kahi hai... mutalaqan to iss baat maiN zara bhi dam nahi. albattah iski taaweel ki jaye to kuch nah kuch matlab nikali jasakti hai. waisay writers aur phalsafi maiN bara faraq hota hai. har writer falsafi nahi hota nah hi falsafyanah bataiN karnay ka ahal hota hai... garchay kuch adeeb ki kuch bataiN falsafay par mushtamil hosakti haiN.
ab pata nahi wasif sb nay yeh baat kiss pasay manzar maiN kahi hai
!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!
good point AA bhai
ham kitabon meion deeni kitaabon mein statements mein,speeches mein ek jumlay ko lekar bhaag khaday hotay hai