baa jumlay, misray, dialogues etc etnay khoob.soorat aur pur maani hotay haiN k woh hamaray zehnouN maiN chipak jatay haiN aur hum onhaiN moqah mahal k motabiq aksar repeat kartay rahtay haiN. iss say hamaray bayaan maiN khoob.soorti, maani aur wazan paida hota hai.
lekin agar koi jumlah ya misra apnay maani ki wazahat k liyeh saahibay jumlah ki wazahatouN, seyaaq o sabaaq k bayaan ka 'mohtaaj' ho to woh iss 'qaabil' nahi hota k ossay 'golden-words' maiN shomaar kia jasakay.
sonahri aqwaal wohi hotay haiN jo 'koozay maiN samander' ki maanind houN aur apni tashreeh k liyeh kissi seyaaq o sabaq / pasay manzar k mohtaaj nah houN aur nah hi onki wazahat k liyeh saahibay jumlah ki 'azeem-ush-shan' shakhsiyat ka 'sahara lena paRay. yeh sonahri aqwaal kissi baRi shakhsiyat say mansoob houN yaa gumnaam khaliq say... yeh khud apni hasiyat manwatay haiN. chand aisay hi 'sonahri aqwaal' peshay khidmat hai. jinki wazahat ki zaroorat nahi. aap bhi aisay aqwaal share kar saktay haiN.
jo zarf k khaali hai sadaa deta hai (meer anees)
ibtedaa.ay ishq hai rota hai kia (meer taqi meer)
banaa hai shah ka masahib, phiray hai itraataa (mirza Ghalib)
jo chup rahegi zobaanay khanjer, lahoo pokaarega aasteeN ka