nice topic
aik dafa ka zikar hai.hyderbad se dooor aik gaon tha Karachi
wahan main rehta tha shehzadon ki tarha
aik din main akele tha ghar walay sab gaye huye thay restaurant
aur main nahin gaya to jatay jatay ammi ne kaha tumhare liye
thainga aayega

ghar main paray raho tum
khair mujhe bhook lagna shruu hui aur jo fridge main tha
woh main khata nahin tha
maine socha Parathan banatay hain
phir main shruu pehle aata goondha
bari mushkil se payrhay banay
phir maine usko bela to woh kuch ban gaya tha gol honay ke ilawa
phir maine bari hi mushkil se usko fry kia aur
woh kuch ban gaya Map tha kahin ka mujhe to lag raha tha
ke 3008 main dunia main aaesa koi mulk zaroor hoga
khair jee shakal pe kese ja sakta tha, khud ne jo banaya tha
to khaya baray mazay se aur itefaaq se mazay ka hi nikla
aur phir thori dair main sab aagaye
aur ammi ne kitchen dekhti hi kaha
kitchen main koi billi ghuss gai thi kia?
maine kaha "nai to"
shayad koi billa tha