QUOTE(VrSoLdIeRs @ Apr 2 2008, 01:28 AM)

aik time limit hai uskay baad posts edit nahi hoteen... kuch seconds hi hain... so agar kuch ghalati ho aap foran say edit kar dain yaad rehay "complete edit" ka button press karna
agar koi buhat bari gahalati ho kisi mod. ko bol dain
waisay yeh is forum ki aik buhat bari kamzori hai.... magar hai to hai... 
QUOTE(shafaq @ Apr 2 2008, 07:02 AM)

aur i know edit ke rights na milnay par zara problem to rehti hai,mujhh jaisay old members ko aur zyadah kyunki ek zamanay mein ham ko yeh haq haasil tha,bharpoor :(
anyway in rights ke chhin jaanay ki bhi wujoohaat hain,bas genhu ke saath ghun bhi pistay hi hain.
aisay mein apna genhu hona itna bura laga ke bas
Wo bhi kiya Din Thay

, Jab ham Jin thay
Ab ham Deo hain

, jino kay bhi Peo hain
HC ka shumar oldest forums main ho sakta hay, yahan sab option badal badal kay try ki ja chuki hain Edit ki option pehlay open thi, Misuse ki waja say "Pehlay Toolo Phir Bolo" ki policy apply honay kay baad yea mukamal close ho gaye. phir ab wapis ho gaye hay, sab kay liye. takay koi Typing mistake ho jaye to theek kar dain -lakin sirf 5 Minutes kay liye, us kay baad post Editable nahi rahay gi,