QUOTE(*RAJA* @ Apr 8 2008, 05:40 AM) [snapback]2809535[/snapback]
mazraat chat houn asal main usa main pakistani 9/11 ko 11 shareef bolteh hain 9/11 keh kar musibaat main ju pahns jateh hain
main nay oss tanazir main baat ki thi..........
rehi baat deen ko mazak binayeh ki tu.........yeh tu ALLAH swt hi janteh hain koun deen ka mzaq bina raha hai deen kay naam par tara tara ki bidaat yeh mizak nehi hai tu or kiya hai
shabha ra kay zimnayeh main quran shreef tu tha par yeh 11 shreef nehi thi...

Raja bhai 11ween walay ka sadqa mangty hongay ya 11ween wali sarkar say madad mangty hongay. unka sadqa ya madad mangty hain loag jinka paaoon tamam aalam ke walion ki gardanon par hai... Jab Sarkar-e-Baghdad Huzoor Ghous-e-Pak Syed Abdul Qadir Jilani (Razi Allah Ta'ala Anho) ko pukara jata hai too woo puhunchty hain aur maine khud is cheez ko sach paya hai.
waisy too bhai Sarkar (Sallallaho Alaihi wAsallam) ke daur mein Sarkar (Sallallaho ALaihi Wasallam) khud apna Yom-e-Wiladat manaya karty thy, Sahaba (Razi Allah Ta'ala Anhon Ajmaeen) bhi Sarkar (Sallallaho Alaihi Wasallam) ka Yom-e-Wiladat manaya karty thy, Sarkar (Sallallaho Alaihi Wasallam) ke tazkary kia karty thy naat parha karty thy.
kuch loag too iss baat ka bhi inkar karty hain, Sarkar ka Milad-e-Paak nahi manaty, naat say inkar karty hain???
rahi bid'at ki baat too Biddat-e-Hasna bhi hai deen mein.
Jab Hazrat Umar Farooq (Razi Allah Ta'ala Anho) ke daur mein Tarawion ki jamaat karwaye gaye thi too unhon ne mana nahi kiya unhon ne kaha tha ke "Yeh Ek Achi Bidd'at hai" Bukhari Shareef mein hai yeh. Aur yeh too poori duniya mein maana jaata hai. Saudia Arab yaha waha sab mein Tarawian jamaat ke sath parhaye jati hain.
Gayarvee Shareef bhi ek Bidd'ate Hasna hi hai.. Eesale Sawab hai... Duae khair hoti hai Sarkar-e-Baghdad ki Seerat bayan ki jaati hai. Aur jo kuch parha suna jata hai uska Sawab Eesaal kia jata hai. Aur Eesale Sawab ka inkar bhi nahi kia ja sakta.
Agar Eesale Sawab ko ghalat ya Bidd'dat kaha jaye too phir app apne waledain ki wafat ke baad unke liye bhi dua nahi kar sakty aisy hi bass Qabar mein dakhil howay usske baad bass woo janein aur Rab jany. ???????????????