Help - Search - Members - Calendar
Full Version: Kabhie Kabhie Yun Bhi ... Scene 31
HulChul.NET > Masti - Masti > Female Gossip
Airy_Princess






Stars In The Scene

M.Kashif Nisar As Ouliyaa Siraj
Uncertainty As Manaab Mir
Irrational Methane As Salman
Princess of Self As Zartasha
Nemo As Naumana
Nomi As Raad
Dark Angel As Nisha
Humzaad As Abid
Aminah As Nayaab
Desi Rani As Amber
Daigo as Taimor






Manaab: tou aesa kya hua tha ... abb tou yeh diary start se perhni paraygi yeh walee bhi na ...

[Manaab diary perhnay lagti hai ... neechay hall main ali zafar ajata hai aur music start hota hai]

Music Interval

[Ali zafar ghar k lawn main banay chotey se stage par gana gaane k lye set ho kar khara ho jata hai ... music start hota hai ... sab log clapping karna start kar detay hain... Nayaab party main aati hai aur uski nigahien manaab ko mustaqil talash kar rahi hoti hain ... song start hota hai]

hey Masty kay din hain chalo jhomien aur gaein hum
saarey ju mil jaein tou bolo phir kya ho gham

[nayaab ko dekh kar abid uski tarf berhta hai par woh usko dekh kar rounay lagti hai ... baki sab couples songs ko enjoy kar rahy hote hain]

mohabbat jaan mange kabhie inkar na ho
humari jeet main bhi kisi ki haar na ho

[Ouliyaa gaanay k alfaz khud k lye mehsoos karty lawn main khara apne room ki taraf dekhta hai woh manaab k aanay ka intezar kar raha hota hai]

Arey ... saare zamane main ik hum main ik tum main dumm

[salman ... zartasha ko muskura kar dekhta hai aur taimoor ... amber ko]

Music interval

[Manaab hairangi se diary perh rahi hoti hai ... uski ankhon se ansoo tapak rahe hote hain ... party main abid ... nayaab se kehta hai]

Abid: Bia kya ho gya hai tumko ...
Nayaab: mera pyar ... meri pasand ... tum kitne ghalt insan ho abid ... tum ne meri roh ko hurt kia hai ... pyar ye tou nahi ... tum ne ...

[Music ends ... lyrics ...]

hum chaley tou zameen ghoomien...
hum rukien aasman doobey ...

[amber aur taimor song ko enjoy karty hain aur amber buht zyada hans rahi hoti hai usko hansta dekh taimor buht khush hota hai]

bolo tou channd ko cholien
[Raad chaand ki tarf ishara kar k kehta hai k ajj nemo uss se bhi zyada achi lag rahi hai ... woh muskura deti hai]

de sada tou jahan jhumay
[Amna bhi apni behan ko dekh kar buht khush hoti hai ... ali stage se utar kar sab se haath milaata hai singing karte huye... manaab lawn main aati hai ansoo saaf karte huye ... diary uss k haath main hoti hai ... Ouliyaa manaab ko dekh kar us kay pass jata hai aur khud bhi gana gaane lagta hai]


Ouliyaa: o sun le yar ye tera pyar kare hain zinda mujhey harr barr

[manaab hairangi se usey dekh rahi hoti hai ... aur ouliyaa buht khush hota hai ... ali zafar bhi unko join karta hai aur song gane lagta hai]


Hey Masty kay din hain chalo jhomien aur gaein hum ... saarey ju mil jaein tou bolo phir kya ho gham

Music Interval

[nayaab manaab ko dekh kar uss k pass janay lagti hai par wahan rush berh jata hai ... aur abid nayaab ka haath pakar leta hai...sarey couples bhi njoy karne lagte hain song]

Taimor: tum ne hum mein woh kya dekha ... dekh k jisko dil phainka ... [amber k gird apni bahien dalta hai... woh khush ho jati hai]

Raad: tum ne hum main woh kya jana ... jaan k ju humien mana [nemo ki tarf dekh kar muskurata hai ...]

Ouliyaa: o khoulo na ye afsana ...karo beyaan ho kyun pareeshan [ouliyaa manaab k cheray ko pyar se apne hathon main le kar kehta hai]

[sab song enjoy karne lagte hai sivaye Manaab kay]

hey Masty kay din hain chalo jhomien aur gaein hum ... saarey ju mil jaein tou bolo phir kya ho gham

[sab log enjoy kar rahe hoty hain tou manaab ka cell phone bajta hai woh ouliyaa ka hath chor kar ... ouliyaa usko hairangi se dekhtne lagta hai]


Manaab: Hello ... Hello ... bolo ... kon ... [bharai hui awaz main pochti hai ... usko mehfil main ye ehsaas hota hai jesy k woh bilkul akeli hai] Bolo na ...

stranger: Ma'am apko meri awaz nahi arahi??? apko meri awaz nahi arahi ...

Manaab: Nahi ... kon ho???
the other person: Ma'am Main shifa International se baat kar raha hon apki behan ko ...
Manaab: Kya hua unhien???
the other person: woh thekk ho gayi hain ... unko hosh agya hai ...
Manaab: Kya ??? sachi ???
The other person: Ma'am app jald se jald idhar aaien ...

[manaab foran wahan se bina bataye ouliyaa ko chali jati hai hospital ... ouliyaa manaab ko jate huye dekh leta hai ... areesha aur anfaal ... ouliyaa k sath hi hote hain .. woh manaab k mobile par call karta hai par manaab taxi main beth kar usko call cut kar deti hai .. woh karta rehta hai par manaab koi response na denay k lye mobile off kar deti hai ... ouliyaa pareshan ho jata hai]

Manaab: I am Manaab ...
Nurse: Ma'am plz ... aaien app ...[manaab room main enter hoti hai wahan rubaab ko hosh agya hota hai woh manaab ko dekh kar apni kamzoor awaz main bolti hai]
Rubaab: M m m m A aa aA n n n N o o o
Manaab: bajo app thek ho na ... bajo app ... [manaab k ansoo rubaab k galon par girte hain]
Rubaab: wo ... [kuch kehna chahti hai]
Manaab: Kya Bajo ???
Rubaab: M a n o ... [us k hont khushk hote hain aur woh bol nahi paa rahi hotien]
Manaab: Doc can I give her water?
Doc: well ... just a table spoon ...
Manaab: Thanks Doc.
[manaab rubaab ko pani pilati hai]
Manaab: Doc kya main apni behan se kuch poch sakti hon??? kya main unn se baat kar sakti hon???
Doc: Yeah sure ... par plz ... zyada nahi inhe abhi hosh aya hai aik arse kay baad so ...[doctor room se chala jata hai ... manaab room main akeli hoti hai rubaab k sath]
Manaab: Bajo aik baat sach sach batao bajo plz ...
Rubaab: K .. .Kya???
Manaab: Bajo main janti hon [route huye ... behan ka haath pakarti hai] Bajo apne dekha tha k uss wat apka accident jis car se hua woh kis ki thi ... uss main kon baitha tha ... Bajo woh kaun tha ... B ... a .. j .... O ... [manaab se lafz sah ise adaa nahi ho rahe hote] uska driver kon tha?
Rubaab: Main ... nahi janti mano
Manaab: app jante ho bajo ... app jante ho bajo ... plz ... plzz
Rubaab: Ouliyaa ... tera walee mano
[manaab roune lagti hai aur behan ko hug kar k bolti hai route huye]

Manaab: Maire saath hi kyun bajo ... meray saath hi kyun ??? mujh main sab himmat khatam ho chuki hai ....

[rubaab manaab ko chup karvane ki koshish karti hai par woh rouye ja rahi hoti hai k achanak doctor ataa hai]
DOc: plz dont disturb other patients ... and please leave her ... najane kyun itnay emotional ho jaty hain log

[Nurse akar rubaab ko injection lagati hai aur manaab sab se apne ansoo saaf kar k bahar chali jati hai aur taxi main akar baithti hai aur roune lag parti hai .... manaab anfaal aur areesha ko ouliyaa k ghar se lenay aur uss se milne wahan jati hai]

[party khatam ho gayi hoti hai sab ja chuke hotey hain ... ouliyaa manaab ko dekh kar muskurata hai par woh koi jawab nahi deti ]

Ouliyaa: kahan chali gayi thi tum jaan?
Manaab: anfaal ... areesha chalo apne ghar [dant kar bulati hai tou bache seham jaate hain]
Areesha: mama woh yeh dekhien ouliyaa uncle ne kitna acha ...
Manaab: chup ... wapis karo ye sab [aur khilona wapis ouliyaa ko kar deti hai]
Ouliyaa: Ruko manaab hua kya hai?
Manaab: abb kuch baki nahi bacha ... walee ... apne ... [aur diary ouliyaa k haath main de deti hai ... ouliyaa hairan ho jata hai]
Manaab: tum ... Tum walee ... tum ...
Ouliyaa: Manaab listen to me ... please Listen to me ... [manaab ouliyaa ki baat nahi sunti aur chali jati hai]



To Be cOntInuEd




Airy_Princess


Salam Pakistan

Its All about the Young "wE"


Rohan: Huraira my love ... Happy Birthday to you ... [huraira ko aik pyara sa wrapped hua gift deta hai]
Huraira: Ohh my sonu ... I love u ... 2 ... 3. .. 4 .. .5 jan ...lemme c ... [aur gift bina dekhay side par rakh deti hai]
Rohan: U dont want to open it?
Huraira: Why Should I? haan...
Rohan: I love u Huraira ... n its token of my love ... its ...
Huraira: Okay ... stop getting e-motion-nal ... [aur buray se style main gift khoulti hai]
Huraira: awwwww janu so cute itni achi bangles main ne kabhie nahi dekhien
Rohan: But why I am feeling...that u dont like it...[pyar main shamil bebaasi se usko dekhta hai]
Huraira: C ... ajj na mujhey shaheer ne na buht hi pyara gift dia hai
Rohan: woh tumhare lye mujhse zyada important hai?
Huraira: he is just my friend... tum itne pocessive kyun ho?
Rohan: Listen to me ... I am ur Love ... I love you damm it ...
Huraira: then prove urself ... prove it ... what can u do for me??? can u give me loads n loads of pics
Rohan: Whose??? kiski??? aur tumhien kya karni hain?
Huraira: Quaid-e-azam ki [apne baal style se pechay karti hai]
Rohan: means ...
Huraira: means what???
Rohan: I didnt get u ... main samjha nahi tumhari baat ko
Huraira: M talking about Money baby ... prove ur love ... akhir tum ne kia hai hi kya meray liye???




Rijja: kesy hou ??? [phone par baat karte huye apne honay walay hubby se]
Ammar: I am so much busy Riju ... kaha tha tumse ... phone matt kia karo har waqt main busy hota hon
Rijja: I am ur wife
Ammar: abhi hui tou nahi hou ...
Rijja: ho jaongi .. aesa kyun keh rahe ho ... humara nikkah hua va hai
Ammar: listen main ajj koi senti batien nahi sun sakta tumhari ... mujhey buhat zukaam hai ...
Rijja: O meray naali cho...chou meray sweetou ko kya hua?
Ammar: Shut up Rijja... yeh hai tumhara pyar??? hell with u ... tumhien itni bhi tameez nahi k apne husband se kesay baat karte hain
Rijja: abhi hue nahi ... honay wale
Ammar: I am your husband ... tameez naam ki cheez tum main zara si bhi nahi hai...
Rijja: Listen Ammar ... I am sorry ... main just mazak kar rahi thi ... kya main app se mazak b nahi kar sakti
Ammar: Go to hell ,... I am ur husband got it .... koi mazak nahi hota aaise rishte main
Rijja: I am sorry my ... [ammar phone cut kar deta hai]


Coming Soon
DEATH_ANGEL
nice
Airy_Princess
did u read it or not?
VrSoLdIeRs
hmm.... story is nice... kabhi alvida na kehna type ki n ban jaye gig.gif

waisya strange nahi cuz see pehlay teaser main it felt like keh benazir wala tha to kuch diff hoga... like politics related.... anywayss lukin forward for the next episode smile.gif
DEATH_ANGEL
ahan
Airy_Princess
QUOTE(VrSoLdIeRs @ Apr 4 2008, 12:55 AM) [snapback]2804464[/snapback]
hmm.... story is nice... kabhi alvida na kehna type ki n ban jaye gig.gif

waisya strange nahi cuz see pehlay teaser main it felt like keh benazir wala tha to kuch diff hoga... like politics related.... anywayss lukin forward for the next episode smile.gif

abb kam pora hua nahi k tum apni marna start ho gaye ... khudh kuch karte nahi dousron main nuks nikala hamesha hunh aur ager politics par mene movie likhi to buss ...
Airy_Princess
QUOTE(CHANDPATHAN @ Apr 4 2008, 12:56 AM) [snapback]2804466[/snapback]
ahan

oye ... u kya har waqt thaali k begun banay hote ho har aik ko ahan ahan
DEATH_ANGEL
app kok koi tention
Airy_Princess
mera topic hai ... aur spamming allow nahi hai
DEATH_ANGEL
ok abb n ahee hoon ga ok
dont be mad
VrSoLdIeRs
QUOTE(Airy_Princess @ Apr 4 2008, 01:38 AM) [snapback]2804513[/snapback]
abb kam pora hua nahi k tum apni marna start ho gaye ... khudh kuch karte nahi dousron main nuks nikala hamesha hunh aur ager politics par mene movie likhi to buss ...

aray baba nuks nahi nikala 1-embaressed_smile.gif suchi view diya tha :( tussi tay mind hi kar gaye
DEATH_ANGEL
mind karna ka leya mind kee zurart hotee ha janab
Forever Green
Wow sisoooooo..... clapping3.gif


I read Salaam Pakistan n its gr8888 Mara bahot achaa likha hay ....... keep it up thumbup.gif

Kabhi kabhi Yun bhi wali episode nahi parhi cuz kafi episodes miss ho gain hain but am sure achaa hi lkiha hoga
guitar.gif
Kanch k1 gur1a
again marvellous effort AP.. Salam Pakistan.. n Kabhi Kabhi Yun bhi.. dono hi bahut achay episodes hain is bar ke.. dono kahaniyon main abhi bahut sara spice hai... lets see where it goes go.gif
Kashif
sorry for being late AP poster_oops.gif
main aa gaya hon apnay reply kay sath
scene hamesha ki tarah bohat acha raha icon_peace.gif

manaab ko raaz pata chal hi gaya aakhir .............sab log song kay sath jhoom rahay thay aur manaab par kya guzar rahi thi cry.gif
laikin usay yeh pata nahin tha kay us kay Ouliya par kya guzree thi aur guzartee rahi hay

beherhaal kuch logoN ki sazishein khulnay ka waqt bhi aa gaya hay ab
dekhtay hain 2 pyar karnay walay zamanay kay hathon apna pyar kho to nahin dein gay
Uncertainty
Nice Episode... rose.gif


finally the secret is revealed. good.. story is running han//

Very nice AP ... parhtay parthay bhool hi gayi aas paas kia ho raha hai .. hehe .. .ganay ki entry fit thee... COngrats and best of luck for next .. icon_peace.gif

aur wese itna bara shock lagay to banda upset hp jata hai . but i think itna severe reaction in a long term hona nah ichahiay .. accidents to kisi se kabhi bhi ho sakta hai .. us k liay insaan ko blame kia dena ... jabkeh jaan boojh kr bhi nahi kia us ne .... mere khiyaal se Ouliya is innocent poster_oops.gif


For Salam Pakistan ...... hehehe ... esa kiun hota hai smile.gif
good doing AP ... keep it up .. love.. .take care
This is a "lo-fi" version of our main content. To view the full version with more information, formatting and images, please click here.
Invision Power Board © 2001-2008 Invision Power Services, Inc.