Help - Search - Members - Calendar
Full Version: Qabroon Ko Sajda Gah Mat Banaoo
HulChul.NET > Religions > Islam
ManPaki

ravaila
i think so aj kal k daur main sabhi jantay hain k qabar ko sajda karna jayez nahi ................sajda koi b nahi karta lakin wahan fatiha parhny zaroor jatay hain log
Gambler1
SubhanAllah Nice Sharing

Ajj Kal aysa Bohat Kuch Graveyards Main deakhnay Ko milta hai baqaeeda Qawaleyaan tak karatay hain Biddati or shirk main Doobay Hoay Nawaqif Log Allah Pak Sumhajnay Ki taufeeq ata farmayin ameen
raat ki rani
QUOTE(ravaila @ Apr 4 2008, 08:12 AM) [snapback]2805081[/snapback]
i think so aj kal k daur main sabhi jantay hain k qabar ko sajda karna jayez nahi ................sajda koi b nahi karta lakin wahan fatiha parhny zaroor jatay hain log

yeh tau ap bhi achi tarhan janti hOn gi k QabrOn per fateha k ilawa aur kia kuch hOta hai... plus qabron ko barabar karney ka hukaM hai jab k pak Mein tau jagha jagha Mazar baney hOye hain
ravaila
QUOTE

qabrain barabar hi hain sirf aik imarat uper tameer ki jati hai
ab ye hr insaan ka sochnay ka tareeqa hai k wo kis manner main un ko leta hai
raat ki rani
QUOTE(ravaila @ Apr 6 2008, 08:18 AM) [snapback]2807336[/snapback]
qabrain barabar hi hain sirf aik imarat uper tameer ki jati hai
ab ye hr insaan ka sochnay ka tareeqa hai k wo kis manner main un ko leta hai

shayad aap se Opar woh hadith miss ho gayi jis mein likha hai "hazrat Muhammad (saw) ney mamanat farma di qabron pe amarat bananey sey aur un per baithney sey"
VrSoLdIeRs
qabron par to aur bhi buhat kuch hota hai.... i hav seen trace of black magic there!!!!

Allah sub ko apnay Sehi Raastay par chalay ki taufeeq day... Ameen duas.gif
Sham_99
very nice sharing MANPAKI rose.gif
Sham_99
QUOTE(ravaila @ Apr 4 2008, 07:12 AM) [snapback]2805081[/snapback]
i think so aj kal k daur main sabhi jantay hain k qabar ko sajda karna jayez nahi ................sajda koi b nahi karta lakin wahan fatiha parhny zaroor jatay hain log

bay shak sub jantay hain is k bawajood sub hi yehi kuch ker rahay hain.....Hazrat Muhammad (s.a.w.w) nay khawateen ko qabrastan janay say mana farmaya hay......aaj tak khawateen ko JANAT UL BAQI main janay ki ijazat nahin hay.......phir khawateen mazaron per Q jati hain????

ek to khawateen ki bohaaaaaaaaaaaaat tada'd jati hay......doosray phir shirkia kaam bhi bohat karti hain.....mazaron ko choomna, jalion say dhaga bandhna......etc

aap khud btain kia kisi MAZAR ki jalion say DHAGAY bandhnay say khawahish poori ho sakti hay?????

kitni ghalat baat hay k deta to her cheez Allah tala hay...........lakin hum us ko mansoob ker detay hain k DATA NAY HAMARI JHOLI BHER DI........

Allah tala hamain seedhay rastay per chalaye, ameen duas.gif

Sham_99
QUOTE(Gambler1 @ Apr 4 2008, 10:59 AM) [snapback]2805434[/snapback]
SubhanAllah Nice Sharing

Ajj Kal aysa Bohat Kuch Graveyards Main deakhnay Ko milta hai baqaeeda Qawaleyaan tak karatay hain Biddati or shirk main Doobay Hoay Nawaqif Log Allah Pak Sumhajnay Ki taufeeq ata farmayin ameen

ameen duas.gif
Sham_99
QUOTE(ravaila @ Apr 6 2008, 07:18 AM) [snapback]2807336[/snapback]
qabrain barabar hi hain sirf aik imarat uper tameer ki jati hai
ab ye hr insaan ka sochnay ka tareeqa hai k wo kis manner main un ko leta hai

E9.gif E9.gif E9.gif

how INNOCENT u r ravaila dear E9.gif rose.gif

Sham_99
QUOTE(raat ki rani @ Apr 8 2008, 04:33 PM) [snapback]2810605[/snapback]

shayad aap se Opar woh hadith miss ho gayi jis mein likha hai "hazrat Muhammad (saw) ney mamanat farma di qabron pe amarat bananey sey aur un per baithney sey"

Exactly icon_peace.gif
Sham_99
QUOTE(VrSoLdIeRs @ Apr 8 2008, 05:22 PM) [snapback]2810645[/snapback]
qabron par to aur bhi buhat kuch hota hai.... i hav seen trace of black magic there!!!!

Allah sub ko apnay Sehi Raastay par chalay ki taufeeq day... Ameen duas.gif

Ravaila is baray main kia khial hay aap ka????

ManPaki
QUOTE(Sham_99 @ Apr 9 2008, 08:23 AM) [snapback]2810972[/snapback]
bay shak sub jantay hain is k bawajood sub hi yehi kuch ker rahay hain.....Hazrat Muhammad (s.a.w.w) nay khawateen ko qabrastan janay say mana farmaya hay......aaj tak khawateen ko JANAT UL BAQI main janay ki ijazat nahin hay.......phir khawateen mazaron per Q jati hain????

ek to khawateen ki bohaaaaaaaaaaaaat tada'd jati hay......doosray phir shirkia kaam bhi bohat karti hain.....mazaron ko choomna, jalion say dhaga bandhna......etc

aap khud btain kia kisi MAZAR ki jalion say DHAGAY bandhnay say khawahish poori ho sakti hay?????

kitni ghalat baat hay k deta to her cheez Allah tala hay...........lakin hum us ko mansoob ker detay hain k DATA NAY HAMARI JHOLI BHER DI........

Allah tala hamain seedhay rastay per chalaye, ameen duas.gif

THANKS for ur detailed reply... asal main is mozoo per ma bhi koi khaas contribution nahi karsakta due to lack of knowledge with references... but being a general public i also have seen so many things arround different Mazaaraat...

asal main dhagay bandhna ya aur kuch aisa karna... is k peechay sirf yahi baat kaar-farmaa hai k hum wohi dekhtay hain jo hum dekhna chahtay hain... jo hota hai usay hum ignore kardetay hain... koi kaam acha hai ya bura agar hum karna chahtay hain tu usi taraf ruhjaan rakhain gay jahan sy hamain is kaam k honay k baray main kuch positive nazar ataa hai...

aur yey jo Bangaali babay hain hamari isi nafsiyaati kamzoori ka faida uthatay hain aur hamaray pehlay sy kamzoor emaan main mazeed bighaar paida karrahay hain... yey tamam
shirkia kaam karnay sy hum yey nahi sochtay k hamari in harkaat o saknaat sy murday per kiya guzar rahi hogi...

Beshak Allah hi tamam hajaat ko poora karnay wala hai...
sweet_human1
Thanks for the important Info provided by U @ MAN PAKI BRO...

May God keep U safe and sound...

I was really looking forward to have such kind of info regarding the visits of Females to the graves/Graveyads...

Thanks Buddy...

&

Keep on sharing such nice posts....
musfera
very well said, jab Allah insaan ki shehrag se b zyada kareeb hai to hm aese dunyawi dhokon mein kaisay par jate hain?Allah hamein in se mehfooz rakhay aur apne imaan ki hifazat krne ki tofeeq farmaye ameen.
Malang Mast
QUOTE(ravaila @ Apr 4 2008, 12:12 PM) [snapback]2805081[/snapback]
i think so aj kal k daur main sabhi jantay hain k qabar ko sajda karna jayez nahi ................sajda koi b nahi karta lakin wahan fatiha parhny zaroor jatay hain log

g app ne sahi farmaya...

Sajda koi bhi nahi karta bass udhar ja kar Sahib-e-Mazar ke waseela say dua mangtay hain. Dua Allah say hi mangi jati hai lekin sath mein waseela Sahib-e-Mazar ka daal liya jata hai, kionke Allah ke wali ki nisbat say jab dua Allah ke paas puhunchti hai too koi qeemat hoti hai.

abb woo loag jo na manein kuch nahi kar sakty unka. Ab kisi badshah ko milna hoo too pehly ke musheeron aur wazeeron ke waseela say us badshah ke sath milny ki ijazat militi hai. Agar duniya mein wazeeron Musheeron ke waseela say Badhshah say mila jata hai. Too phir Kisi Sahib-e-Mazar ke Waseela say kisi Allah ke wali ke waseela say dua ki jaye too uss mein bhi koi buraye nahi.

Allah sab ko aasaanian ataa farmaye aur aasaanian takseem karne ka sharf bakhshy - Aameen
HulChul
Qabroo Ko Sajdah Kerna Allah Insharoo saay Bacha'ay Ham Tou Jaty Hain Per Fatahe Ky Liyay
*RAJA*
QUOTE(HulChul @ Jun 5 2008, 10:27 AM) [snapback]2904766[/snapback]
Qabroo Ko Sajdah Kerna Allah Insharoo saay Bacha'ay Ham Tou Jaty Hain Per Fatahe Ky Liyay

or wapisi par tabruk otha kay lay aaty hain 1-baatcheet.gif 1-baatcheet.gif 1-baatcheet.gif j/k
HulChul
QUOTE(*RAJA* @ Jun 4 2008, 08:45 PM) [snapback]2905424[/snapback]
or wapisi par tabruk otha kay lay aaty hain 1-baatcheet.gif 1-baatcheet.gif 1-baatcheet.gif j/k

Na Pah Jee Inty Oliya Karam Hain Jinki Islam Ky Liyay Itne Khidmat Hain Kay Ham Agher Musalman Hain Tou Sirf Aur Sirf Unhi Ke Badolat Unke Qaber Per Ja Ker Unky Liyay Magferat Ki Duwa Kerty Hain Unky Derajaat Ky Buland Honay Ki Duwa Mangty Hain Unper Qurani Ayaat Perh Perh Ker Baikhsty Hain
Malang Mast
QUOTE(*RAJA* @ Jun 5 2008, 01:45 AM) [snapback]2905424[/snapback]
or wapisi par tabruk otha kay lay aaty hain 1-baatcheet.gif 1-baatcheet.gif 1-baatcheet.gif j/k

g aisi jaghon say tabaruk le kar khana bhi bari baat hai, aur main app ko challenge deta hoon bhai ke agar app beemar hain aur andar chaati ki problem ya kuch aur androoni beemari hai too app kisi bhi Allah ke wali ki qabar par ja kar Dua amangein aur Tabaruk mily too uss ko sachy mann sy khayein ke app ki yeh beemari thik ho jaye. Main kehta hoon app ki woo beemari thk ho jaye gi InshaALLAH... And i have experienced it alot of time...

abb ek phool ki patti nichy zameen par hai aur ek patti Sahib-e-Mazar ki Qabar Mubarak Ke ooper hai too abb zameen aur Qabar Mubarak ke ooper pari patti dono mein koi farq too hai na Nisbat hai...

Hanibal
QUOTE(Malang Mast @ Jun 4 2008, 02:51 PM) [snapback]2904742[/snapback]
g app ne sahi farmaya...

Sajda koi bhi nahi karta bass udhar ja kar Sahib-e-Mazar ke waseela say dua mangtay hain. Dua Allah say hi mangi jati hai lekin sath mein waseela Sahib-e-Mazar ka daal liya jata hai, kionke Allah ke wali ki nisbat say jab dua Allah ke paas puhunchti hai too koi qeemat hoti hai.

abb woo loag jo na manein kuch nahi kar sakty unka. Ab kisi badshah ko milna hoo too pehly ke musheeron aur wazeeron ke waseela say us badshah ke sath milny ki ijazat militi hai. Agar duniya mein wazeeron Musheeron ke waseela say Badhshah say mila jata hai. Too phir Kisi Sahib-e-Mazar ke Waseela say kisi Allah ke wali ke waseela say dua ki jaye too uss mein bhi koi buraye nahi.
Allah sab ko aasaanian ataa farmaye aur aasaanian takseem karne ka sharf bakhshy - Aameen

khogar paikr mehsoos hay insaan key nazr
manay phir undaikhay khuda ko koy kyon,kr

masla yeh hay kay insaan itna tng nazr hay kay ussay mazahir kay illawa kisi cheez per yaqeen hi nahi hota.

qabr ya mazar waghera per ja ker woh apni aankh say dekhta hay aur ussi qabr ko apni mushkil kushai kay lya use krta hay. aisay hi tasurat Dr. Radha Kishan bayan kertay hain Hindu mazhab kay hawalay say, woh kehtay hein kay hindu butoon ko khuda nahi mantay, yeh tu unhay concentration aur weseela samjhtay hain Khuda say rabtay ka.

Allah tala kehta hay kay mein tumhari shah-rg say bhi zyada kareeb hoon, mujh say mangoo, jis zuban mein chahay mangoo, sirf dil say mangoo, main tu baitha hi daynay kay liya hoon, heirat aisay logoon ko hoti hay ju saray jahaan kay malik key yeh baat tasleem nahi kertay aur dr dr kay dhakay khatay hain...

baqool Illama Iqbal.

Yeh eak sajdq jisay tu giraan samjhta hay
hazar sajood say dayta hay tujhay nijaat
*RAJA*
QUOTE(Malang Mast @ Jun 6 2008, 07:43 AM) [snapback]2906350[/snapback]
g aisi jaghon say tabaruk le kar khana bhi bari baat hai, aur main app ko challenge deta hoon bhai ke agar app beemar hain aur andar chaati ki problem ya kuch aur androoni beemari hai too app kisi bhi Allah ke wali ki qabar par ja kar Dua amangein aur Tabaruk mily too uss ko sachy mann sy khayein ke app ki yeh beemari thik ho jaye. Main kehta hoon app ki woo beemari thk ho jaye gi InshaALLAH... And i have experienced it alot of time...

abb ek phool ki patti nichy zameen par hai aur ek patti Sahib-e-Mazar ki Qabar Mubarak Ke ooper hai too abb zameen aur Qabar Mubarak ke ooper pari patti dono mein koi farq too hai na Nisbat hai...

muhtrum aap theaq kehtay hain yeh aap ki aqidaat hai its ok
magher jab mujyeh bigher mizar par janyeh kay ya oun bazurghoun ko wasilabinayeh bigher wu sub mil raha hai tu yeh sub karny ki mujyeh kiya zaroraat.............
main nay tu bazaat khod kai bar azmaya hai ... sajdey main ghir kay ALLAH SWT SAY MANGHTA HOUN ro ro kar ALLAH SWT mujyeh ata kar deta hai kai bar howa hai job ka masla ho bimari ka ho ya koi or.........
bighair mizar par chader chirhayeh kay bhi mil jata hai............
kiyoun keh main behter samjta houn keh mizar par chader chirhany kay kisi ghareb ko koch kapray lay doun....
yeh meri aqidaat hai.............
or jab main janta houn keh ALLAH SWT sub ki sunta hai ...or main ju oss say chta houn wu pak zaat janti hai mujyeh kiya zaroraat biach main kisi ko lanyeh ki meri awaz ya meri dharkhwasat agheyh tak pohnchao..
nisbat ka main khod qail houn bashrtay wu nisbaat shirk tak na pohnchyeh...........
phol ki pati zameen par ho...(pak jagha) ya mizar par ....... doaun main koi farq nehi (mian tu eysa samjta houn)

yeh sub kehnay ka maqsad yeh tha keh.... main iss tara mutmian houn aap oss tara say
ok
aap khosh main khsoh.....................agher aap yeh kehain keh nehi jee aap bikul ghlaat hain.. main sirf theaq houn tab baat or hai.......
kiay samjyeh meray bhai............
Malang Mast
Well Beyshak Alah Shahragh say zayada qareeb hai...

Allah ki approach ham tak direct hai woo jab chahy jaha chahy jaisy chahy ham tak puhunch sakta hai... abb ham Rabb tak direct nahi puhunch sakty...

hamein us tak puhunchny ke liye waseela chahiye agar ham us tak direct puhunch sakty hon too phir too Allah aur hamari approach mein koi farq nahi raha...

hamein Allah tak puhunchny ke liye Ibadat ka waseela bhi too diya gaya hai na ????
aur namaz mein jo Allah ka qurb milta hai woo kiske waseela say mumkin howa ??? woo meray Payary Aaaqa (Sallallaho Alaihi Wasallam) ki waja say howa...

Ahl-e-Qaboor madad kar sakty hain aur ham qaboor par ja kar unky waseela say dua maangty hain....

maaalim jo hai na usi ne apny banday choray howay hain ham jaison ko sahi rastay dikhany ke liye.... agar Allah ne apna deen hi phelana hota too kia woo direct nahi phelaa sakta tha??? kia Allah ko kisi peghamber ki zaroorat thi ????

QUOTE(Hanibal @ Jun 5 2008, 02:01 PM) [snapback]2906403[/snapback]
khogar paikr mehsoos hay insaan key nazr
manay phir undaikhay khuda ko koy kyon,kr

masla yeh hay kay insaan itna tng nazr hay kay ussay mazahir kay illawa kisi cheez per yaqeen hi nahi hota.

qabr ya mazar waghera per ja ker woh apni aankh say dekhta hay aur ussi qabr ko apni mushkil kushai kay lya use krta hay. aisay hi tasurat Dr. Radha Kishan bayan kertay hain Hindu mazhab kay hawalay say, woh kehtay hein kay hindu butoon ko khuda nahi mantay, yeh tu unhay concentration aur weseela samjhtay hain Khuda say rabtay ka.

Allah tala kehta hay kay mein tumhari shah-rg say bhi zyada kareeb hoon, mujh say mangoo, jis zuban mein chahay mangoo, sirf dil say mangoo, main tu baitha hi daynay kay liya hoon, heirat aisay logoon ko hoti hay ju saray jahaan kay malik key yeh baat tasleem nahi kertay aur dr dr kay dhakay khatay hain...

baqool Illama Iqbal.

Yeh eak sajdq jisay tu giraan samjhta hay
hazar sajood say dayta hay tujhay nijaat

Hanibal
QUOTE(Malang Mast @ Jun 9 2008, 08:25 AM) [snapback]2912589[/snapback]
Well Beyshak Alah Shahragh say zayada qareeb hai...

Allah ki approach ham tak direct hai woo jab chahy jaha chahy jaisy chahy ham tak puhunch sakta hai... abb ham Rabb tak direct nahi puhunch sakty...

hamein us tak puhunchny ke liye waseela chahiye agar ham us tak direct puhunch sakty hon too phir too Allah aur hamari approach mein koi farq nahi raha...

hamein Allah tak puhunchny ke liye Ibadat ka waseela bhi too diya gaya hai na ????
aur namaz mein jo Allah ka qurb milta hai woo kiske waseela say mumkin howa ??? woo meray Payary Aaaqa (Sallallaho Alaihi Wasallam) ki waja say howa...

Ahl-e-Qaboor madad kar sakty hain aur ham qaboor par ja kar unky waseela say dua maangty hain....

maaalim jo hai na usi ne apny banday choray howay hain ham jaison ko sahi rastay dikhany ke liye.... agar Allah ne apna deen hi phelana hota too kia woo direct nahi phelaa sakta tha??? kia Allah ko kisi peghamber ki zaroorat thi ????

Allah key puhanch ham tak hay, per kya Allah nay apnay aur hamaray darmayaan dewaar khari ker rakhi hay, agr aisa hay tu phir Allah tala ko yeh kehnay key kya zaroorat kay main insaan key shah-rag say bhi zyada qareeb hoon?

Subhan Allah, app tu Allah tala say jhoot bandhna shoroo ho gey, kuch tu khuda ka khouf karain, kabhi quran ko parhnay key koshish karain, kyon kufr likh rahay hain, puray Quran say koy eak ayat dhoond layain jahaan per Allah tala nay kaha hoo kay mujh puhanchnay kay liya qabroon per ja'o.,agr yeh nahi ker saktay tu koy hadees hi utha la'oo kay App (SAAW) nay kaha ho kay apni hajat rawa'i kay liya qabroon per jaya karo

eak ayaat ya hadees ka intayzaam tu shayad app ker hi sakain, agr na milay tu toba zaroor ker lee jiye ga.. shirk itna bara gunnah hay kay iss key maafi bhi buhat mushkil say hay, app agr khud shirk kernay say baaz nahi aa saktay tu kam us kam iss key tableegh kernay ka gunnah tu apnay ser mat lain.

qabr mein rehnay waloon key jahaan tak baat hay tu, un key sunnay aur agay shifarish kernay key capacity kya hay? kya woh bhi Allah tala key taraah la-mehood qowat kay malik hein ya certain limitations hein? kya woh bhi Allah tala key taraah hr pukarnay walay ko eak waqt mein sun saktay hein ya first come first serve ka method hay? eak hadees key roo say App (SAAW) nay apni ummat kay 10 bandoon ko duniya main hi jannat key basharat key thee, urf-e-aam mein unhay Ashra-Mubshera kaha jata hay, app key qabroon walay kya in 10 bandoon say bhi uper walay darjay per hein? ya kya woh kisi Sahabi-e-Rasool (SAAW) say bhi oonchay darjay per hein? kya garantee hay kay un key apni hajat rawa'i ho chuki hay? jab kay Allah kay Nabi (SAAW) nay apni beti tak say keh diya tha kay yeh khayal dil mein mat lana kay Muhammad (SAAW) key beti ho tu bakhsh dee jao gee.

app key paish kernda, ayat-e-qurani aur hadees ka intayzaar rahay ga, iss silsilay main poochay gey above sawalat bhi hamari buhat c uljhanain door ker dain gey, agr app in kay sahi sahi jawabaat na day sakay tu yeh samajh lya jaye ga kay app ka deen ghalat aur gumrahi per hay. ju kay Islam say door aur asnaam-parasti kay nazdeek hay.

So either app apnay aqeeday kay haq main quran .o. hadees sy mawad paish karain aur apni qabroon key powers kay baray main batayain ya khamoshi say in sawalaat ko un-answered hi chor ker kaheen aur ja ker apni dukan ( qabroon) kay liya marketing karain.
Malang Mast
Well bhaiya g thk hai yeh meri aqeedat hai Allah qayam rakhy taa dam-e-aakhir. Aameen

Bhai ek waqaya likhta hoon.

Jab koi banda samajhta nahi aur ulta hi chalta hai na too fir Allah uski rassi daraaaz kar deta hai.
Do farishton ko 2 mukhtalif bandon ki taraf bheja gaya.
Abb ek farishta jo hai usko Allah ne hukam diya ke (Falan falan shakhs beemar hai aur uske paas machli ka tail para howa hai aur woo uss tail ko lagany say thik ho jaye ga. waha ja kar uske table say tail nichay zameen par gira doo. too woo gaya aur usnay tail nichay gira diya. - - - doosray farishtay ko hukam mila ke ek sumandar ke kinary ek kaafir khara hai usko machli nahi mil rahi aur uska dil kar raha hai. jao aur usko machli laga doo uske kanday ke sath) to farishton ke pochny par Allah ne farmaya ke woo beemar shakhs jiska tail giraya tha woo iss liye ke uska ek gunah baqi tha aur usske tamam gunahon ka badla isi jahan mein paa ilya abb woo aglay jahan saaf jaye ga. - - - aur woo kafir usko machli iss liye di gaye ke usny ek neiki ki thi usko uska badla de diya gaya...)

aaagy app samajhdaar lagty hain mujhy...

Allah sab ko aasaanian ataa farmaye aur aasanian takseem karny ka sharf bakhshy - Aameen

QUOTE(*RAJA* @ Jun 6 2008, 02:59 AM) [snapback]2907348[/snapback]
muhtrum aap theaq kehtay hain yeh aap ki aqidaat hai its ok
magher jab mujyeh bigher mizar par janyeh kay ya oun bazurghoun ko wasilabinayeh bigher wu sub mil raha hai tu yeh sub karny ki mujyeh kiya zaroraat.............
main nay tu bazaat khod kai bar azmaya hai ... sajdey main ghir kay ALLAH SWT SAY MANGHTA HOUN ro ro kar ALLAH SWT mujyeh ata kar deta hai kai bar howa hai job ka masla ho bimari ka ho ya koi or.........
bighair mizar par chader chirhayeh kay bhi mil jata hai............
kiyoun keh main behter samjta houn keh mizar par chader chirhany kay kisi ghareb ko koch kapray lay doun....
yeh meri aqidaat hai.............
or jab main janta houn keh ALLAH SWT sub ki sunta hai ...or main ju oss say chta houn wu pak zaat janti hai mujyeh kiya zaroraat biach main kisi ko lanyeh ki meri awaz ya meri dharkhwasat agheyh tak pohnchao..
nisbat ka main khod qail houn bashrtay wu nisbaat shirk tak na pohnchyeh...........
phol ki pati zameen par ho...(pak jagha) ya mizar par ....... doaun main koi farq nehi (mian tu eysa samjta houn)
yeh sub kehnay ka maqsad yeh tha keh.... main iss tara mutmian houn aap oss tara say ok
aap khosh main khsoh.....................agher aap yeh kehain keh nehi jee aap bikul ghlaat hain.. main sirf theaq houn tab baat or hai....... kiay samjyeh meray bhai............

Hanibal
QUOTE(Malang Mast @ Jun 9 2008, 10:47 AM) [snapback]2912726[/snapback]
Well bhaiya g thk hai yeh meri aqeedat hai Allah qayam rakhy taa dam-e-aakhir. Aameen

Bhai ek waqaya likhta hoon.

Jab koi banda samajhta nahi aur ulta hi chalta hai na too fir Allah uski rassi daraaaz kar deta hai.
Do farishton ko 2 mukhtalif bandon ki taraf bheja gaya.
Abb ek farishta jo hai usko Allah ne hukam diya ke (Falan falan shakhs beemar hai aur uske paas machli ka tail para howa hai aur woo uss tail ko lagany say thik ho jaye ga. waha ja kar uske table say tail nichay zameen par gira doo. too woo gaya aur usnay tail nichay gira diya. - - - doosray farishtay ko hukam mila ke ek sumandar ke kinary ek kaafir khara hai usko machli nahi mil rahi aur uska dil kar raha hai. jao aur usko machli laga doo uske kanday ke sath) to farishton ke pochny par Allah ne farmaya ke woo beemar shakhs jiska tail giraya tha woo iss liye ke uska ek gunah baqi tha aur usske tamam gunahon ka badla isi jahan mein paa ilya abb woo aglay jahan saaf jaye ga. - - - aur woo kafir usko machli iss liye di gaye ke usny ek neiki ki thi usko uska badla de diya gaya...)

aaagy app samajhdaar lagty hain mujhy...

Allah sab ko aasaanian ataa farmaye aur aasanian takseem karny ka sharf bakhshy - Aameen

App key story ka dosra rukh:

Bhai Allah tala a farishtoon key bahm guft.o.shaneed ka haal app kay pass kahaan say aaaya, mu
2 banday hain jinhay duna'vi hajet hay, eak Allah kay hazoor gir'gira raha hay, dosra qabroon per ja ker waseelay talaash ker raha hay. Allah tala, eak farishtay ko hukm daytay hain kay ja ker qabroon per waseela talaashh kernay wali hajit puri ker dee jaye, jab kay direct mangnay walay ko koy jawab nahi diya jata, farishtay kay istasfaar per Allah tala farmatay hein kay, qabr per ja ker waseela talash kernay walay nay eak naiki key thee uss ka badla mein ussi duniya mein hi dayna chahta hoon, jab kay ju mujh say maang raha hay, ussay us key dua'oon ka badla main aakhrat main bhi doon ga

aagay app khud kafi zyada samjhdar hain
Maiq
Excellent
Maiq
Hey Visit my site @@@.@@@.@@@

Apni Sites ki Advertising Allowed nahi hay
shehzada salman
banwa to lain mazar wo apnay baron k bhi
laayen magar kahan se aqeedat guzar log
????????????????????????????????????????
Hanibal
QUOTE(Hanibal @ Jun 9 2008, 09:20 AM) [snapback]2912644[/snapback]
Allah key puhanch ham tak hay, per kya Allah nay apnay aur hamaray darmayaan dewaar khari ker rakhi hay, agr aisa hay tu phir Allah tala ko yeh kehnay key kya zaroorat kay main insaan key shah-rag say bhi zyada qareeb hoon?

Subhan Allah, app tu Allah tala say jhoot bandhna shoroo ho gey, kuch tu khuda ka khouf karain, kabhi quran ko parhnay key koshish karain, kyon kufr likh rahay hain, puray Quran say koy eak ayat dhoond layain jahaan per Allah tala nay kaha hoo kay mujh puhanchnay kay liya qabroon per ja'o.,agr yeh nahi ker saktay tu koy hadees hi utha la'oo kay App (SAAW) nay kaha ho kay apni hajat rawa'i kay liya qabroon per jaya karo

eak ayaat ya hadees ka intayzaam tu shayad app ker hi sakain, agr na milay tu toba zaroor ker lee jiye ga.. shirk itna bara gunnah hay kay iss key maafi bhi buhat mushkil say hay, app agr khud shirk kernay say baaz nahi aa saktay tu kam us kam iss key tableegh kernay ka gunnah tu apnay ser mat lain.

qabr mein rehnay waloon key jahaan tak baat hay tu, un key sunnay aur agay shifarish kernay key capacity kya hay? kya woh bhi Allah tala key taraah la-mehood qowat kay malik hein ya certain limitations hein? kya woh bhi Allah tala key taraah hr pukarnay walay ko eak waqt mein sun saktay hein ya first come first serve ka method hay? eak hadees key roo say App (SAAW) nay apni ummat kay 10 bandoon ko duniya main hi jannat key basharat key thee, urf-e-aam mein unhay Ashra-Mubshera kaha jata hay, app key qabroon walay kya in 10 bandoon say bhi uper walay darjay per hein? ya kya woh kisi Sahabi-e-Rasool (SAAW) say bhi oonchay darjay per hein? kya garantee hay kay un key apni hajat rawa'i ho chuki hay? jab kay Allah kay Nabi (SAAW) nay apni beti tak say keh diya tha kay yeh khayal dil mein mat lana kay Muhammad (SAAW) key beti ho tu bakhsh dee jao gee.

app key paish kernda, ayat-e-qurani aur hadees ka intayzaar rahay ga, iss silsilay main poochay gey above sawalat bhi hamari buhat c uljhanain door ker dain gey, agr app in kay sahi sahi jawabaat na day sakay tu yeh samajh lya jaye ga kay app ka deen ghalat aur gumrahi per hay. ju kay Islam say door aur asnaam-parasti kay nazdeek hay.

So either app apnay aqeeday kay haq main quran .o. hadees sy mawad paish karain aur apni qabroon key powers kay baray main batayain ya khamoshi say in sawalaat ko un-answered hi chor ker kaheen aur ja ker apni dukan ( qabroon) kay liya marketing karain.

Tu abhi tak kisi say jawab nahi bn para...

kya main samajh loon kay in sawaloon kay jawab mumkin nahi, bilkul aisay hi jaisay kisi bhi batil aqeeday kay logoon kay pass eak waqt anay per saray jawabaat khatam ho jatay hain.
shehzada salman
عمر ابن الخطاب جب کعبہ کی زیارت کو گئے تو حجر اسود کو مخاطب کر کے کہا: تم کچھ (نفع یا نقصان) نہیں کر سکتے ہو، مگر میں تمہیں صرف اس لئے چومتا ہوں تاکہ رسول ﷺ کی سنت کی پیروی کر سکوں۔
علی (ابن ابی طالب) نے (عمر ابن خطاب کی یہ بات) سن کر کہا: میں نے رسول ﷺ کو فرماتے سنا ہے کہ حجرِ اسود قیامت کے روز لوگوں کی شفاعت کرے گا۔ [یہ حدیث الترمذی، النسائی، البیہقی، الطبرانی اور بخاری کی تاریخ میں نقل ہوئی ہے]۔ یہ سن کر عمر ابن خطاب نے علی کا شکریہ ادا کیا۔
صحیح بخاری، کتاب الحجر

چنانچہ مولا علی ؑ نے یہ بات واضح کر دی کہ شعائر اللہ کی تعظیم کرنے سے وہ ہمیں نفع پہنچائیں گے اور ان کی بے حرمتی نقصان کا باعث ہے۔ اور یہ بات عمر ابن الخطاب کو بھی سمجھ آ گئی۔ مگر اگر کسی کو آج تک نہیں سمجھ آئی ہے، تو وہ یہ اہلحدیث حضرات ہیں۔
Hanibal
QUOTE(shehzada salman @ Jun 22 2008, 12:51 AM) [snapback]2936177[/snapback]
عمر ابن الخطاب جب کعبہ کی زیارت کو گئے تو حجر اسود کو مخاطب کر کے کہا: تم کچھ (نفع یا نقصان) نہیں کر سکتے ہو، مگر میں تمہیں صرف اس لئے چومتا ہوں تاکہ رسول ﷺ کی سنت کی پیروی کر سکوں۔
علی (ابن ابی طالب) نے (عمر ابن خطاب کی یہ بات) سن کر کہا: میں نے رسول ﷺ کو فرماتے سنا ہے کہ حجرِ اسود قیامت کے روز لوگوں کی شفاعت کرے گا۔ [یہ حدیث الترمذی، النسائی، البیہقی، الطبرانی اور بخاری کی تاریخ میں نقل ہوئی ہے]۔ یہ سن کر عمر ابن خطاب نے علی کا شکریہ ادا کیا۔
صحیح بخاری، کتاب الحجر
چنانچہ مولا علی ؑ نے یہ بات واضح کر دی کہ شعائر اللہ کی تعظیم کرنے سے وہ ہمیں نفع پہنچائیں گے اور ان کی بے حرمتی نقصان کا باعث ہے۔ اور یہ بات عمر ابن الخطاب کو بھی سمجھ آ گئی۔ مگر اگر کسی کو آج تک نہیں سمجھ آئی ہے، تو وہ یہ اہلحدیث حضرات ہیں۔

Tu app kay kehnay ka maqsad hay kay ham log bhi hinduoon key tarah patharoon key parsteesh ya tazeem kerna shoroo kr dain, kyon kay yeh hamari shifaat ker sakain gey?

Hazoor pak (SAAW) kay baray main tu pata hay kay yeh shifaat karain gey, per pather bhi roz-e-qayamat shifaat karain gey, yeh eak nayee baat maloom howi, bhai app aisa kee jiye ga kay pather key shifaat kay bharosay baithay rahiyee, ham ( ju kay Ah-humdu lilah) muslman apnay app ko iss la'iq kernay key koshish kertay rahain gey kay kam us kam APP (SAAW) key shifaat kay haqdaar hi ho jayain?

waisay app aisi rawaiyat kyon paish nahi kertay jis say sabit ho kay aab-e-zam zam bhi logoon key shifaat karain ay, bhai agr Hazrat Ibrahim (AS) or Hazrat Ismail (AS) ka lagaya howa pater shifaat ker sakta hay tu Hazrat Ismail key aah o baka say jari honay wala chashma kyon nahi?

shehzada salman
QUOTE(Hanibal @ Jun 22 2008, 10:04 AM) [snapback]2936546[/snapback]

Mohtaram hanibal
asal main ye wabiyat apne yahoodi peda karda is SHIRK wala aqqeday ka sahara le kar jo dekhnay main to boht acha hay "Allah Subhanahutala or Muhammad e Mustafa(saw) or AP(saw) k khandan ko underestimate karne ki koshish kar rahe hain main kistarhan chup bethon ap batain ?
ap q chup hain - nahi janta
yahoodyion ki olad bari hoti hay to unko apnay maan baap ka naam tak yad nahi rehta apnay buzurgon ko khak yaad karain gey
yehi waja hay k aj un ki oladain yahoodiyat se bhi hat ti ja rahi hain
or wo ab wo hum ko bhi wahabiyat k zariye SHIRK main uljha k ye sab karawna chahtay hain
jab tak hum imam e maloom e karbala ko yad rakhain gey k kistarhan unhon nay karbala main apnay nana(saw) ki shariyat ko bachanay k liyen apna sab kuch qurban kardiya sirf us waqt tak
hum sab shariyat muhammad(saw) ki hifazat k liyen mushrekeen k samnay ahini diwar banay rahain gey
wahabiyat to chahti hay k hum Rasool e khuda(saw) ko bhi bhool jain
lekin abhi dilon main 50% iman zinda hain
ab SHIRK ka dhong racha kar arab k buddhooon ko apna bana kar sar e rah e amal yahoodiyat hay hamaray khilaf
humari badqismati to dekho
hamari mayen apni bethiyon ki shadi ki tension main hi waqt se pehlay burhi hojati hain
or aj ye saoodi prince walid apni 38th car main diamonds laga kar ghoom raha hay
hamaray karobar tabah ho rahe hain lekin hamain Quran ya ahlebait ki talimat main koi hal nahi mil raha

khair ye batain ab k liyen shayad beasar rahain
lekin imam e bukhari ko to jhutla nahi saktay hain na un k refrences diye hen main nay
or bhi boht refrences hain jesay ap k hazrat jilani sahab, tabrezi main bhi kuch waqeat milte hen
or phir ek qissa bhi hay k Rasool - akram(saw) ne kisi sahabi ko kahan k apni maan ki qabr per ja kar dua karo (tafseel baad main aye gi)inshallah -
Mera Allah to wo hay jo jab chahien meri rooh qabz farmalain
or agar wo chahien to mujh na cheez main itni barkat dedain k main logon ko zinda kardon

or tum bhool gaye un anbiya(as) ko jo murdon ko zinda kardete thay??
Hanibal
QUOTE(shehzada salman @ Jun 22 2008, 10:29 AM) [snapback]2936605[/snapback]

Bhai itna lamba chora jawab day diya per meray sawaloon ka jawab kyon nahi diya? eak dafa sawal parhnay key zehmat tu ker lain...
shehzada salman
QUOTE(shehzada salman @ Jun 22 2008, 02:21 AM) [snapback]2936177[/snapback]
عمر ابن الخطاب جب کعبہ کی زیارت کو گئے تو حجر اسود کو مخاطب کر کے کہا: تم کچھ (نفع یا نقصان) نہیں کر سکتے ہو، مگر میں تمہیں صرف اس لئے چومتا ہوں تاکہ رسول ﷺ کی سنت کی پیروی کر سکوں۔
علی (ابن ابی طالب) نے (عمر ابن خطاب کی یہ بات) سن کر کہا: میں نے رسول ﷺ کو فرماتے سنا ہے کہ حجرِ اسود قیامت کے روز لوگوں کی شفاعت کرے گا۔ [یہ حدیث الترمذی، النسائی، البیہقی، الطبرانی اور بخاری کی تاریخ میں نقل ہوئی ہے]۔ یہ سن کر عمر ابن خطاب نے علی کا شکریہ ادا کیا۔
صحیح بخاری، کتاب الحجر
چنانچہ مولا علی ؑ نے یہ بات واضح کر دی کہ شعائر اللہ کی تعظیم کرنے سے وہ ہمیں نفع پہنچائیں گے اور ان کی بے حرمتی نقصان کا باعث ہے۔ اور یہ بات عمر ابن الخطاب کو بھی سمجھ آ گئی۔ مگر اگر کسی کو آج تک نہیں سمجھ آئی ہے، تو وہ یہ اہلحدیث حضرات ہیں۔

Hanibal
Mujhay yaqeen ho gaya kay app nay post tu kuja sawalaat tak nahi parhay...

mera khayal hay kay app ko bhi mast malang key taraah iss post say ghayab ho jana chahiyee
shehzada salman
ji sir
main ap ko post per baat hi nahi kar raha hon ji
na mujhay aisa confused-wahabi islam pasand hay
main tumhen sirf wahabiyat or shirk ka dhong samjha raha hon
Hanibal
QUOTE(shehzada salman @ Jun 22 2008, 12:05 PM) [snapback]2936660[/snapback]
ji sir
main ap ko post per baat hi nahi kar raha hon ji
na mujhay aisa confused-wahabi islam pasand hay
main tumhen sirf wahabiyat or shirk ka dhong samjha raha hon

app say request hay kay topic parh ker topic kay hawalay say jawab diya karain, her jagah tang arayain tu aisay hi bay-par key chortay howay rangay hathon pakray jayain gey.

baqi app kay tarz-e-takhatub buhat achi taraah bata raha hay kay app key moral values kahaan stand kerteen hain aur agr tu yeh app key mazhabi taleem ka nateeja hay tu app kay mazhab key moral values ka akaas hay aur agr app key mazhab say dorri key wajaah say hay tu bhai phir pehlay app khud tu apnay mazhab per amal ker lain phir dosroon kay mazhab per tanqeed karain.

section mod say request hay kay mazkora member kay aitraaf kay bad say in key ghair mutaliqa posts ko delete ya edit ker diya jaye takay, post apnay topic pr rahay aur diversion ka khatra na rahay.
shehzada salman
QUOTE(shehzada salman @ Jun 22 2008, 02:21 AM) [snapback]2936177[/snapback]
عمر ابن الخطاب جب کعبہ کی زیارت کو گئے تو حجر اسود کو مخاطب کر کے کہا: تم کچھ (نفع یا نقصان) نہیں کر سکتے ہو، مگر میں تمہیں صرف اس لئے چومتا ہوں تاکہ رسول ﷺ کی سنت کی پیروی کر سکوں۔
علی (ابن ابی طالب) نے (عمر ابن خطاب کی یہ بات) سن کر کہا: میں نے رسول ﷺ کو فرماتے سنا ہے کہ حجرِ اسود قیامت کے روز لوگوں کی شفاعت کرے گا۔ [یہ حدیث الترمذی، النسائی، البیہقی، الطبرانی اور بخاری کی تاریخ میں نقل ہوئی ہے]۔ یہ سن کر عمر ابن خطاب نے علی کا شکریہ ادا کیا۔
صحیح بخاری، کتاب الحجر
چنانچہ مولا علی ؑ نے یہ بات واضح کر دی کہ شعائر اللہ کی تعظیم کرنے سے وہ ہمیں نفع پہنچائیں گے اور ان کی بے حرمتی نقصان کا باعث ہے۔ اور یہ بات عمر ابن الخطاب کو بھی سمجھ آ گئی۔ مگر اگر کسی کو آج تک نہیں سمجھ آئی ہے، تو وہ یہ اہلحدیث حضرات ہیں۔

hanibal
is banday nay jo Tafseer bayan ki soora e araaf ki ap wo to maan rahe hain
or is ki mohabbat main ap sahi bukhari ko bhi jhutla rahe hain

is ayat ki tafseer mulahiza kijiye k jab ye nazil hui to Rasool e khuda(as) kin logon say mukhatib thay
Tafseer-ul-Tibyan, Vol. 8, page 314
Sahih al-Bukhari Vol. 1, p. 121 Hadith NO. 881
Tarmizi, Vol. 4

tab is ayat ka matlab samajh sakain gey
khudara wahabiyat k andheron main Kalam e ilahi ko maskh na karo
Hanibal
QUOTE(shehzada salman @ Jun 22 2008, 01:52 PM) [snapback]2936712[/snapback]
hanibal
is banday nay jo Tafseer bayan ki soora e araaf ki ap wo to maan rahe hain
or is ki mohabbat main ap sahi bukhari ko bhi jhutla rahe hain

is ayat ki tafseer mulahiza kijiye k jab ye nazil hui to Rasool e khuda(as) kin logon say mukhatib thay
Tafseer-ul-Tibyan, Vol. 8, page 314
Sahih al-Bukhari Vol. 1, p. 121 Hadith NO. 881
Tarmizi, Vol. 4

tab is ayat ka matlab samajh sakain gey
khudara wahabiyat k andheron main Kalam e ilahi ko maskh na karo

pehlaya pp ankhain aur zehan baidar ker kay post ko parhain, agr ho sakay tu samjhnay key koshish karain phir koy sawal karain, otherwise ab iss topic main app ko jawad dayna time zaya kerna hay, itna la'perwah ya kund'zehan koy kaisay ho sakta hay, main already above per comments ker chuka hon aur in key bus waheen khari hay.
Abdullah
QUOTE(shehzada salman @ Jun 22 2008, 11:35 AM) [snapback]2936660[/snapback]
ji sir
main ap ko post per baat hi nahi kar raha hon ji

A Note for shehzada salman smile.gif
Kisi ko warning issue karna sab say ziada us kay khilaf reports par depend karta hay, Lihaza Sirf is post par hi nahi, Kisi bhi post main aap ki sirf Eik ghalati hamain is kay liye majboor kar day gi.

shehzada salman aur baqi tamaam sathiyoon say guzarish hay kay Please is reply ko quote na karain
This is a "lo-fi" version of our main content. To view the full version with more information, formatting and images, please click here.
Invision Power Board © 2001-2008 Invision Power Services, Inc.