Help - Search - Members - Calendar
Full Version: Physical Maut Versus Emotional Maut
HulChul.NET > Masti - Masti > Baat-Cheet
Pages: 1, 2
sahera
QUOTE(rani aapi @ Apr 19 2008, 10:15 PM) [snapback]2827598[/snapback]
2 me emotional maut say murad kisi insaan ki sochoun us kay ahsasaat ko marna..uss ki izatay nafs ka katal karna hai

uss ko is darja thais pouhnchana hai k woh sehm jaye...woh normal sochna chor day...duniya say kinara kar jaye....uss ka har

aik say aitmaad uth jaye...issay kuch acha na lagay sawaye tanhai kay..

shayad kuch log issay maut tasleem na karain magar meray liay yeh physicak death say bhee ziayada

takleef day hai...main to sochti houn is jurm ki bhee aik saza honi chahiyeah. death main to sirf insaan

aik daffa marna parta hai....magar in this case insaan pal pal marta hai aur pal pal jeeta hai....

yani ajeeb si kaifiyat sy dochaar rehta hai....aik tarah sooli

pay latka rehta hai....woh logoun say milnay say katraata hai...buklay tanha rehna pasand karta hai..

phir ussay dobara normal nahin kiya jaa sakta...haan shayad wakt kay saath saath uski takleef

kum hona shuru ho jaye..jaisay kay kaha jaata hai wakt behtreen marham hota hai...magar

phir koi talkh jamla ya logoun ki koi chubti baat uss kay wahi zakhm dobara taaza kar sakti hai..

iss liay uss shaks say normal behaviour ki tawaku rakhna bohut mushkil hai...haan meray khayal

main ussay aik surat main normal kiya jaa sakta hai k uss kay saath youn behave kiya jaye

jaisay kay uss kay saath kuch hua hi nahi hai takay woh issi soch main halkaan na ho kay

meray apnay aur dosray log meray baaray main kiya sochatay houn gay...ya mujay abh ehmiyat

nahin dain gay...unhain ehsaas dilaya jaye k woh abh bhee un ki zindagi main itnay hi ehm hain...

but inshort yahi kahoun gi k ALLAH TALA kisi dushman ko bhee is kisam ki azmaish main dochaar na karay ameen rose.gif

bilkul sahe kaha apnay....waisay saza wali baat toh mujhe sab se achi lagi hay....aur saza yeh honi chahiye kay woh samnay betha rahey zindagi bhar.
rani aapi
QUOTE(seemaf @ Apr 21 2008, 05:29 PM) [snapback]2830228[/snapback]
Rite yes.gif

Thanku.gif
rani aapi
QUOTE(shafaq @ Apr 22 2008, 12:09 AM) [snapback]2830822[/snapback]
i'll be back with your reply rani aapi smile.gif

g kion nahi zaroor

waiting for you reply rose.gif
rani aapi
QUOTE(sahera @ Apr 22 2008, 01:25 AM) [snapback]2830907[/snapback]
bilkul sahe kaha apnay....waisay saza wali baat toh mujhe sab se achi lagi hay....aur saza yeh honi chahiye kay woh samnay betha rahey zindagi bhar.

baat to aap nay bhee bohut achi ki hai

g bilkul yahi hona chahiyeah...jurm ki sazza bhee honi chahiyeah...magar

afssoss kay hum apna dil kisi k samnay khool kay nahi rakh saktay

to phir jurm ka proof kaisa aur sazza kaisi nah.gif
*DhanaK*
QUOTE(shafaq @ Apr 21 2008, 07:09 PM) [snapback]2830822[/snapback]
i'll be back with your reply rani aapi smile.gif

salaams
here i am smile.gif

aapka mundarja zel tajziya baat solah aanay sach hai.
several years back i went through severe depression,isliye aapke reply mein apnay aapko paya,aapki yeh bhi baat durust hai ke koi chhubti hui baat phir kured deti hai ba mushkil bhartay zakhmon ko,for me i had to take medication,which helped,then good listeners and purkhuloos hamdardi made a whole lot of difference.

you said this and a right thing you said ke

2 me emotional maut say murad kisi insaan ki sochoun us kay ahsasaat ko marna..uss ki izatay nafs ka katal karna hai

uss ko is darja thais pouhnchana hai k woh sehm jaye...woh normal sochna chor day...duniya say kinara kar jaye....uss ka har

aik say aitmaad uth jaye...issay kuch acha na lagay sawaye tanhai kay..

shayad kuch log issay maut tasleem na karain magar meray liay yeh physicak death say bhee ziayada

takleef day hai

thankyou rani aapi
*DhanaK*
QUOTE(ibniadam @ Apr 21 2008, 12:55 PM) [snapback]2830271[/snapback]
jazbaat margayae to phir ajal ka kiya kaam
bae maut margaya koiee to turbat ka kiya kaaam

zindagi bus ik wajood he nahi hain saki
kuch to hain rooh-e naaz ka bhi kaam.

smile.gif

sahi smile.gif
nice qat'a
*DhanaK*
QUOTE(sahera @ Apr 21 2008, 08:22 PM) [snapback]2830905[/snapback]
ab is hummmmmm ka koi matlab hoya bhala...maine aap ko pM karna ab soochtI hon yehi baat kar lon.....yeh baigan ka samber kaisay banta hay ....zara cooking section mey aakar batana...nahi toh saray nadeeday yahaN bhaithak mey he khanay kay lye jama hojaye gay.

smile.gif hmmmmm ka matlab hai i am thinking about what you said and it is very deep what you said and hmmmm means ham sochein aur tum samajhh jaao smile.gif

baingan ka raaita ya baingan ka saambhar?
yaheen reply bhi kar do,strike hai rikhsha cooking section naheen ja sakta smile.gif
rani aapi
QUOTE(shafaq @ Apr 23 2008, 12:45 AM) [snapback]2833169[/snapback]
salaams
here i am smile.gif

aapka mundarja zel tajziya baat solah aanay sach hai.
several years back i went through severe depression,isliye aapke reply mein apnay aapko paya,aapki yeh bhi baat durust hai ke koi chhubti hui baat phir kured deti hai ba mushkil bhartay zakhmon ko,for me i had to take medication,which helped,then good listeners and purkhuloos hamdardi made a whole lot of difference.

you said this and a right thing you said ke

2 me emotional maut say murad kisi insaan ki sochoun us kay ahsasaat ko marna..uss ki izatay nafs ka katal karna hai

uss ko is darja thais pouhnchana hai k woh sehm jaye...woh normal sochna chor day...duniya say kinara kar jaye....uss ka har

aik say aitmaad uth jaye...issay kuch acha na lagay sawaye tanhai kay..

shayad kuch log issay maut tasleem na karain magar meray liay yeh physicak death say bhee ziayada

takleef day hai

thankyou rani aapi

salam.gif
aap nay apni kafiyaat ka zikr kiya....
dats good u recovered soon ALHUMDOLILLAH.
ALLAH aap ko sehat aur tandrusti ata farmaye aur koi dukh aap k paas na aye ameen rose.gif
aap hi nahi balkay zindagi main har insaan ko kabhi na kabhi kisi
azmaish ka samna karna parta hai...magar bohut
kam aisa hota hai k isaan iss situation ko bahadri say
face karay...kehna bohut asaan hai k mushkil main
sabr karna chahiyeah aur issay dalairi say face
karna chahiyeah magar jis par yeh qayamat toot'ti
hai woh hi janta hai k kitna mushkil hota hai issay sehna...
kaha jaata hai k jis tann laagay woh hi jaanay...
ALLAH hum sab ki zindagi main dhairoun saari kushiyaan laye aur humain azmaishoun say bachaye
kionkay hum uss kay kamzoor banday hain azmaishoun ka booj nahi bardasht kar saktay ameen yes.gif

*DhanaK*
QUOTE(rani aapi @ Apr 23 2008, 02:40 PM) [snapback]2834938[/snapback]

thanks for your reply rani aapi
and thanks for your duaas too smile.gif
sahera
QUOTE(shafaq @ Apr 22 2008, 07:53 PM) [snapback]2833188[/snapback]
smile.gif hmmmmm ka matlab hai i am thinking about what you said and it is very deep what you said and hmmmm means ham sochein aur tum samajhh jaao smile.gif

baingan ka raaita ya baingan ka saambhar?
yaheen reply bhi kar do,strike hai rikhsha cooking section naheen ja sakta smile.gif

baigan ka sambher lena hay ..cooking section waloN nay toh koi strike nhai ki hoye ...
*DhanaK*
QUOTE(sahera @ Apr 25 2008, 07:46 PM) [snapback]2839784[/snapback]
baigan ka sambher lena hay ..cooking section waloN nay toh koi strike nhai ki hoye ...

bas ftm se wahan ka raasta lamba hai aur rikhshaywala zyadah paisay demand karta hai smile.gif
anyway
arahr ki daal ( toovar daal) ko ubaal lo namak daal ke.kucch ghul see jaaye,phir imli ka paani usmein daal do,mix kar do,phir dhaniya seeds,laal soochee saabut mirch aur naariyal ( dessicated) ko bhoon kar pees lo saambhar mein daal do.phir raayi curry patta aur laal sookhi mirch se bhagaar do.pasand ho to thori heeng bhi bahgaartay waqt.

yeh wali recipe kaafi pehlay banaatay thay ham,ab packet mil jata hai to lazy ho gaye hain,haanke packet se kaheen zyadah mazay ka yeh wala banta hai.
jab daal pakkay to usmein gaajar baingan,lauki ,moti kati pyaaz aur drumstick daal lo

khao icon_peace.gif dosay ke saath idli kay saath.

main to yunbhi banati thee just saambhar,it is good.
*DhanaK*
vegetable ko halka sa gala lo,tootany na paaye
smile.gif
rani aapi
QUOTE(shafaq @ Apr 24 2008, 08:21 AM) [snapback]2835905[/snapback]
thanks for your reply rani aapi
and thanks for your duaas too smile.gif

mention not 1-kahani.gif
sahera
QUOTE(shafaq @ Apr 25 2008, 08:43 PM) [snapback]2840011[/snapback]
bas ftm se wahan ka raasta lamba hai aur rikhshaywala zyadah paisay demand karta hai smile.gif
anyway
arahr ki daal ( toovar daal) ko ubaal lo namak daal ke.kucch ghul see jaaye,phir imli ka paani usmein daal do,mix kar do,phir dhaniya seeds,laal soochee saabut mirch aur naariyal ( dessicated) ko bhoon kar pees lo saambhar mein daal do.phir raayi curry patta aur laal sookhi mirch se bhagaar do.pasand ho to thori heeng bhi bahgaartay waqt.
yeh wali recipe kaafi pehlay banaatay thay ham,ab packet mil jata hai to lazy ho gaye hain,haanke packet se kaheen zyadah mazay ka yeh wala banta hai.
jab daal pakkay to usmein gaajar baingan,lauki ,moti kati pyaaz aur drumstick daal lo

khao icon_peace.gif dosay ke saath idli kay saath.

main to yunbhi banati thee just saambhar,it is good.

thanks u sis.........chalay i will try & let u know
*DhanaK*
QUOTE(sahera @ Apr 27 2008, 07:44 PM) [snapback]2842495[/snapback]
thanks u sis.........chalay i will try & let u know

try and let me know,mazay ka hi banega agar shauq se dil lagakar banaogi ( last sentence ek cooking show se liya) smile.gif
sahera
QUOTE(raat ki rani @ Apr 17 2008, 10:26 AM) [snapback]2821877[/snapback]
i think emOtinal Maut ka end Mental sicknesses per hOta hai lyk schizophrenia, paranoia, depression or psychosis etc etc... when a persOn dznt want tO liv in the real world anyMore...

haan jab insaan adhoori mohabbat, adhoray khawaboN, adhoray ehsasaat mey gir jata hay toh zindagi bhi phir adhoori he guzarta hay...totay wadoon ki kirchION par.
sahera
QUOTE(rani aapi @ Apr 21 2008, 11:01 PM) [snapback]2830993[/snapback]
baat to aap nay bhee bohut achi ki hai

g bilkul yahi hona chahiyeah...jurm ki sazza bhee honi chahiyeah...magar

afssoss kay hum apna dil kisi k samnay khool kay nahi rakh saktay

to phir jurm ka proof kaisa aur sazza kaisi nah.gif

dil nahi khool saktay magar zindagi toh aik khuli kitaab ki tarha hoti hay na....
Fani
QUOTE(Airy_Princess @ Apr 9 2008, 11:47 PM) [snapback]2812187[/snapback]
par main tou koi baat 0-heartbeat.gif par nahi leti 1-embaressed_smile.gif

Ab har koi app jasa to nai hota na....
Disrupt3d Soul
hmm uska end yay hota hay kay insaan andar se mar jata hay aur aik zinda laash ki tarha phirta hay
*DhanaK*
QUOTE(Disrupt3d Soul @ May 18 2008, 10:40 PM) [snapback]2877586[/snapback]
hmm uska end yay hota hay kay insaan andar se mar jata hay aur aik zinda laash ki tarha phirta hay

jee ,sahi
Cupid Princess
thumbsdown_anim.gif
This is a "lo-fi" version of our main content. To view the full version with more information, formatting and images, please click here.
Invision Power Board © 2001-2008 Invision Power Services, Inc.