Help - Search - Members - Calendar
Full Version: Physical Maut Versus Emotional Maut
HulChul.NET > Masti - Masti > Baat-Cheet
Pages: 1, 2
*DhanaK*
salaam alaikum doston

jab physical maut ham martay hain to hamari manzil qabr hoti hai,duniyawi zindigi ka end,lekin jab ham emotional maut martay hain uska anjaam kya hai,where is the end what is the end?
tenha_saima
Depression .. lekin is se bachne k tareeke bhi hain ... remember Allah n He will remember u ... which means .. jitna Allah ko yaad karo ge utna deprssion khatam ho ga ... n there r certain surahs jo mentally tortured logoon ko sakoon detii hain .. parhne k baad..

theres neva an end to nythin .. its always the beginnin
VrSoLdIeRs
physical maut ho jaye to aap ka wajood khatam saal do saal baad log aap ko bhool jatay hain mur kar yaad bhi nahi kartay... magar emotional ho jaye to aap sub ki aankhon kay samnay aik chalti phirti lash ban jatay hain

aap khud soochain aap dosti kartay hain takeh jub aap ko madad ki zaroorat ho to dost haath barhaye aur jub khushiyaan hoon to share karain... jub aik aisa banda jisko na to aap kay ghum say takleef ho aur na hi khushiyoon say sar-o-kaar aik aisa banda jo khud main hi magan ho.... us par apni mohabbat apna time waste karna.. phir jub aap ko zaroorat ho to woh wahan ho hi nahi... aisa banda khud to azeeyat main hota hi hai doosray bhi uski wajah say takleef man rehtay h hain
Airy_Princess
QUOTE(shafaq @ Apr 6 2008, 07:00 AM) [snapback]2807281[/snapback]
salaam alaikum doston

jab physical maut ham martay hain to hamari manzil qabr hoti hai,duniyawi zindigi ka end,lekin jab ham emotional maut martay hain uska anjaam kya hai,where is the end what is the end?

like always ... gr8 topic sis ... buhat se log kehte hain k marna aasan hota hai shayad tabhie kuch log khud kushi b karte hain ... par mera tou khayal hai k marna b buhat mushkil hai aur maut shayad tabhie han tabhie aati hai jab hum jeena chahte hain ... jab hum hadh se zyada jeena chahte hain ... so marna b buht mushkil hai ... par jab hum aik baar marr jate hain tou bus sab jhamelay khatam phir hum sirf spirit bann jate hain kisi ki yadon ka hissa tou kissi ki baaton ka ... aur kisi k past ka ... par shayad marne k baad physically itni takleef nahi hoti hai ... jab hum zinda hon aur humien emotionaly qatal kia jata hai tab insan sab se zyada majboor hota hai koi aik aisi jagah nahi milti jahan ansoo saath chorr dien aur ye mauqe har aik ki zindagi main aate hain kuch ko har pal marr kar jeena parta hai tou kuch ko kabhie kabhie ... iska anjaam hmmm kya kahon iss tarhan marr kar insaan zinda shayad phir ho jaye par uss k lye buht buht behtareen saath ki zaroorat hoti hai jis mein khud itna honsla ho k woh apko thek kar sake apko zinda kar sakey iska anjaam yehi hai ... kuch log aisi baton ko le hamesha route rehtay hain aur kuch sabar karte hain par aaisey logon k lye kabhie sabar ka word use nahi kehna chaheye kyunki khud ki aaisi maut par apne hi exsistence ko apne samne khatam hote dekhna har pal main khud ko doondhna aaise kisi insaan ko app sabar ka kesay keh sakte ho ... cuz sabar ka lafz kehna asaan par karna buhat mushkil hai buhat waqt lagta hai par haan insan sumbhal jata hai aur phir se jeeta hai aur marne ko taiyar rehta hai
*DhanaK*
QUOTE(tenha_saima @ Apr 6 2008, 05:35 PM) [snapback]2808010[/snapback]
Depression .. lekin is se bachne k tareeke bhi hain ... remember Allah n He will remember u ... which means .. jitna Allah ko yaad karo ge utna deprssion khatam ho ga ... n there r certain surahs jo mentally tortured logoon ko sakoon detii hain .. parhne k baad..
theres neva an end to nythin .. its always the beginnin

hmmm so one ends in depression,yaani emotional breakdown,to phir aisa shakhs kya karta hai,depression ho gaya,what next?,
waisay aap ko naheen lagta ke depression na hota, agar ham mein haalaat se ladnay ki taaqat hotee
topic se juda baat hai lekin phir bhi connected hai
*DhanaK*
QUOTE(VrSoLdIeRs @ Apr 6 2008, 05:45 PM) [snapback]2808018[/snapback]
physical maut ho jaye to aap ka wajood khatam saal do saal baad log aap ko bhool jatay hain mur kar yaad bhi nahi kartay... magar emotional ho jaye to aap sub ki aankhon kay samnay aik chalti phirti lash ban jatay hain

aap khud soochain aap dosti kartay hain takeh jub aap ko madad ki zaroorat ho to dost haath barhaye aur jub khushiyaan hoon to share karain... jub aik aisa banda jisko na to aap kay ghum say takleef ho aur na hi khushiyoon say sar-o-kaar aik aisa banda jo khud main hi magan ho.... us par apni mohabbat apna time waste karna.. phir jub aap ko zaroorat ho to woh wahan ho hi nahi... aisa banda khud to azeeyat main hota hi hai doosray bhi uski wajah say takleef man rehtay h hain

true very true
shayed emotional maut ham ko jazbaat se aari kar jaati hai and we become like zombies,walling like zombies talking like zombies,emotion less clueless.....
Mrs.KnOwN_StRaNgEr
QUOTE(shafaq @ Apr 7 2008, 04:27 AM) [snapback]2808217[/snapback]
hmmm so one ends in depression,yaani emotional breakdown,to phir aisa shakhs kya karta hai,depression ho gaya,what next?,
waisay aap ko naheen lagta ke depression na hota, agar ham mein haalaat se ladnay ki taaqat hotee
topic se juda baat hai lekin phir bhi connected hai

Halaat Se Ladne Ki Taaqat K Ilawa Arsa e Draaz Tak Halaat se Ladte Rehna Bhi Aakhirkar Depression Tak Hi Le Jata Hai....

Aur Kuch BolooN? Ijaazat Hai ? 0-baby.gif
*DhanaK*
QUOTE(Kamli @ Apr 7 2008, 03:06 PM) [snapback]2809112[/snapback]
Halaat Se Ladne Ki Taaqat K Ilawa Arsa e Draaz Tak Halaat se Ladte Rehna Bhi Aakhirkar Depression Tak Hi Le Jata Hai....
Aur Kuch BolooN? Ijaazat Hai ? 0-baby.gif

haan plz ,bolo

aur i know ke haalaat se ladtay rehna bhi depression tak le jata hai,jo jung aap akele lad rahe hon
aksar log zara disturb huwe to unhein lagta hai depression ho gaya BUT depression is something more bigger than this

waiting for your response Kamli
Airy_Princess
ye kya meko kyun nahi rep kia???
*DhanaK*
QUOTE(Airy_Princess @ Apr 7 2008, 07:19 PM) [snapback]2809308[/snapback]
ye kya meko kyun nahi rep kia???

aray baba karoongi sab ko reply karoongi
tum meri taraf se kabhi bad dil na hona plzzzz
wapas aati hoon na 0-moped.gif
*DhanaK*
QUOTE(Airy_Princess @ Apr 6 2008, 07:34 PM) [snapback]2808065[/snapback]
like always ... gr8 topic sis ... buhat se log kehte hain k marna aasan hota hai shayad tabhie kuch log khud kushi b karte hain ... par mera tou khayal hai k marna b buhat mushkil hai aur maut shayad tabhie han tabhie aati hai jab hum jeena chahte hain ... jab hum hadh se zyada jeena chahte hain ... so marna b buht mushkil hai ... par jab hum aik baar marr jate hain tou bus sab jhamelay khatam phir hum sirf spirit bann jate hain kisi ki yadon ka hissa tou kissi ki baaton ka ... aur kisi k past ka ... par shayad marne k baad physically itni takleef nahi hoti hai ... jab hum zinda hon aur humien emotionaly qatal kia jata hai tab insan sab se zyada majboor hota hai koi aik aisi jagah nahi milti jahan ansoo saath chorr dien aur ye mauqe har aik ki zindagi main aate hain kuch ko har pal marr kar jeena parta hai tou kuch ko kabhie kabhie ... iska anjaam hmmm kya kahon iss tarhan marr kar insaan zinda shayad phir ho jaye par uss k lye buht buht behtareen saath ki zaroorat hoti hai jis mein khud itna honsla ho k woh apko thek kar sake apko zinda kar sakey iska anjaam yehi hai ... kuch log aisi baton ko le hamesha route rehtay hain aur kuch sabar karte hain par aaisey logon k lye kabhie sabar ka word use nahi kehna chaheye kyunki khud ki aaisi maut par apne hi exsistence ko apne samne khatam hote dekhna har pal main khud ko doondhna aaise kisi insaan ko app sabar ka kesay keh sakte ho ... cuz sabar ka lafz kehna asaan par karna buhat mushkil hai buhat waqt lagta hai par haan insan sumbhal jata hai aur phir se jeeta hai aur marne ko taiyar rehta hai

iska anjaam hmmm kya kahon iss tarhan marr kar insaan zinda shayad phir ho jaye par uss k lye buht buht behtareen saath ki zaroorat hoti hai jis mein khud itna honsla ho k woh apko thek kar sake apko zinda kar sakey iska anjaam yehi hai ..
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~

hmmm emotional maar bhi insan hi deta hai aur emotional collapse se bachata bhi insan bhi hai.
do insan kitnay mukhtalif,aadaat mein afkaar mein koi zehni pasti par koi zehni balandi par

accha reply hai tumhara
the point i liked,i quoted smile.gif
positive hai na ,like the light at the end of the tunnel

*DhanaK*
Kamli?
Airy_Princess
QUOTE(shafaq @ Apr 8 2008, 04:02 AM) [snapback]2809506[/snapback]
iska anjaam hmmm kya kahon iss tarhan marr kar insaan zinda shayad phir ho jaye par uss k lye buht buht behtareen saath ki zaroorat hoti hai jis mein khud itna honsla ho k woh apko thek kar sake apko zinda kar sakey iska anjaam yehi hai ..
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~

hmmm emotional maar bhi insan hi deta hai aur emotional collapse se bachata bhi insan bhi hai.
do insan kitnay mukhtalif,aadaat mein afkaar mein koi zehni pasti par koi zehni balandi par
accha reply hai tumhara
the point i liked,i quoted smile.gif
positive hai na ,like the light at the end of the tunnel

thanQ sis ... m so much Optimistic FDON.gif
Airy_Princess
QUOTE(shafaq @ Apr 8 2008, 01:01 AM) [snapback]2809377[/snapback]
aray baba karoongi sab ko reply karoongi
tum meri taraf se kabhi bad dil na hona plzzzz
wapas aati hoon na 0-moped.gif

1-embaressed_smile.gif
*DhanaK*
QUOTE(Airy_Princess @ Apr 8 2008, 07:40 PM) [snapback]2810755[/snapback]
1-embaressed_smile.gif

te hor ki
1-embaressed_smile.gif siso yahan dil behlaanay baittheen hai na ke dil dukhanaay
*DhanaK*
QUOTE(Airy_Princess @ Apr 8 2008, 07:39 PM) [snapback]2810753[/snapback]
thanQ sis ... m so much Optimistic FDON.gif

smile.gif hope we all get that behtareen saath Ameen
yeh saath kisi friend, kisi relative, parents ,bhai bahen shauhar/biwi kisi bhi roop mein ho sakta hai
classic
QUOTE(shafaq @ Apr 6 2008, 07:00 AM) [snapback]2807281[/snapback]
salaam alaikum doston

jab physical maut ham martay hain to hamari manzil qabr hoti hai,duniyawi zindigi ka end,lekin jab ham emotional maut martay hain uska anjaam kya hai,where is the end what is the end?

me k khayal se tou jab emotional maut hoti hai tou insaan ka dil hi uski qabar ban jata hai.depression mayusi yah sab symptoms hain magar mere khayal se insaan kabhi emotionally dead nai ho sakta.may be paralyze ho jaye waqti tor per emotionaaly k kuch bhi feel na ho aur ajeeb se behisi cha jaye but i feel k banda recover ker jata hai kiu k app kabhi bhi aik halat mai zyada der nai reh sakte.emotionallysmile.gif
seemaf

wasalam.gif

Baqi sab replies parhney se pehley mere mind main aik misal/mahawra aya is ke jawab main

"Na ghar ke rahey na ghaat ke" poster_oops.gif
seemaf
QUOTE(Airy_Princess @ Apr 7 2008, 12:34 AM) [snapback]2808065[/snapback]
like always ... gr8 topic sis ... buhat se log kehte hain k marna aasan hota hai shayad tabhie kuch log khud kushi b karte hain ... par mera tou khayal hai k marna b buhat mushkil hai aur maut shayad tabhie han tabhie aati hai jab hum jeena chahte hain ... jab hum hadh se zyada jeena chahte hain ... so marna b buht mushkil hai ... par jab hum aik baar marr jate hain tou bus sab jhamelay khatam phir hum sirf spirit bann jate hain kisi ki yadon ka hissa tou kissi ki baaton ka ... aur kisi k past ka ... par shayad marne k baad physically itni takleef nahi hoti hai ... jab hum zinda hon aur humien emotionaly qatal kia jata hai tab insan sab se zyada majboor hota hai koi aik aisi jagah nahi milti jahan ansoo saath chorr dien aur ye mauqe har aik ki zindagi main aate hain kuch ko har pal marr kar jeena parta hai tou kuch ko kabhie kabhie ... iska anjaam hmmm kya kahon iss tarhan marr kar insaan zinda shayad phir ho jaye par uss k lye buht buht behtareen saath ki zaroorat hoti hai jis mein khud itna honsla ho k woh apko thek kar sake apko zinda kar sakey iska anjaam yehi hai ... kuch log aisi baton ko le hamesha route rehtay hain aur kuch sabar karte hain par aaisey logon k lye kabhie sabar ka word use nahi kehna chaheye kyunki khud ki aaisi maut par apne hi exsistence ko apne samne khatam hote dekhna har pal main khud ko doondhna aaise kisi insaan ko app sabar ka kesay keh sakte ho ... cuz sabar ka lafz kehna asaan par karna buhat mushkil hai buhat waqt lagta hai par haan insan sumbhal jata hai aur phir se jeeta hai aur marne ko taiyar rehta hai

Buhat zabardast Reply Dear 0-headbang.gif

Airy_Princess
QUOTE(shafaq @ Apr 9 2008, 01:42 AM) [snapback]2810803[/snapback]
te hor ki
1-embaressed_smile.gif siso yahan dil behlaanay baittheen hai na ke dil dukhanaay

par main tou koi baat 0-heartbeat.gif par nahi leti 1-embaressed_smile.gif
Airy_Princess
QUOTE(shafaq @ Apr 9 2008, 01:50 AM) [snapback]2810809[/snapback]
smile.gif hope we all get that behtareen saath Ameen
yeh saath kisi friend, kisi relative, parents ,bhai bahen shauhar/biwi kisi bhi roop mein ho sakta hai

g ... dunia ki sab se expensive cheez ... kissi ka sath
Airy_Princess
QUOTE(seemaf @ Apr 9 2008, 01:18 PM) [snapback]2811184[/snapback]
Buhat zabardast Reply Dear 0-headbang.gif

shukriya janab FDON.gif
*DhanaK*
QUOTE(classic @ Apr 9 2008, 05:32 AM) [snapback]2811086[/snapback]
me k khayal se tou jab emotional maut hoti hai tou insaan ka dil hi uski qabar ban jata hai.depression mayusi yah sab symptoms hain magar mere khayal se insaan kabhi emotionally dead nai ho sakta.may be paralyze ho jaye waqti tor per emotionaaly k kuch bhi feel na ho aur ajeeb se behisi cha jaye but i feel k banda recover ker jata hai kiu k app kabhi bhi aik halat mai zyada der nai reh sakte.emotionallysmile.gif

yup you are right
ppl don't die due to emotional maut

haan if nobody cares for them then they can take exreme measure like suicide,but that is like if things go to an extreme with no emotional strong support and also medical intervention.

insan ka dil usi qabr,yeah sahi hai,uska dil uski qabr uska dimagh bhi uski qabr,lifeless.

Abu Adnan
QUOTE(shafaq @ Apr 6 2008, 07:00 AM) [snapback]2807281[/snapback]
salaam alaikum doston

jab physical maut ham martay hain to hamari manzil qabr hoti hai,duniyawi zindigi ka end,lekin jab ham emotional maut martay hain uska anjaam kya hai,where is the end what is the end?

walekum assalam!
hmmmm very interesting sawal.... kuch kah nahi sakta k aisa koi tajarbah nahi howa... yeh fard to fard juda juda hosakta hai.
*DhanaK*
QUOTE(seemaf @ Apr 9 2008, 08:10 AM) [snapback]2811182[/snapback]
wasalam.gif

Baqi sab replies parhney se pehley mere mind main aik misal/mahawra aya is ke jawab main

"Na ghar ke rahey na ghaat ke" poster_oops.gif

i know sis
you are so right
ham hai lekin naheen hain,hmmmm
classic
QUOTE(shafaq @ Apr 10 2008, 12:38 AM) [snapback]2812219[/snapback]
yup you are right
ppl don't die due to emotional maut

haan if nobody cares for them then they can take exreme measure like suicide,but that is like if things go to an extreme with no emotional strong support and also medical intervention.
insan ka dil usi qabr,yeah sahi hai,uska dil uski qabr uska dimagh bhi uski qabr,lifeless.

yeah lifeless............life hote hue bhi sab bejan............u ne me k mun ki baat chen lismile.gif
*DhanaK*
QUOTE(Abu Adnan @ Apr 10 2008, 03:52 PM) [snapback]2813563[/snapback]
walekum assalam!
hmmmm very interesting sawal.... kuch kah nahi sakta k aisa koi tajarbah nahi howa... yeh fard to fard juda juda hosakta hai.

jee bilkul har ek ka tajrubah haalat sab juda juda hotay hain
kucch halki emotionla chot khaatay hain kucch gehree khaatay hain,phir bhi sambhal jaatay hain aur kucch naheen bhee sambhal paatay,it;s different.

*DhanaK*
QUOTE(Airy_Princess @ Apr 9 2008, 06:48 PM) [snapback]2812188[/snapback]
g ... dunia ki sab se expensive cheez ... kissi ka sath

oh yessSS
one good saath is enough
*DhanaK*
QUOTE(Airy_Princess @ Apr 9 2008, 06:47 PM) [snapback]2812187[/snapback]
par main tou koi baat 0-heartbeat.gif par nahi leti 1-embaressed_smile.gif

accha karti ho
main to har baat dil par le leti hoon sochtee rehti hoon sochtee rehtee hoon,,,,,
sahera
jo emotional maut mar jatay heiN...uski chubhan aur takleef toh saree umr saaath rehti hay....bilkul aisi halaat hoti hay kay kehna bahoot kuch chatay hien ..... likhna chahtay hien magar sirf aik nuktay kay ilawa koi harf wajood nahi pata. bas aik nukta aur us mey chupi mohabbat ki khushi , phir judayee aur judayee ki baad maut kay din......dats all.
*DhanaK*
QUOTE(sahera @ Apr 11 2008, 09:31 AM) [snapback]2814284[/snapback]
jo emotional maut mar jatay heiN...uski chubhan aur takleef toh saree umr saaath rehti hay....bilkul aisi halaat hoti hay kay kehna bahoot kuch chatay hien ..... likhna chahtay hien magar sirf aik nuktay kay ilawa koi harf wajood nahi pata. bas aik nukta aur us mey chupi mohabbat ki khushi , phir judayee aur judayee ki baad maut kay din......dats all.

hmmmm,jab alfaaz saath chhor dein,goyaaayi saath chhor de,ek moorat patthar kee,har jazbay se aari.
sometimes when you stop thinking isn't that good ( in some cases)
seemaf
QUOTE(shafaq @ Apr 11 2008, 01:54 AM) [snapback]2813742[/snapback]
i know sis
you are so right
ham hai lekin naheen hain,hmmmm

Really buhat buri situation hoti hai .... Mera to shukar hai kabhi aisi situation se waasta nahi para .. per observation hai meri ..... Allah sab ko bachaye is se duas.gif
seemaf
QUOTE(Airy_Princess @ Apr 9 2008, 11:51 PM) [snapback]2812189[/snapback]
shukriya janab FDON.gif

adb.gif
Airy_Princess
QUOTE(shafaq @ Apr 11 2008, 09:41 AM) [snapback]2814014[/snapback]
accha karti ho
main to har baat dil par le leti hoon sochtee rehti hoon sochtee rehtee hoon,,,,,

sis ju ho gya woh ho gaya ... ju ho raha hai usko honay dien ... aur ju hoga acha hoga ... believe in ALLAH n urself
sahera
QUOTE(shafaq @ Apr 11 2008, 08:36 PM) [snapback]2815278[/snapback]
hmmmm,jab alfaaz saath chhor dein,goyaaayi saath chhor de,ek moorat patthar kee,har jazbay se aari.
sometimes when you stop thinking isn't that good ( in some cases)

na soochna aik naakaam farar ki rah hay bilkul wiasay daldaal mey phansa hoya naakaam haath pair marta hay.....jitni shidat se farar ki rah talaash karo gay utna he gehra sakooot aap ko apni lapait mey lay kar maar dey ga.
*DhanaK*
QUOTE(sahera @ Apr 13 2008, 03:23 AM) [snapback]2816245[/snapback]
na soochna aik naakaam farar ki rah hay bilkul wiasay daldaal mey phansa hoya naakaam haath pair marta hay.....jitni shidat se farar ki rah talaash karo gay utna he gehra sakooot aap ko apni lapait mey lay kar maar dey ga.

hmmmm,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,
sweet_human1
QUOTE(Airy_Princess @ Apr 13 2008, 01:02 AM) [snapback]2816100[/snapback]
sis ju ho gya woh ho gaya ... ju ho raha hai usko honay dien ... aur ju hoga acha hoga ... believe in ALLAH n urself

thumbup.gif Well said... number1.gif
*DhanaK*
QUOTE(Airy_Princess @ Apr 12 2008, 08:02 PM) [snapback]2816100[/snapback]
sis ju ho gya woh ho gaya ... ju ho raha hai usko honay dien ... aur ju hoga acha hoga ... believe in ALLAH n urself

smile.gif sach baat hai
ham insan hi jaldbaaz hain,jaldi na ummeed ho jaatay hain,himmat haar jaatay hain
Kashif
QUOTE(shafaq @ Apr 6 2008, 07:00 AM) [snapback]2807281[/snapback]
salaam alaikum doston

jab physical maut ham martay hain to hamari manzil qabr hoti hai,duniyawi zindigi ka end,lekin jab ham emotional maut martay hain uska anjaam kya hai,where is the end what is the end?

w/salam

meray khyal mein emotional maut hona bohat mushkil hay kisi insan ki ...kiyunke maut ka matlab hay us ka khatma ho jana laikin jab tak aik insan zinda hay us kay khayalaat, jazbaat , ehsasaat 100% khatam nahin ho saktay .......agar usay koi sadma bhi hay to us kay dimagh mein sadmay wali sochein to hain na ...haan yeh ho sakta hay kay woh depression ka shikar ho jayay

agar aisa ho jayay to banday ko ALLAH ki taraf hi rujoh karna chahiyay kiyunke aisay haal mein sirf ALLAH hi hay jo us ki halat ko behtar bana sakta hay
*DhanaK*
QUOTE(M Kashif Nisar @ Apr 16 2008, 12:43 PM) [snapback]2820280[/snapback]
w/salam

meray khyal mein emotional maut hona bohat mushkil hay kisi insan ki ...kiyunke maut ka matlab hay us ka khatma ho jana laikin jab tak aik insan zinda hay us kay khayalaat, jazbaat , ehsasaat 100% khatam nahin ho saktay .......agar usay koi sadma bhi hay to us kay dimagh mein sadmay wali sochein to hain na ...haan yeh ho sakta hay kay woh depression ka shikar ho jayay

agar aisa ho jayay to banday ko ALLAH ki taraf hi rujoh karna chahiyay kiyunke aisay haal mein sirf ALLAH hi hay jo us ki halat ko behtar bana sakta hay

beshak Allah hi haalat ko behter bana sakta hai sirf Allah.

emotional maut se muraad kisi ko uska sahi haq na milna,uski jaaez baat ka na samjjhna,zehni azze'at se kisi ko do chaar rakhna,tazleel karna aur usay apni safaayi mein kucch kehnay ka mauqa na dena,kisi ki soorat ka mazaaq ,kiis ki ghareebi ka mazaaq etc etc .saari woh cheezein jo aapko emotionally hurt karein.
raat ki rani
i think emOtinal Maut ka end Mental sicknesses per hOta hai lyk schizophrenia, paranoia, depression or psychosis etc etc... when a persOn dznt want tO liv in the real world anyMore...
*DhanaK*
QUOTE(raat ki rani @ Apr 17 2008, 10:26 AM) [snapback]2821877[/snapback]
i think emOtinal Maut ka end Mental sicknesses per hOta hai lyk schizophrenia, paranoia, depression or psychosis etc etc... [b]when a persOn dznt want tO liv in the real world anyMore...

when a persOn dznt want tO liv in the real world anyMore.

pretty much so

thanks!

Kashif
QUOTE(shafaq @ Apr 16 2008, 09:26 PM) [snapback]2820526[/snapback]
beshak Allah hi haalat ko behter bana sakta hai sirf Allah.

emotional maut se muraad kisi ko uska sahi haq na milna,uski jaaez baat ka na samjjhna,zehni azze'at se kisi ko do chaar rakhna,tazleel karna aur usay apni safaayi mein kucch kehnay ka mauqa na dena,kisi ki soorat ka mazaaq ,kiis ki ghareebi ka mazaaq etc etc .saari woh cheezein jo aapko emotionally hurt karein.

ji wohi main nay kaha na kay emotionally bohat buri situation mein bhi shayd usay maut na kaha ja sakay kiyunke maut to ehsasaat ka complete khatma kar deti hay.........laikin aisi situations mein bhi insan ka zehen kisi na kisi had tak jazbaat aur ehsasaat ko apnay ander mehsoos karta hay .......albata yeh hay kay aisi situation kisi bhi insan kay liyay bohat barri aazmayish hoti hay kiyunke jisam ka zakham itni takleef nahin deta jitni roohani takleefein azziat pohanchati hain aur jab insan kay jazbaat hurt hotay hain to woh toot phoot kar reh jata hay ..bohat say log depression, nashay ya sharab ka shikar ho jatay hain aur un ki zindagi tabah ho jati hay

bas aisay insan kay aas pass kay logoN ko us ko zindagi ki taraf dobara lanay ki koshish karni chahiyay aur ALLAH say hi madad mangni chahiyay
*DhanaK*
QUOTE(M Kashif Nisar @ Apr 18 2008, 12:49 PM) [snapback]2824234[/snapback]

jee jismani takleef se roohaani takleef kaheen zyadah mohlik hoti hai.
rooh ko chot pahonchay to zakhm bharta naheen hai.

aur Allah se madad hi sab se bada sahara hai.jo ke kisi mukhlis ya hamdard ki shakl mein ho sakta hai.
rani aapi
2 me emotional maut say murad kisi insaan ki sochoun us kay ahsasaat ko marna..uss ki izatay nafs ka katal karna hai

uss ko is darja thais pouhnchana hai k woh sehm jaye...woh normal sochna chor day...duniya say kinara kar jaye....uss ka har

aik say aitmaad uth jaye...issay kuch acha na lagay sawaye tanhai kay..

shayad kuch log issay maut tasleem na karain magar meray liay yeh physicak death say bhee ziayada

takleef day hai...main to sochti houn is jurm ki bhee aik saza honi chahiyeah. death main to sirf insaan

aik daffa marna parta hai....magar in this case insaan pal pal marta hai aur pal pal jeeta hai....

yani ajeeb si kaifiyat sy dochaar rehta hai....aik tarah sooli

pay latka rehta hai....woh logoun say milnay say katraata hai...buklay tanha rehna pasand karta hai..

phir ussay dobara normal nahin kiya jaa sakta...haan shayad wakt kay saath saath uski takleef

kum hona shuru ho jaye..jaisay kay kaha jaata hai wakt behtreen marham hota hai...magar

phir koi talkh jamla ya logoun ki koi chubti baat uss kay wahi zakhm dobara taaza kar sakti hai..

iss liay uss shaks say normal behaviour ki tawaku rakhna bohut mushkil hai...haan meray khayal

main ussay aik surat main normal kiya jaa sakta hai k uss kay saath youn behave kiya jaye

jaisay kay uss kay saath kuch hua hi nahi hai takay woh issi soch main halkaan na ho kay

meray apnay aur dosray log meray baaray main kiya sochatay houn gay...ya mujay abh ehmiyat

nahin dain gay...unhain ehsaas dilaya jaye k woh abh bhee un ki zindagi main itnay hi ehm hain...

but inshort yahi kahoun gi k ALLAH TALA kisi dushman ko bhee is kisam ki azmaish main dochaar na karay ameen rose.gif

Kashif
QUOTE(shafaq @ Apr 19 2008, 11:32 AM) [snapback]2825804[/snapback]
jee jismani takleef se roohaani takleef kaheen zyadah mohlik hoti hai.
rooh ko chot pahonchay to zakhm bharta naheen hai.

aur Allah se madad hi sab se bada sahara hai.jo ke kisi mukhlis ya hamdard ki shakl mein ho sakta hai.

ji sahi kaha
Allah Talah hum sab ko aisi situation say mehfooz rakhay (aamin) duas.gif
seemaf
QUOTE(rani aapi @ Apr 20 2008, 03:15 AM) [snapback]2827598[/snapback]
2 me emotional maut say murad kisi insaan ki sochoun us kay ahsasaat ko marna..uss ki izatay nafs ka katal karna hai

uss ko is darja thais pouhnchana hai k woh sehm jaye...woh normal sochna chor day...duniya say kinara kar jaye....uss ka har

aik say aitmaad uth jaye...issay kuch acha na lagay sawaye tanhai kay..

shayad kuch log issay maut tasleem na karain magar meray liay yeh physicak death say bhee ziayada

takleef day hai...main to sochti houn is jurm ki bhee aik saza honi chahiyeah. death main to sirf insaan

aik daffa marna parta hai....magar in this case insaan pal pal marta hai aur pal pal jeeta hai....

yani ajeeb si kaifiyat sy dochaar rehta hai....aik tarah sooli

pay latka rehta hai....woh logoun say milnay say katraata hai...buklay tanha rehna pasand karta hai..

phir ussay dobara normal nahin kiya jaa sakta...haan shayad wakt kay saath saath uski takleef

kum hona shuru ho jaye..jaisay kay kaha jaata hai wakt behtreen marham hota hai...magar

phir koi talkh jamla ya logoun ki koi chubti baat uss kay wahi zakhm dobara taaza kar sakti hai..

iss liay uss shaks say normal behaviour ki tawaku rakhna bohut mushkil hai...haan meray khayal

main ussay aik surat main normal kiya jaa sakta hai k uss kay saath youn behave kiya jaye

jaisay kay uss kay saath kuch hua hi nahi hai takay woh issi soch main halkaan na ho kay

meray apnay aur dosray log meray baaray main kiya sochatay houn gay...ya mujay abh ehmiyat

nahin dain gay...unhain ehsaas dilaya jaye k woh abh bhee un ki zindagi main itnay hi ehm hain...

but inshort yahi kahoun gi k ALLAH TALA kisi dushman ko bhee is kisam ki azmaish main dochaar na karay ameen rose.gif

Rite yes.gif
ibniadam
QUOTE(shafaq @ Apr 6 2008, 07:30 AM) [snapback]2807281[/snapback]
salaam alaikum doston

jab physical maut ham martay hain to hamari manzil qabr hoti hai,duniyawi zindigi ka end,lekin jab ham emotional maut martay hain uska anjaam kya hai,where is the end what is the end?

jazbaat margayae to phir ajal ka kiya kaam
bae maut margaya koiee to turbat ka kiya kaaam

zindagi bus ik wajood he nahi hain saki
kuch to hain rooh-e naaz ka bhi kaam.

smile.gif
*DhanaK*
QUOTE(rani aapi @ Apr 19 2008, 10:15 PM) [snapback]2827598[/snapback]
2 me emotional maut say murad kisi insaan ki sochoun us kay ahsasaat ko marna..uss ki izatay nafs ka katal karna hai

uss ko is darja thais pouhnchana hai k woh sehm jaye...woh normal sochna chor day...duniya say kinara kar jaye....uss ka har

aik say aitmaad uth jaye...issay kuch acha na lagay sawaye tanhai kay..

shayad kuch log issay maut tasleem na karain magar meray liay yeh physicak death say bhee ziayada

takleef day hai...main to sochti houn is jurm ki bhee aik saza honi chahiyeah. death main to sirf insaan

aik daffa marna parta hai....magar in this case insaan pal pal marta hai aur pal pal jeeta hai....

yani ajeeb si kaifiyat sy dochaar rehta hai....aik tarah sooli

pay latka rehta hai....woh logoun say milnay say katraata hai...buklay tanha rehna pasand karta hai..

phir ussay dobara normal nahin kiya jaa sakta...haan shayad wakt kay saath saath uski takleef

kum hona shuru ho jaye..jaisay kay kaha jaata hai wakt behtreen marham hota hai...magar

phir koi talkh jamla ya logoun ki koi chubti baat uss kay wahi zakhm dobara taaza kar sakti hai..

iss liay uss shaks say normal behaviour ki tawaku rakhna bohut mushkil hai...haan meray khayal

main ussay aik surat main normal kiya jaa sakta hai k uss kay saath youn behave kiya jaye

jaisay kay uss kay saath kuch hua hi nahi hai takay woh issi soch main halkaan na ho kay

meray apnay aur dosray log meray baaray main kiya sochatay houn gay...ya mujay abh ehmiyat

nahin dain gay...unhain ehsaas dilaya jaye k woh abh bhee un ki zindagi main itnay hi ehm hain...

but inshort yahi kahoun gi k ALLAH TALA kisi dushman ko bhee is kisam ki azmaish main dochaar na karay ameen rose.gif

i'll be back with your reply rani aapi smile.gif
sahera
QUOTE(shafaq @ Apr 13 2008, 03:59 AM) [snapback]2816259[/snapback]
hmmmm,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,

ab is hummmmmm ka koi matlab hoya bhala...maine aap ko pM karna ab soochtI hon yehi baat kar lon.....yeh baigan ka samber kaisay banta hay ....zara cooking section mey aakar batana...nahi toh saray nadeeday yahaN bhaithak mey he khanay kay lye jama hojaye gay.
This is a "lo-fi" version of our main content. To view the full version with more information, formatting and images, please click here.
Invision Power Board © 2001-2008 Invision Power Services, Inc.