QUOTE(sahera @ Apr 24 2008, 07:59 PM) [snapback]2837635[/snapback]
usuf bahi aap yahaN hindooN kay parsad ki toh baat he na karay.
humari kaam wali christian hay woh batati hay apnay bachpan ki kahaniYan kay jahaN woh rehti thi hindoN ka mandir hoya karta roz dhodh lado coconut aur khanay peenay ki chesian charha kar jatay thay aur jab pujari sahab idher udher hotay thay toh kaisay un par haath saaf kiya jata tha...pakari bhi jati thi aur shammat bhi aaty thi...ab banda pochay is mey kaam wali ka kya kasoor hay?
sahera!
baingan ke saambhar ki recipe bata dee hai,waheen jahan tumnay poocchee thee,check kar lo.
aur parsaad se yaad aya jab chhuttiyon mein apnay nanhihaal lucknow jaati thee to next door ek makaan tha jiskay samanay bahot bada baagh bhi tha jahan ek kele ke darakh mein kucch kucch din baad hindu kucch charha jaatay thay i mean roshni kartay thay aur fruit mitthayi etc rakhtay thay.main kuch 7/8 years ki thee to friends ki instigation par wahan se kela uttha ke ek aadh baar khaya,us umr mein kela sirf kela tha

mujhhay to moti choor ke laddu bahot pasand hain,acchay mazedaar narm, jo munh mein rakhtay hi khul jaayein,ahaa haa