Help - Search - Members - Calendar
Full Version: How U Make "baigan Ka Bharta"?
HulChul.NET > Halla Gulla > Pakwan + Zaiqa = Best Cooking
Pages: 1, 2, 3
sahera
Bharta bananay kay liye konsa tareeka istemaal kiya jaye agar gas aur bijali na ho?
Tweety_Lady
gas kay baghair tou nai ban sakta unless or until u have tandoor option 1-think.gif
Abu Adnan
QUOTE(sahera @ Apr 7 2008, 08:54 PM) *

jab /jahaaN gas aur bijli nahi howa karti thee.... tab bhi baigan ka bhurtah khoob khoob banaya jataa aur chaTkharay lay lay kar khaya jataa thaa.... aap agar yeh poochti to sawaal zeyadah mushkil (but not for me icon_peace.gif ) aur mazedaar hota k agar baigan nah ho to baigan ka bhurta kaisay banaya jaye. E21.gif

bachpan maiN hamaray ghar yeh bhurtah aksar bana kartaa thaa.... aap taazay gol maTol (lambay walay nahi) chaar adad baigan lay laiN. inn baigans maiN hole karkay mukhtalif sides say chilay howay lahsan k jaway, surkh mirch holes maiN enter kar daiN. phir inn baigans ko tandoor maiN, lakri k choolhey maiN aag ki raakh k ander yaa halki gas ki aag k ooper dam pukht k liyeh rakh choraiN. baigan jalnay nahi chahiyeh aur sara baigan ander centre tak gal jana chhaiyeh.

baigan k jalay howay chilkay otaar kar baigan ko mota mota pees laiN yaa (ajkal k style maiN) grind kar laiN. hasbay zaaiqah namak, hara dhanya, podeenah, bhona howa zeerah, thoRa adrak, kala namak, aur agar pasand karaiN to thoRi see imlee bhi grind /pees kar mix kar laiN.

daal chawal k saath pesh karaiN. khanay walay ungliyaaN chaaT.tay rah jayengay.
E9.gif E9.gif
~Saraj~
QUOTE(Tweety_Lady @ Apr 11 2008, 08:44 PM) *

Arrey Tweety Lady aap yahan kahan se agyen ? 1-think.gif

Nice to c u after long time thumbup.gif

tihami
QUOTE(Abu Adnan @ Apr 18 2008, 09:06 AM) *

bhai aap ka resturant kis name say mash-hoor hay
~Saraj~
QUOTE(tihami @ Apr 18 2008, 02:32 PM) *
bhai aap ka resturant kis name say mash-hoor hay

Daster khawan.e.Khyali Pilao E21.gif
~Saraj~
QUOTE(sahera @ Apr 7 2008, 08:54 PM) *
Bharta bananay kay liye konsa tareeka istemaal kiya jaye agar gas aur bijali na ho?

Larki Berdasht ker werna Tapp'er hey to pass ker E21.gif
E9.gif E9.gif E9.gif
Abu Adnan
QUOTE(~Saraj~ @ Apr 18 2008, 02:52 PM) *
Daster khawan.e.Khyali Pilao E21.gif

rule.gif

chaman say boo'ay kabaab aati hai
kissi 'bulbul' ka dil 0-heartbeat.gif jalaa hogaa

E9.gif icon_peace.gif E9.gif icon_peace.gif E9.gif

~Saraj~
QUOTE(Abu Adnan @ Apr 18 2008, 03:46 PM) *
rule.gif

chaman say boo'ay kabaab aati hai
kissi 'bulbul' ka dil 0-heartbeat.gif jalaa hogaa

E9.gif icon_peace.gif E9.gif icon_peace.gif E9.gif

Tum Boo'ay kabab ki baat kertey ho E21.gif
Yahan khoo'ey Usuf arahi hey D.gif

adb.gif
Abu Adnan
QUOTE(~Saraj~ @ Apr 18 2008, 04:02 PM) *

Tum Boo'ay kabab ki baat kertey ho E21.gif
Yahan khoo'ey Usuf arahi heyD.gif

adb.gif

'kaNwaar.panay' maiN har aik naqsha ulTa nazar ataa hai
krakrani.gif yousuf nazar aati hai, zulekhaa nazar aataa hai krakrani.gif

E9.gif E9.gif
Tweety_Lady
QUOTE(Abu Adnan @ Apr 18 2008, 09:06 AM) *
jab /jahaaN gas aur bijli nahi howa karti thee.... tab bhi baigan ka bhurtah khoob khoob banaya jataa aur chaTkharay lay lay kar khaya jataa thaa.... aap agar yeh poochti to sawaal zeyadah mushkil (but not for me icon_peace.gif ) aur mazedaar hota k agar baigan nah ho to baigan ka bhurta kaisay banaya jaye. E21.gif

bachpan maiN hamaray ghar yeh bhurtah aksar bana kartaa thaa.... aap taazay gol maTol (lambay walay nahi) chaar adad baigan lay laiN. inn baigans maiN hole karkay mukhtalif sides say chilay howay lahsan k jaway, surkh mirch holes maiN enter kar daiN. phir inn baigans ko tandoor maiN, lakri k choolhey maiN aag ki raakh k ander yaa halki gas ki aag k ooper dam pukht k liyeh rakh choraiN. baigan jalnay nahi chahiyeh aur sara baigan ander centre tak gal jana chhaiyeh.

baigan k jalay howay chilkay otaar kar baigan ko mota mota pees laiN yaa (ajkal k style maiN) grind kar laiN. hasbay zaaiqah namak, hara dhanya, podeenah, bhona howa zeerah, thoRa adrak, kala namak, aur agar pasand karaiN to thoRi see imlee bhi grind /pees kar mix kar laiN.

daal chawal k saath pesh karaiN. khanay walay ungliyaaN chaaT.tay rah jayengay.
E9.gif E9.gif

yummy recipie icon_peace.gif thanks brother 0-surprise.gif
Tweety_Lady
QUOTE(~Saraj~ @ Apr 18 2008, 09:13 AM) *
Arrey Tweety Lady aap yahan kahan se agyen ? 1-think.gif

Nice to c u after long time thumbup.gif

thanks 1-think.gif but do i know you 0-baby.gif
Abu Adnan
QUOTE(Tweety_Lady @ Apr 18 2008, 08:43 PM) *
yummy recipie icon_peace.gif thanks brother 0-surprise.gif

Thanku.gif Thanku.gif
~Saraj~
QUOTE(Abu Adnan @ Apr 18 2008, 04:21 PM) *
'kaNwaar.panay' maiN har aik naqsha ulTa nazar ataa hai
krakrani.gif yousuf nazar aati hai, zulekhaa nazar aataa hai krakrani.gif

E9.gif E9.gif

Ek Dil Gurda.e.Usuf chahiey Shadi shuda honey ke liey
Phir dekhiey kya guzerti hey qatrey per gohar honey tak krakrani.gif

E9.gif E9.gif
~Saraj~
QUOTE(Tweety_Lady @ Apr 18 2008, 08:45 PM) *
thanks 1-think.gif but do i know you 0-baby.gif

Dont u think so 1-think.gif
Abu Adnan
QUOTE(~Saraj~ @ Apr 19 2008, 02:43 PM) *
Ek Dil Gurda.e.Usuf chahiey Shadi shuda honey ke liey
Phir dekhiey kya guzerti hey qatrey per gohar honey tak krakrani.gif

E9.gif E9.gif

Yeh lo bhai aap bhi kia yaad karogay.... 2 maiN say aik gurdah, jo pasand ho lay lo... apan aik say bhi guzara karlega... magar khabar.daar jo 0-heartbeat.gif ki taraf mailee nazar say dekha bhi ... woh pahlay hi kissi k naam parcel hochuka hai. icon_peace.gif

E9.gif E9.gif
Abu Adnan
QUOTE(Tweety_Lady @ Apr 11 2008, 08:44 PM) *
gas kay baghair tou nai ban sakta unless or until u have tandoor option 1-think.gif

lagta hai k sahera bibi aap ki reply dekh kar tandoor bananay chali gayee haiN.... jouNh hi tandoor tayyar hogaya woh yahaaN aan kar batlayengi k tandoor ki madad say baigan ka bhurtah banaa yaa khud onkaaaaaa poster_oops.gif

E9.gif E9.gif
sahera
QUOTE(Tweety_Lady @ Apr 11 2008, 03:44 PM) *
gas kay baghair tou nai ban sakta unless or until u have tandoor option 1-think.gif
'

aap ko toh pata hay kay tandoor not possible aaj kal...mera bas chalay toh porana zamana wapis lay AOn......meri baree khawahish hay kay ghar mey tandoor ho ..meri toh amaa jee nahi manti ....es wastay mey chup kar jati hoN........waisay aisa toh bahoot kum hoya hay kay humari gas na ho.....magar jab gas nahi hoti toh lawn mey entoN ka choolaa ban kar .....lakarion se aag jalaa kar mey he ghar waloN ko khana bana kar deti hOn miti ki handi mey.......it tastes totally change from the gas stoves......bahoot mazeydaar banti hay.
sahera
QUOTE(Abu Adnan @ Apr 20 2008, 04:36 AM) *
lagta hai k sahera bibi aap ki reply dekh kar tandoor bananay chali gayee haiN.... jouNh hi tandoor tayyar hogaya woh yahaaN aan kar batlayengi k tandoor ki madad say baigan ka bhurtah banaa yaa khud onkaaaaaa poster_oops.gif
E9.gif E9.gif

tandoor mey bharta banana koi mushkil kaam nahi.baigan he beech mey rakhnay hien na.....mujhe nahi yaad aata mera aaj tak bharta bana ho.
sahera
QUOTE(Abu Adnan @ Apr 18 2008, 11:21 AM) *
'kaNwaar.panay' maiN har aik naqsha ulTa nazar ataa hai
krakrani.gif yousuf nazar aati hai, zulekhaa nazar aataa hai krakrani.gif

E9.gif E9.gif

saraj bahi aap sab ko shadi kar kay dekhaa kio nahi detay? bas ab aap sur par sehraaa bandh kar nikal he kharay HOn...... E21.gif
sahera
QUOTE(~Saraj~ @ Apr 18 2008, 09:53 AM) *
Larki Berdasht ker werna Tapp'er hey to pass ker E21.gif
E9.gif E9.gif E9.gif

mey yeh sooch rahi hOn mujhe teri baat ki samjh bhalaa kio kar na aaye?

zara apni baat par torch ki roshani dalooo.
*RAJA*
QUOTE(sahera @ Apr 8 2008, 02:54 PM) *
Bharta bananay kay liye konsa tareeka istemaal kiya jaye agar gas aur bijali na ho?

ARMY WALOUN SAY POCHAIN OUNHAIN BOHAT TAJERBA HAI............
PAK MAIN NA GAS HAI NA BIJLI PHIR BHI KIYA KHOB BHARTA BINATEH HAIN 1-baatcheet.gif
Abu Adnan
QUOTE(sahera @ Apr 22 2008, 12:24 AM) *
saraj bahi aap sab ko shadi kar kay dekhaa kio nahi detay? bas ab aap sur par sehraaa bandh kar nikal he kharay HOn...... E21.gif

agar phir yeh dekhnay dekhanay k qabil rahay to krakrani.gif
Abu Adnan
QUOTE(sahera @ Apr 22 2008, 12:20 AM) *
tandoor mey bharta banana koi mushkil kaam nahi.baigan he beech mey rakhnay hien na.....mujhe nahi yaad aata mera aaj tak bharta bana ho.

phir chaTni to bani hi hogi E21.gif waisay bhi aisee bataiN YAAD kaun rakhta hai icon_peace.gif
Abu Adnan
QUOTE(*RAJA* @ Apr 22 2008, 03:07 AM) *
ARMY WALOUN SAY POCHAIN OUNHAIN BOHAT TAJERBA HAI............
PAK MAIN NA GAS HAI NA BIJLI PHIR BHI KIYA KHOB BHARTA BINATEH HAIN 1-baatcheet.gif

QAUM KA YAA .... 1-think.gif
sahera
QUOTE(*RAJA* @ Apr 21 2008, 10:07 PM) *
ARMY WALOUN SAY POCHAIN OUNHAIN BOHAT TAJERBA HAI............
PAK MAIN NA GAS HAI NA BIJLI PHIR BHI KIYA KHOB BHARTA BINATEH HAIN 1-baatcheet.gif

aur bharta bana kar us par nachtay bhi hien musharaf sahab ....yeh aap ko kya sooji uski tasveer laga rakhi hay?
sahera
QUOTE(Abu Adnan @ Apr 22 2008, 04:18 AM) *
agar phir yeh dekhnay dekhanay k qabil rahay to krakrani.gif

hahahahahaha.....loog na shadi kay begiar jeenay detay hien na shadi kar kay jeenay detay hein.
sahera
QUOTE(Abu Adnan @ Apr 22 2008, 04:20 AM) *
phir chaTni to bani hi hogi E21.gif waisay bhi aisee bataiN YAAD kaun rakhta hai icon_peace.gif

yani aap badaam nahi khatay sirf isi daR se kay apni chatni aur bharta yaad na aata rahey..... kuuaaburr.gif
tihami
QUOTE(Abu Adnan @ Apr 22 2008, 05:18 AM) *
agar phir yeh dekhnay dekhanay k qabil rahay to krakrani.gif

aap ka tajurba kia kahta hay ? krakrani.gif
Abu Adnan
QUOTE(sahera @ Apr 22 2008, 03:37 PM) *
hahahahahaha.....loog na shadi kay begiar jeenay detay hien na shadi kar kay jeenay detay hein.

E9.gif E9.gif

yeh 'luDDoo hi aisa hai k bin khaye jiya nah jaye... aur khaa kar jeena kay qabil nah rahay bandah cut.gif
Abu Adnan
QUOTE(sahera @ Apr 22 2008, 03:41 PM) *
yani aap badaam nahi khatay sirf isi daR se kay apni chatni aur bharta yaad na aata rahey..... kuuaaburr.gif

E9.gif E9.gif

kia shot maraa hai.. bahoot khoob n well played. number1.gif
Abu Adnan
QUOTE(tihami @ Apr 22 2008, 03:42 PM) *
aap ka tajurba kia kahta hay ? krakrani.gif

goyaa aap saraj ko shadi shudah dekhna nahi chaahtay.... eusa_naughty.gif
sahera
QUOTE(Abu Adnan @ Apr 22 2008, 11:31 AM) *
E9.gif E9.gif

yeh 'luDDoo hi aisa hai k bin khaye jiya nah jaye... aur khaa kar jeena kay qabil nah rahay bandah cut.gif

bas isiliye personally i dont like"ladooo"
sahera
QUOTE(Abu Adnan @ Apr 22 2008, 11:35 AM) *
goyaa aap saraj ko shadi shudah dekhna nahi chaahtay.... eusa_naughty.gif

dekh lo saraj bahi ..kitnay loG tumharay rastay mey roray dalay bethay heIN.....
Abu Adnan
QUOTE(sahera @ Apr 23 2008, 12:07 AM) *
bas isiliye personally i dont like"ladooo"

E9.gif E9.gif

mujhay bhi 2 wajah say luDDoo pasand nahi... aik to yehi k kam.bakht issay khaa kar bandah shadi shuah hojata hai thumbsdown_anim.gif aur doosray yeh luDDoo mandirouN maiN bah taur 'par.saad' khoob khoob chaRhaya jata hai. breakface1.gif
Abu Adnan
QUOTE(sahera @ Apr 23 2008, 12:14 AM) *
dekh lo saraj bahi ..kitnay loG tumharay rastay mey roray dalay bethay heIN.....

saraj bhai! rose.gif

inhi path.tharouN pay chal kar, agar aa.sako to aayo
shadi-ghar kay raastay maiN koi kah.kashaN nahi hai
Abu Adnan
mulkay azeez maiN hot issue adalya ki azaadi hai to hc par HOT issue saraj bhai ki azaadi ka khatema. baat kaheeN say start ho.... khaah baigan k bhurtay say hi........ baat khaah baigan....

zikr chiRaa gar baigan k bhurtay kaa
baat pahonchi saraj bhai ki shadi tak

Allah karay k dounouN issue jald az solve hojayaiN... adalkya AZAAD aur saraj bhai QAID hojayain. sab milkar bolo AMEEN
duas.gif duas.gif duas.gif
*DhanaK*
baat chali baingan ke bhurtay say,aakay ruki shadi ke ladduon par ,haaye ray hc main sadqay waari smile.gif
Abu Adnan
QUOTE(shafaq @ Apr 23 2008, 10:09 AM) *
baat chali baingan ke bhurtay say,aakay ruki shadi ke ladduon par ,haaye ray hc main sadqay waari smile.gif

issi tarah to hota hai hc ki posTouN maiN icon_peace.gif

kabhi mujhay iss tarah ki offs.gif par koft aur pareeshani howa karti the... lelkin ab kaanay-namak maiN khud bhi namak ban chuka houN.
tomb.gif
sahera
QUOTE(Abu Adnan @ Apr 23 2008, 03:43 AM) *
E9.gif E9.gif

mujhay bhi 2 wajah say luDDoo pasand nahi... aik to yehi k kam.bakht issay khaa kar bandah shadi shuah hojata hai thumbsdown_anim.gif aur doosray yeh luDDoo mandirouN maiN bah taur 'par.saad' khoob khoob chaRhaya jata hai. breakface1.gif

usuf bahi aap yahaN hindooN kay parsad ki toh baat he na karay.

humari kaam wali christian hay woh batati hay apnay bachpan ki kahaniYan kay jahaN woh rehti thi hindoN ka mandir hoya karta roz dhodh lado coconut aur khanay peenay ki chesian charha kar jatay thay aur jab pujari sahab idher udher hotay thay toh kaisay un par haath saaf kiya jata tha...pakari bhi jati thi aur shammat bhi aaty thi...ab banda pochay is mey kaam wali ka kya kasoor hay?
sahera
QUOTE(shafaq @ Apr 23 2008, 05:09 AM) *
baat chali baingan ke bhurtay say,aakay ruki shadi ke ladduon par ,haaye ray hc main sadqay waari smile.gif

aap ab jaan na churwaye baigan kay bhartay ki recipe bataye yani woh sambher...maine jald try karna hay usko .....ahoooo.
sahera
QUOTE(Abu Adnan @ Apr 23 2008, 03:51 AM) *
mulkay azeez maiN hot issue adalya ki azaadi hai to hc par HOT issue saraj bhai ki azaadi ka khatema. baat kaheeN say start ho.... khaah baigan k bhurtay say hi........ baat khaah baigan....

zikr chiRaa gar baigan k bhurtay kaa
baat pahonchi saraj bhai ki shadi tak

Allah karay k dounouN issue jald az solve hojayaiN... adalkya AZAAD aur saraj bhai QAID hojayain. sab milkar bolo AMEEN
duas.gif duas.gif duas.gif

adliya ki azadi ka bhi bhurta banta nazar aaraha hay aur saraj bahi ka toh roz he banta hay aur jis post mey HOn shadi kay naam par he banta hay.....yeh toh routine work hay na ab humara...is par please kuch mut kahey warna saaraj bahi kay bhi naraz honay ka khatra......
tihami
QUOTE(Abu Adnan @ Apr 22 2008, 12:35 PM) *
goyaa aap saraj ko shadi shudah dekhna nahi chaahtay.... eusa_naughty.gif

bhai unhaain shadi shuda daikhnaay k liyay deeda-e-bena chahyaay....

agar woh bena say shadi k liyya tayar hu jatay haain tu..............................
Abu Adnan
QUOTE(sahera @ Apr 25 2008, 12:59 AM) *
usuf bahi aap yahaN hindooN kay parsad ki toh baat he na karay.

humari kaam wali christian hay woh batati hay apnay bachpan ki kahaniYan kay jahaN woh rehti thi hindoN ka mandir hoya karta roz dhodh lado coconut aur khanay peenay ki chesian charha kar jatay thay aur jab pujari sahab idher udher hotay thay toh kaisay un par haath saaf kiya jata tha...pakari bhi jati thi aur shammat bhi aaty thi...ab banda pochay is mey kaam wali ka kya kasoor hay?

offs.gif

kia UK maiN kaam waaliyaaN mil jati haiN 1-quest.gif yaa aap pak ki baat kar rahay haiN. agar uk maiN mil jati haiN to onkay rates to bahoot high hotay hongay?
Abu Adnan
QUOTE(sahera @ Apr 25 2008, 01:07 AM) *
adliya ki azadi ka bhi bhurta banta nazar aaraha hay aur saraj bahi ka toh roz he banta hay aur jis post mey HOn shadi kay naam par he banta hay.....yeh toh routine work hay na ab humara...is par please kuch mut kahey warna saaraj bahi kay bhi naraz honay ka khatra......

ok
admin ko chahiyeh k har section k ooper yeh elaan jali haroof maiN likhwa day k ... yahaaN saraj bhai ki (mojawwazah) shadi par kuch kahna mana hai. iss tarah hamaiN yaad raha karega k....
eusa_dance.gif
Abu Adnan
QUOTE(tihami @ Apr 25 2008, 04:45 AM) *
bhai unhaain shadi shuda daikhnaay k liyay deeda-e-bena chahyaay....
agar woh bena say shadi k liyya tayar hu jatay haain tu..............................

to kia baad az shadi onka HAQ sirf beena k deedah par hoga yaa ..... E21.gif
*Life*
its so easyyyyyyyyyyyyyyyyyyy
Abu Adnan
QUOTE(life of wat @ Apr 25 2008, 08:28 AM) *
its so easyyyyyyyyyyyyyyyyyyy

khanay maiN yaa bananay maiN.... icon_peace.gif
*Life*
dono ma .................... yippie.gif
tihami
QUOTE(Abu Adnan @ Apr 25 2008, 04:21 AM) *
offs.gif

kia UK maiN kaam waaliyaaN mil jati haiN 1-quest.gif yaa aap pak ki baat kar rahay haiN. agar uk maiN mil jati haiN to onkay rates to bahoot high hotay hongay?

bhai aap kuch ziada hi offs.gif hu gaay .. yah reply sahera ko hi kia hay na aap nay? laikin
QUOTE
baat kar rahay haiN
say lagta hay mujh say kia hay.........
waisay aap ki baat ka jawab main... kuch loug PAKISTAN say bula laitay haain kam karnay waliyoon ko... un ka kharcha kuch houta nahen,.. aik extra banday ka khana hi houta hay na.. unhain 100-200 £ mil jatay haain per month.. ya jis par bhi maan jayain.. eid waghaira par £s main eidi mil jaatee hay.. saal 2 saal amin aik PAK ka chakkar bhi lagwaa diya jaata hay un ka..... so both stay happy....

warna UK main minimal wages ab 7£/ hr haain I think.....
This is a "lo-fi" version of our main content. To view the full version with more information, formatting and images, please click here.
Invision Power Board © 2001-2008 Invision Power Services, Inc.