


Stars In The Scene
M.Kashif Nisar As Ouliyaa Siraj
Uncertainty As Manaab Mir
Irrational Methane As Salman
Princess of Self As Zartasha
Nemo As Naumana
Nomi As Raad
Dark Angel As Nisha
Humzaad As Abid
Seemaf as Seemaab

Ouliyaa: Manaab listen to me ... please Listen to me ...
[manaab ouliyaa ki baat nahi sunti aur chali jati hai aur ouliyaa ussey khara dekhta rehta hai par woh apne ghar chali jaati hai]
seemaab:arey manaab ghar agaein beta ... areesha aur anfaal maza aaya???
Manaab: G ... sab sahi ho gya ami ...[kids ko unn k room main bed par litaa deti hai]
Seemaab: Manaab sab khairiat tou hai na beta?
Manaab: G ami sab thek hai [apne ansoo chupate huye apne room main chali jaati hai uski samajh nahi arha hota hai k ye sab kyun hua aur ouliyaa ... kya ouliyaa aesa kar sakta hai??? ouliyaa tou uski khushiyun ka dushman nahi ho sakta...ghabrahat k aalam main woh ghar ki chatt par chali jaati hai aur khudh se baatien karne lagti hai ... dousri jaanib ouliya bhi apne ghar ki chaat par khara hota hai aur khudh se baatien karne lagta hai ... 2no aasman ko dekh kar shikwaa karne lagte hain]
Manaab: Aesa meray saath hi kyun hua ALLAH g ??? main ne ...
Ouliyaa: Main ne Manaab ko khatam kar dia
Manaab: Ouliyaa tum ne ... woh aesa kaise kar sakta
Ouliyaa: yeh sab mujhse hi kyun hua
Manaab: abb tou mujhe lag raha tha k sab theek ho jaye ga [zaar o qatar dono rouye ja rahe hote hain]
Ouliyaa: sach tou samne aata hi hai...mein ne aik aur bari ghalti kar di k
Manaab: usne mujhse sab kuch chupaaya ... why me???
Ouliyaa: Why me ... ALLAH ... I love her so much tou phir main kesay... [ thandi hawa chal rahi hoti hai ju unn k ansoo'on ko rokne ki koshish karti hai]
Manaab: Kyun??? Main hi kyun???
Ouliyaa: ye ... [hickiyan le kar roune lagta hai]
Manaab: Kyun ALLAH g mera walee tou hamesha mujhe khush dekhna chahta tha tou phir wohi kyun??? woh kyun wohi nikla???
Ouliyaa: Main janta hon mujhe kya karna hai?
Manaab: walee tum hi kyun??? kyun tumhi woh nikle???
[i][manaab zor zor se roune lagti hai aur uski khansi berhti chali jaati hai ... woh buht zor zor se saans leti hai par kuch bann nahi parta aur uski khansi ki shiddat berh jati hai usski ankhon se ansoo tapak rahe hote hain...khanste khanste uss k monh se khoon nikalta hai aur uss k haath par girta hai jisko dekh kar woh heraan reh jaati hai ... uski khansi khatam nahi ho rahi hoti seemaab khansi ki awaz sun kar aur manaab ko uss k room main na pa kar chaat par aati hai manaab neem-behoos pari hoti hai ussky monh par khoon lga hota hai]
Seemab: Mano mera bacha kya hua hai tujhey tu ...
Manaab: Ami ... ami [thaki hui awaz main bolti hai]
Semaab: kuch na hoga beta tumko [pyaar karti hai manaab ko]

Next Morning
Anzalah: Khaan baba ye ouliyaa kahan hai abhi tak nahi aaya khaane ki table par?
Faisal Siraj: Arey aata hi hoga fikar kyun karti ho
Anzalah: yeh larka bhi na ...
[yak damm aik police inspector ghar main dakhil hota hai]
Inspector:Kya app hi ouliya siraj hain? [ouliya ki tarf ishara karte huye]
Anzalah: app ... kyun kya hua hai?
Faisal: khairiat officer??? [hairangi se police ko dekhte huye]
Ouliyaa: g haan mai hi ouliya hon ... Ouliyaa Siraj [stairs se utar kar neechay lounge main aata hai]
Inspector: tou kya app ready hain jaane ko sir?
Ouliyaa: g
Anzalah: arey kaahan??? Matlab kya hai apka?
Inspector: Ma'am app k betay Ouliyaa Siraj ne ye beyaan dia hai k Ajj se 5 saal pehlay 23rd march 2002 ki subah ko aik accident kia tha ... inki car full speed main thi jisko ye control na kar sakay
Anzalah: par woh tou [aik damm baat karte karte rukk jati hai]
Inspector: woh tou kya??? uss hadsey main MR.Kamran Haq ki maut ho gayi aur unnki biwi comma' main hain apka beta ...
Ouliyaa: Jee main ne gunnah kia hai aur main uski saza bughton ga chaleye app ...

Nemo: Lou dekhou tou sahi yeh ouliyaa kesa nikla [saib khate huye] mujhe tou uss par pehlay hi shakk tha
Raad: shaak to tum ko apne souhar par bhi hai abhi tak ...
Nemo: abb tou nahi karti ... par really yeh na ...
Raad: kya ye ... tum har baat ko gossip kyun bana leti ho?
salman: Manaab ka phone aya tha mujhey
Nemo: aur lo manaab b agyi yahan ... Manaab teri tou kismat phout gayi
[safaid rang k kapron main malboos manaab room main dakhil hoti hai ... uski ankhien rou rou kar souji hui hoti hain]
Nemo: kya kya na socha hoga na tum ne k abb dulhan bano gi par tumhara muqadar tou kaala hai
Zartasha: nemo apni bakwaas band karo plz chup kar jao tumhien tars nahi aata kisi par bhi
Nemo: lou main ne tou sach bola hai sab ... Q ... kya nahi hai manaab ka naseeb kala???
[manaab dukhi nazron se nemo ki tarf dekhti hai aur khamosh rehti hai]
Salman: Bakwaas band karo naumana ... kisi k dukh dard kar ehsaas hai tumhien
[manaab k pass akar baithta hai]
Salman: befikar raho Manaab ... Hum ouliyaa ko kari se kari saza dilwaein ge ...
Manaab: Saza [woh aik lafz boli aur dunia rukk si gayi ... waqt thamm gaya]
Salman: Han Saza ouliyaa ko [salman ki samajh nahi araha hota k kya kahe] Main tumhara case laronga ... humare pass gawah hain usko saza milley gi
Manaab: Saza ... waalee ko [uski ankhien nam ho jati hain]
zartasha: Manaab himmat mat haro hum sab tumhare saath hain [manaab k kandhon par haath rakhte huye uska honsla barhati hai]
Manaab: woh ... aesa ... nahi ... kar ... sakta ... haina ... [zartasha ki tarf hasrat bhari nigah dalti hai tou zartasha route huye chali jati hai]

Nisha: Yeh kya hogya aunty??? apne tou kaha tha ye sab karne se manaab ... ouliyaa ka peecha chor degi...
Anzalah: Mujhey kya maloom tha k mera beta itna bara aashiq hai uska
abid: hum ne buht ghalt kia hai
Nisha: pyar main sab kuch jaiz hota hai tumko b tou daulat se pyar tha na aur still hai
Abid: han par
anzalah: abb 5 saal baad yaad araha hai tumko ye sab ... mera beta ... kya hoga ouliyaa ka
Nisha: Aur ye sab plan apka hi tha aunty
Anzalah: pari tou tum hi thien meray peechay k kuch karon
Abid: aesa lag raha hai sab khatam ho raha hai ...
Nisha: kya bakwaas boll rahe ho
Abid: mujhey aesa lagta hai k nayaab sab kuch janti hai
ANzalah: what??? yeh baat tum abb bata rahe ho ... Very Good ... usko tou main
Abid: Nayaab ko app kuch nahi kahiengi Aunty
Anzalah: matt bholo k tum ne kisi ka saath churvayaa hai tumhare pass koi dill nahi tumhara pyar tou paisa hai
Abid: Aunty Please
Nisha: chorien ye sab plz ye ouliyaa ka kuch karien ... kya hoga abb ...

... To Be ContiNuEd ....

~ Salam Pak!stAn ~
Rohan: U know Rijja tum itni paki josheeli Paki ho kay tum ko Pakistan par aik book likhni chaheye ...
Rijja:
acha really ... kesi ... kya likhon ... Pakistan ko guriyaa ki nazar se dekhou ...
[khilkhila kar muskurate huye]
Rohan: Nahi uss book ka naam ho ga Salam Pak!staN

Rijja: u know rohan mujhey kisi bhi cheez se darr nahi lagta ... main buhattttt [ankhien ghumate huye] bahadur hon
Rohan: Oh really ... yani k main tumhara haath na pakron chalte huye ya kabhie bhi ... ryt
Rijja: aur kya ... kisi ki himmat nahi k mera haath pakre ... aur tumko
Rohan: main tou pehlay tum se darta hon ... naraaz buht jaldi ho jati ho ... ghussa naak par rehta hai u kay
Rijja: oye main tou buhat K.O.O.L hon [shaklien banatey huye]
Rohan: han han ... I know [dil hi dil main rijja ki gapon par hanste huye aik daam road par aik bara sa doggie aata hai]
Rijja: Rohan main aik baat tou batana bhool gyi ...
Rohan: kya?
Rijja: woh doggie dekh rahe ho
Rohan: haan
Rijja: Mujhey uss se buhatttttttttttttttttt darr lagta hai
Rohan: par tumko tou kisi se darr nahi lagta tum tou buht B.A.H.A.D.U.R ho
Rijja: arey woh tou main mazak kar rahi thi ... Oyeeeeeee ... bachao woh mery pass araha hai ...

~ Com!ng Th!s Summer ~
Rohan: U know Rijja tum itni paki josheeli Paki ho kay tum ko Pakistan par aik book likhni chaheye ...
Rijja:
Rohan: Nahi uss book ka naam ho ga Salam Pak!staN

Rijja: u know rohan mujhey kisi bhi cheez se darr nahi lagta ... main buhattttt [ankhien ghumate huye] bahadur hon
Rohan: Oh really ... yani k main tumhara haath na pakron chalte huye ya kabhie bhi ... ryt
Rijja: aur kya ... kisi ki himmat nahi k mera haath pakre ... aur tumko
Rohan: main tou pehlay tum se darta hon ... naraaz buht jaldi ho jati ho ... ghussa naak par rehta hai u kay
Rijja: oye main tou buhat K.O.O.L hon [shaklien banatey huye]
Rohan: han han ... I know [dil hi dil main rijja ki gapon par hanste huye aik daam road par aik bara sa doggie aata hai]
Rijja: Rohan main aik baat tou batana bhool gyi ...
Rohan: kya?
Rijja: woh doggie dekh rahe ho
Rohan: haan
Rijja: Mujhey uss se buhatttttttttttttttttt darr lagta hai
Rohan: par tumko tou kisi se darr nahi lagta tum tou buht B.A.H.A.D.U.R ho
Rijja: arey woh tou main mazak kar rahi thi ... Oyeeeeeee ... bachao woh mery pass araha hai ...

~ Com!ng Th!s Summer ~