raat Q-TV maiN Dr Mahmood Ghaznavi ki mezbaani maiN deeni sawaal o jawaab k session maiN mufti sahab nay aik hadees sonayee jiss maiN Allah k Nabi saw nay farmaya hai k non-muslim say (qarz etc par) ezafi raqam lena 'sood' nahi kahlata aur aisee raqam jaiz hai........ delhi say aik sahab nay sawaal ki k onhouN nay apnay non-muslim employer ko deRh lakh rupees qarz diyeh haiN aur woh asal raqam k elawah monthly kuch raqam as per agreement lay rahay haiN to kia yeh sood hai aur haraam hai to mufti sahab nay above hadees k hawalay say kaha k aap issay sood nah samjhaiN aur yeh izafi raqam lena aap k liyeh jaiz hai.
to kia iss tarah non-muslim banks etc maiN fixed deposit raqam par monthly 'monafaa' bhi jaiz hoga aur sood k zimray maiN nahi aayega. yaa issi tarah non-muslim maaliyaati aadroun maiN investment karna fixed izafai raqoom k hasool k liyeh jaiz hoga. please search above hadees and give your comments.
thanx
