QUOTE(Somia sha @ May 5 2008, 07:12 AM)

salam sis
Jazak Allah bayshak Allah ke Rehamat wasee hai
Allah hamai gonhaon say door rakhay Amen
walaikumsalam somia sha

buhut shukriya buhut khushi huee ap mery post par ayeen

bay shak Allah taala buhut kareem hain shafqat rekhtay hain aur apnay bandon say buhut mohabat kertay hain aik maa say 70 guna zada

main aik waqiya bataon ...

Maulana Shibli ka waqiya hay aik dafa halat-e-kashf may baithay thay Allah taala nay fermaya kay shibli agar teray ayaib logon par ayaan ker doon tuo aik bhi tujhay chahnay wala na rahay...

tuo maulana shibli nay fermaya kay agar Allah taala main apki Rehmat ki wusat logon par ayan kerdon aik bhi sajda kernay wala na rahay ...
uss par Allah taala nay fermaya shibli tuo humaray raaz ko raaz rekh hum tere raaz ko raaz may rekhaingay... itnay kareem hain Allah
ye mainay Junaid Jamshed

k Dars may suna tha buhut acha laga iss liye share kiya

Allah taala ham sab ko us tarz e zindagi ko ekhtyaar karne ki saadat naseeb farmaaye jis mai dunya aur aakhirat ki kamyaabi hai. aur Allah taala humay apnay shukar guzar bandon may shamil keray Aameen

hamesha khush rahiye