Help - Search - Members - Calendar
Full Version: Quom Ka Muqaddima Larne Waloon Ki Asli Sourat
HulChul.NET > Current Affairs & Politics > Current Affairs / Kashmir Issue
Khalish
salam.gif

Paida hoay wakeel tu shaitan ne kaha
lo aaj hum bhi sahib.e.aulaad ho gaey

yeh haiN hamaare wakeel, 'parhay likhay jaahil' inhi sifaat ke hamileiN ko kaha jaata hai

Sana khawaan.e.woklaeey.e.ummat kahaaN haiN !!!! look.gif
saima56
sir yeh to hamera poora mashra ka haal hai. hum ko gussa per qabou nahi rehta doosroon ka mauqaf sunaa ka hausala nahi. iss ko aik tabka per thopna nihayat hi badniyaati ka saboot hai. wukla ki tehreek aik aisa such hai jo aisa choota moota waqiaat sa badnaam nahi hoosakti kyunka inhoon na un logoon ka bar ask jo zabani dawa karta hai, apna amal sa sabit kia hai, marain khyaiin hain, apni rozi per laat mari hai. aur tamam ilzam bhi jehla hain. aur iss tehreek ka bais hi aaj hamera mulk mai dictaitorship ka gehra andhooroon mai roshi ki kiran zaroor hai.

aap na itna choota waqia per to post kar di magar jab yehi wukla maidan mai tha aur marain kha raha tha karachi mai gollian kah raha tha aur lahore ki sarkoon per apna sir phatwa raha uss per to aap ka "ghair janib" kalam na halki si jumbish bhi nahi ki
MJB
Khalish bhai,,,,, kali bhairain tu kahin bhi ho sakti hain,,,,,,,,, lahore main shair afghan niazi ke sath bhi wardaat kaley coat walon ne start ki thi,,,,, aur sadah libaas waloon ne paya-e-takmeel tak pohanchaya

ham sab jantey hain ke wakeeloon main PPP ke hami bhi hain,,, aur PML-N ke bhi,,,, Q-League aur Musharraf ke bhi,,,, tu kya yeah mumkin nahin ke iss ma'amley main wo wuk'la mulawis hoon,,,, jo wuk'la tahreek main shamil hi nahin,,,,,,, balkey isko sab-o-taz kerney ki mission per hain
Khalish
QUOTE(saima56 @ May 5 2008, 04:03 PM) *

Yeh dar.asl in wokala ki apni asl june meiN waapsi ka manzar hai. Mazeed manazer 8/10 rooz meiN saamne aane lagaiNge. Hammari tareekh meiN zulm.o.situm ki daastanaiN already zaroorat se ziyaadah mojood haiN. Iss waqt power struggle se fouj waqti taur per dour hoi hai aur yeh gap, wokala, siyasat.dan aur media poora karne ki bhaag dour meiN lagay hoay haiN.. mujhe iss baat meiN koi shak nahi keh SC ke judges per zulm howa .. lekin inhooN ne maazi meiN hamaare saath kam zulum nahi kiya!!! ab aik justice dosray justice ki gardan per pair rakhe baitha hai .. yehi haal hamaare siyasat.danoo ka hai .. aur rahi media ki baat tu voh her kisi ko black.mail karke apna kaam chala raha hai... insaaf wahaan hoga jab hamaari sarkooN per chalne waala aur army house, president house, priminister hourse, national assembly aur senate meiN baithe waale huqooq ka ma'amle meiN barabar hooN.
Khalish
QUOTE(MJB @ May 5 2008, 04:45 PM) *
Khalish bhai,,,,, kali bhairain tu kahin bhi ho sakti hain,,,,,,,,, lahore main shair afghan niazi ke sath bhi wardaat kaley coat walon ne start ki thi,,,,, aur sadah libaas waloon ne paya-e-takmeel tak pohanchaya

ham sab jantey hain ke wakeeloon main PPP ke hami bhi hain,,, aur PML-N ke bhi,,,, Q-League aur Musharraf ke bhi,,,, tu kya yeah mumkin nahin ke iss ma'amley main wo wuk'la mulawis hoon,,,, jo wuk'la tahreek main shamil hi nahin,,,,,,, balkey isko sab-o-taz kerney ki mission per hain

Kali BhairaiN .. air zabardast bahaana hai .. her buray kaam ke jawaaz meiN yeh jumla buhot maza deyta hai. Sher Afgan per ghooNsay baazi maiN khud TV per live daikh chuka hooN. Haan wokala ki pitaaee sada kapray waale police ehal.kaar kar rahe the ...

Jo kuch howa, buraa howa, lekin billi thailay se bahar aa rahi hai.

saima56
QUOTE(Khalish @ May 6 2008, 01:08 AM) *
Yeh dar.asl in wokala ki apni asl june meiN waapsi ka manzar hai. Mazeed manazer 8/10 rooz meiN saamne aane lagaiNge. Hammari tareekh meiN zulm.o.situm ki daastanaiN already zaroorat se ziyaadah mojood haiN. Iss waqt power struggle se fouj waqti taur per dour hoi hai aur yeh gap, wokala, siyasat.dan aur media poora karne ki bhaag dour meiN lagay hoay haiN.. mujhe iss baat meiN koi shak nahi keh SC ke judges per zulm howa .. lekin inhooN ne maazi meiN hamaare saath kam zulum nahi kiya!!! ab aik justice dosray justice ki gardan per pair rakhe baitha hai .. yehi haal hamaare siyasat.danoo ka hai .. aur rahi media ki baat tu voh her kisi ko black.mail karke apna kaam chala raha hai... insaaf wahaan hoga jab hamaari sarkooN per chalne waala aur army house, president house, priminister hourse, national assembly aur senate meiN baithe waale huqooq ka ma'amle meiN barabar hooN.

laken aap na jiss waqia ka zikar kiya woo mizaj hamera poora mashra ka hai jiss mai aap aur mai bhi shamil hain. aur adam bardasht hameri fitrat mai shamil hai, chaha koi kitna ala taleem yafta hoo, tehzeeb yafta hoo, shair hoo, likhari hoo hum sab adam bardasht aur inteqaami jazba sa lablaiz hain. iss per aik tabka qasoor waar nahi.
Khalish
QUOTE(saima56 @ May 6 2008, 06:51 AM) *
laken aap na jiss waqia ka zikar kiya woo mizaj hamera poora mashra ka hai jiss mai aap aur mai bhi shamil hain. aur adam bardasht hameri fitrat mai shamil hai, chaha koi kitna ala taleem yafta hoo, tehzeeb yafta hoo, shair hoo, likhari hoo hum sab adam bardasht aur inteqaami jazba sa lablaiz hain. iss per aik tabka qasoor waar nahi.

Jee haaN, iss ma'amle meiN yaani adam bardasht aur sirf jungle ka qanoon, survival of the fittest, (jis ki laathi ussi ki bhaiNs) per amal daramad karne waale haiN and regretfully, being a pakistani, I am a part of this as well.
hawwa ki beti
QUOTE(Khalish @ May 5 2008, 12:41 PM) *
salam.gif

Paida hoay wakeel tu shaitan ne kaha
lo aaj hum bhi sahib.e.aulaad ho gaey

yeh haiN hamaare wakeel, 'parhay likhay jaahil' inhi sifaat ke hamileiN ko kaha jaata hai

Sana khawaan.e.woklaeey.e.ummat kahaaN haiN !!!! look.gif

Aik bhairhia Jannat main chala gaya to
wahan mutaQi , perhaiz gaar , ibadat guzar
jannti logon ney strike kar di , keh hum to bohat
ibadit karney kay baad yahan tak pohnchay hain.
yeh janwar yahan kaisey aa gaya [ aa sakta hai ]
Farishton ney jawab diya keh
is janwar ney duniya main aik wakeel ko mara tha.
is liay isay jannat main jagah mili

web.gif
Gambler1
QUOTE(hawwa ki beti @ Jun 3 2008, 01:59 AM) *
Aik bhairhia Jannat main chala gaya to
wahan mutaQi , perhaiz gaar , ibadat guzar
jannti logon ney strike kar di , keh hum to bohat
ibadit karney kay baad yahan tak pohnchay hain.
yeh janwar yahan kaisey aa gaya [ aa sakta hai ]
Farishton ney jawab diya keh
is janwar ney duniya main aik wakeel ko mara tha.
is liay isay jannat main jagah mili

web.gif

Hmmm yeh Jannat Dozakh Farishtoon say mansoob Jhoti Batein Dehreyh Umer Shareef nay khoob seekha di hai logoon ko k uraoo
mazaq dil khol k Jannat Dozakh Farishtoon ka..

its means k Krachi main jitnay bhi wakeel maray gayyy un k qatil bhi Jannat main jayngay Pervez bhi kiuon k os Order say sab Game hoa tha ??????????????
LEADER
QUOTE(Khalish @ May 5 2008, 11:41 AM) *
salam.gif

Paida hoay wakeel tu shaitan ne kaha
lo aaj hum bhi sahib.e.aulaad ho gaey

yeh haiN hamaare wakeel, 'parhay likhay jaahil' inhi sifaat ke hamileiN ko kaha jaata hai

Sana khawaan.e.woklaeey.e.ummat kahaaN haiN !!!! look.gif

Mohtram, is haqeeqat se to aap inkar nahi ker saktey ke Wukala ko apis maiN "taqseem" kerney ki ba.qaida koshishaiN ho rahi haiN..(Zardari n co. ki tarf se)

Een mumkin hai ke ye hatha.pai wukala ki safooN maiN mojood inhi 'kali bheRooN' (black sheeps) ne kerwai ho... ta ke media ke zariye isey high light ker apney 'makhsoos maqasd' hasil kiye jaiN !!

Rehbar
QUOTE(Khalish @ May 5 2008, 11:41 AM) *
salam.gif

Paida hoay wakeel tu shaitan ne kaha
lo aaj hum bhi sahib.e.aulaad ho gaey

yeh haiN hamaare wakeel, 'parhay likhay jaahil' inhi sifaat ke hamileiN ko kaha jaata hai

Sana khawaan.e.woklaeey.e.ummat kahaaN haiN !!!! look.gif

Pakistani Wakeel ka matlab hey jhota.... Jhotay agar larh rahay hain tu larhnay dain un ko... Hamara kia
This is a "lo-fi" version of our main content. To view the full version with more information, formatting and images, please click here.
Invision Power Board © 2001-2008 Invision Power Services, Inc.