Is kay baad yea mention kar doon kay mera wo Knowledge, jissay Gharailo Tootkay/Amoor.e.Khaanadaari main istmaal kiya ja sakay, utna hi hay jitna eik aam Husband ka hota hay.
Chalain ab apnay apnay Sawaal (eik eik kar kay)
karain takay un ka hasb e taufeeq jawab diya ja sakaySab say pehlay Kaka Shpahi

(Vr
SoLdIeRs) ka sawal hay kay
daal ko tarka kyun lagatay hain?Meray naqas ilm kay mutabiq baghar hi ko tarka kehtay hain aur is liye kehtay hain kay issay lagatay waqt Tarr Tarr ki awaaz aati hay
abhi tak Yea ghee kay saath piyaaz , lehsan ya zeeray ka lagatay hoye dekha gaya hay
Ab yea daal, kay saath aur bhi kaye chezon ko lagaya ja sakta hay
to enhance its flavor, aur dish main eik tarri si lanay kay liye