Fani
May 9 2008, 12:58 AM

Kasay hain sub Members. Ajj main app ki khidmat main aik aur Topic lay kar aya houn
Ajj mujhko Doost kay sath Shifa International Hospital Islamabad jana para.
aur wohan main main nay yeh sub dekha.
Fani
May 9 2008, 01:42 AM
QUOTE(Loner Tech @ May 9 2008, 01:30 AM)

1st = invisible

Bhai gee maray pass to visible hai
aaminah
May 9 2008, 08:59 AM

and very sad to know...its part of citizenship and respect to our country laws tht we should be obeying in ALL wayz!! Thats not what our religion,either guides us to do....i think if every1 start doin' their duties(which are some1 elses' Rights) to i think bohat sey bal k tamam problems khatam ho jayiaN or traffic-laws ko disobey karna..not a good idea
Kanch k1 gur1a
May 9 2008, 09:15 AM
yeah it is happening in Pakistan..
KamlaJatt
May 9 2008, 10:22 PM
Buhat khoob Fani ... Its Nice to Notice and get to be noticed
Phir Hum kehtaiy hain Jahalat pakistan ka Almiya haiy ...
Asal mai to parhaiy likhaiy Jahilo'n ka kiya dhara haiy Sabb
Aisi Hawa chali haiy k jo jitna bara qanoon shikan ho utni zeyada izat samjhi jaati haiy
Jaisaiy sarkas mai madari apni harkatoon saiy doosroon ko mehzooz karnaiy mai laga rehta haiy
waisiay hi pakistan k aksar loog (Sab nahi) issi mooqaiy ki talash mai hotaiy hain k wo kuch aisa karain k sab loog matwaja hoon aur daad dain (Koi dil mai gali nikalaiy to ussaiy bhi wo tareefee kalmat samajhtaiy hai)
aur bhool jaataiy hain k khuda nai aaj tak uss qoum ki halat nahi badli ... na ho jissaiy khayal aap apni halat badalnaiy ka
CoOl LeO
May 11 2008, 05:40 AM
Hum Pakistaniyon mein se shayad kuch log padh likh k bhi jahil he reh gaye hain
Or yeh pics un he mein se kuch logon ki cars ki lag rahe hain
Fani
May 12 2008, 01:41 AM
QUOTE(KamlaJatt @ May 11 2008, 02:51 AM)

Yeh to bass aapki inayat haiy janab
Ni app nay boohat achi baat ki.
Shahid Sarfrosh
May 12 2008, 01:46 AM
Nice, But , unwaan , Pakistani Awaam ! Khuaas k baray mein kya khiyal hey,
I mean baray baray, Sarkari officers, Daulat mand, , , , waghera,
Agar wahan kuch behtri aa jaye tu Awaam kay thek hone k buhat chance hain
Kashif
May 13 2008, 12:21 AM
QUOTE(Fani0300 @ May 9 2008, 12:58 AM)

Kasay hain sub Members. Ajj main app ki khidmat main aik aur Topic lay kar aya houn
Ajj mujhko Doost kay sath Shifa International Hospital Islamabad jana para.
aur wohan main main nay yeh sub dekha.
w/salam
sahi dekha aap nay janab
main nay bhi aksaryat logon ko dekha hay kay woh qanon aur rules waghaira ki pabandi karna apni tauheen samajhtay hain aur har koi apna kaam nikalnay kay chakar mein hota hay bas...........yahan to University kay student ......(qaum ka mustaqbil)......bus mein insanon ki tarah sawar nahin hotay aur seat kay liyay dhakay mukkay start kar detay hain .......to aur hum kya umeed rakhein kisi say