QUOTE(Daylight @ May 16 2008, 03:02 PM)

Ans:
1) Kya aap tak koi Hadith e Rasool(PBUH) nahin pouhanchi k aap khwab mein zyarat e Rasool(PBUH) k bagher Rasool(PBUH) k kisi hukam ko nahin jaan saktay??
mere bhai jitney bhi Alim hotey hain un ka aik shajra e hadith hota hay k hadith kahan sey seekhi phir jis sey seekhi us nay kahan sey seekhi
or is tarha ye shajra Ashab e Rasool SAW tak pohonchta hay
ap nay hadith kahan sey seekhi ???
dosri baat k ap nay hadith ki kitni kitabain parhi hain ab tak mujey umeed hay ap sari kitabain khatam kar chukey hon gey
or wo shaksh kia karey jis ko urdu hi parhni nai ati .......
QUOTE(Daylight @ May 16 2008, 03:02 PM)

2) Surah Baqara ki ayat 233 parh lijiye, jis mein saaf likha hai k 2 saal tak doodh pilaya ja sakta hai , haan maan baap apni marzi se muddat ko kamm bhi kar saktay hain, yani hadh 2 saal hai. Ayat bhi parh lijiye ga aur tafseer bhi jo marzi dekh lijiye, Maudodi sahib aur Ibn e Kathir k ilava kayi tafaseer online bhi available hain, Main ibn e kathir ki tafseer k pagaes yahan board par lagana nahin chahta due to some obvious reasons so consult the website of that tafsir wese bhi sirf paki pakayi kheer nahin khaani chahiye kuch khud bhi tehqeeq karna chahiye

sab sey pehley to ap ki apni paish ki gaye ayat ki tafseer sey masla hal ho gaya k agar koi masla ho to
3) Hadaya k iss page se jo samajh lagi hai pehle wo bata dein phir agay bhi chaltay hain, kyunke muje masla wohi lag raha hai k chahay 1 daleel pesh karo ya 100 na maan-nay k sau bahanay

mere bhai in dono baton ka jawab usi wakat don ga jab
hadaya k urdu pages ya is safey ki urdu translation yahan paste nai kartey
or sath may jis ayat ka ap hawala dey rahey hain
mujey uska tarjuma or tafseer bhi paish karain
urdu may atafseer mududi , ameer ahsan or gamdi wagera ki na ho like kisi ALim ki ho jis nay mudrasey sey parha howa ho
ghar ka bana hoa Alim na ho
baki hayada ka jo page ap nay dikhaya hay is ko dekhney sey maloom ho raha hay k ye baat puri nai hay is safhey may
ap jo urdu may translation paish karain gey us may is masla k shuru sey lay kar akhir tak sara post karain sirf aik do lines sey kaam nai chaley ga
mujey umeed hay ap bura nai manain gey lakin baat karney ka ye hi tarika hay k ap saboot pura faraham karain
ap ko karney ka isi liye keh raha hon tak ap ye na kahain k may apni marzi ka mawad la raha hon yahan