Adaab Hcians
MOthers day ki amad amad hay... jAHaN aaj kalhur jagha mothers day kay huwalay se baat ho rahi hay kio na thora sa apni nani dadi ko bhi yaad kar liya jaye......
Share somthing about them.........unkay khanay, unkay totkay kuch dilchasp se baatieN. unki cooking ka andaaz, unkay haath ki lazzat.
Mey dadi apnay kay pass zayda arsa nahi rahi, aik activity mujhe achi tarha yaad hay kay woh jan khana banati thi toh miti ka cholha banaya hoya tha aur woh aag jalati aur hum ghar mey se kaghaz jama kar kay laa laa kar aag mey daltay, hum ko yeh sab kuch fun lag raha hota.ghar kay pass furniture walay se boraa lana aur pata nahi kya kya,
phir nani kay haath ka saag aur makhaye ki roti woh sawad aaj tak mun mey hay aur waisa taste doobara khanay ko nahi milaa.
bahoot pyar karti thi sab se...aik baat hay hum kabhi bhi apnay maa baap aur barOn kay pyar ka haq nahi ada kar saktay.
share somthing abt ur granny's with us.
