QUOTE(KamlaJatt @ May 13 2008, 11:01 AM)

Maa'n ki tareef mai buhat khoobsurat tehreer haiy
Kehtaiy hain koi cheez jab paas hoti haiy to uski qadar nahi hoti aur jab wo chali jati haiy to uski ehmiyat ka ehsaas buhat zeyaada hota haiy
Laikin mai yeh keh sakta hoon k Maa'n jab pass hoti haiy ... tab bhi wo buhat khas hoti haiy ... aur jab wo paas nahi rehti to aur bhi zeyada khas ho jati haiy ... uski qadar hamaisha rehti haiy ... bass jab wo nahi rehti to uski yaadain buhat rulati hain ... Banda buhat adhoora mehsoos karta haiy ... Tab yeh ehsaas zaroor hota haiy k Kaash mai apni maa'n ki aur zeyada khidmat kar sakta ... laikin phir sirf dua aur naik amal k siwa kuch nahi ho sakta ... Jinki Maaiyain hoon unhaiy chahiyeh k wo mooqaiy saiy fayada uthayain aur iss saath ko bharpoor jiyain
Doosri baat HKB yeh poochna chahonga k yeh sirf musanif ka takhayul haiy ya iss qissaiy ki koi haqeeqat haiy ?
Aur jaisa k baqi doostoo'n naiy kaha ... Mothers day hi nahi balkaiy har din hi Maa'n k mutaliq buhat khas haiy ... Mother's day tak mehdood kar daina kuch munasib nahi lagta
Title ka naam mauqa ki munasbit sey likh diya [ rakha]
title kay chamber main poori baat nahi likhi ja sakti thi
laikin is ka maqsid salaana celeberate kana nahi hai
.....................................................................
aam tor per aisa hi hota hai jaisa aap ney likha
laikin sirf maa hi azeem hasti hai jis kay liay
aisi baat bhi maaney nahin rakhti.
jab koi dost/member koi post share karta hai
to dar haqeeqat apney hi dil ki awaaz share karta hai.
is anmol haqeeqat ko Qissa tasawwer na kiya jaaey
is topic peh aap ney bohat waqt diya
achhi baatain likheenkhuda aap ko jaza e khair dey
Aslam o alaikum.........!