APDM ka mauqaf tha ka election mai hissa la kar hum mushraaf sa jaan nahi chura sakta, na judges bahaal hoosakta hain, aur na woo elections itna fair hoonga ka jis ki tawaqah thi. jab election ka result aya too logoon na shoor machana shuru kar dia ka APDM ka faisla ghalat aur hum jaisa loog joo boycoat ka hami tha yeh shamjhna shuru kar dia ka humari sooch bhi ghalat thi. aur APDM ko election mai hissa laina tha..
magar aaj 12 may ko yeh baat sabit hoogaye ka APDM wala dursut tha.. aur election hoogaya magar aaj bhi taqat ka sarchasma aiwan-e-sadar sa nikalta hai, aaj bhi insaaf mautaal hai, asal judges band hain aur mushraaf ka tankahwah daar judge apna mansab per qaim hain... too aaj kya APDM wala durust niklaa? kya unhoon na nawaz sharif ko durst kaha tha ka election mai hisa la kar kuch nahi milna..