Help - Search - Members - Calendar
Full Version: ... Murawwat O Mohabbat Ke Mabain ...
HulChul.NET > Urdu Adab > Afsaanay, KahaaniyaaN aur Mazameen
ManPaki
Aaj koi purana mehram e raaz mila. Koi bohot azeez rishta yaad aaya. Koi ajeeb si khalish phir jaagi. Uss ne poocha ke "sunao kaisi ho?" Dil ki saada lohi humaisha ki tarha na chupa saki aur besakhta hans parri. Dil ne aah e sard bhari aur sargoshi mein dua ki ke khudara kash woh hansne ka sabab na poochey! puraney bharam kaim reh jain aaj! Kash ussey khabar ho ke hum mohabbat ke zeenay sey utter kar murawwat ki manzil par aa chuke hain... ab har sawal ka khara khara jawab uss ko mil jaye ga...Kash!

lekin ussey humari mohabbaton ney iss kadar subak sar bana rakkha tha, keh ussey guman hua keh humaisha ki tarha aaj bhi dil dukha ke chal de ga...bechara! Burra ho iss mohabbat ka, ke jab rukhsat hoti hai to apne baad gehra dard aur bad gumani chorr jaati hai. Hontoun ki sheereeni ko talkhiy e guftaar sikha daiti hai! Ilfaaz mein taigh o shamsheer ki kaat aa jaati hai. Aye ishq, tu ne kitnoun ko mitaya ho ga!

Uss ne pooch hi daala, laboun ki dheemi si muskaan sey ke "tum muskuraee kyun?" Mein ne aaj bohot sadyoun ke baad uss ki gehri sayah aankhon mein aankhain daal kar baat ki! Aaj palkon mein woh haya aur larzish baaki nahin! Aaj dil ki dharkan uss ke kuurb mein sunai nahin di! Aaj humain yakeen ho gaya keh woh, hum aur ishq sab fanna ho gaye. Zindagi mein pehli barr uss kai dil ke tootne ki khanak apne kaanon sey sunni. Merey paikar mein bhi koi anmool sa jazba bikhar gaya...shayad woh tajdeed e mohabbat aur tajdeed e mulakaat ki umeed thi. Ab jaana keh laboun ki jumbish sirf guftaar nahin hoti, yeh aab e hayaat bhi hai aur zehr e kaatil bhi!

jawab kya daina tha aur kya diya? barson ki khalish, takleef aur soz hath mila kar utthay... aur uss ke dil par toofan e baaraan ki tahra baras gaye. kaha hum ne, "keh haal kyun poochtay ho? Ajnabi nahin ho keh haal jaantay nahin aur mehram nahin ho keh mujh sey eitebaar ki umeed rakkho. Hansey iss liye keh tumhari kotah nazri par bohot row chuke. Kya tumhain meray chehrey ke sard nakoosh nazar nahin aaye? meri aankhon mein wafa ki chamak hai na mulakaat ki khushi. Kya tum ne iss se pehle meri aankhon ko iss kadar bebaak paya? Meray hontoun pe koi ankahi baat nahin, aur mein ne tumhain aaj naam se pukara... kya iss sey pehle kabhi aisa hua? Aaj mein ne tumharay chehre ko nazar bhar ke nahin dekha, sirf nazar daali aur hatta li. Ehsaan hai tumhara meray dil par ke issey ishq sey azad kar diya. Mohabbat ki manazil bohot dushwaar thein, hum ne murawwat ko khoob sehel paya. Yeh dunya daari jo hum dushmanon sey bhi karte aaye hain, aaj tumhari nazar karte hain. Kaho kaisey ho? Agar apni koi takleef batana chaho to na kehna, keh mujhe parwah nahin; aur agar kisi khushi ka zikr karna hai to tumhari khushi sey mujhe kya matlab? woh paikar badal gaya jaanan jo teray eik aansoo par pighal kar dard bann jata tha aur teray eik tabassum par khil uthta tha. Tujhe umeed hai keh shayad teray baad mein phir khush nhin hui? nahin aisa har giz nahin, mein ne teray naam ki jagah dil mein koi aur naam basa liya hai. Ab woh mehboob ka martaba kisi aur ki takdeer hai. Mein ne ishq sey toba nahin ki, faqt tujhe iss naimat sey bedakhal kar diya! bohot pooja hai tujhe, magar ab dil ke sanam khaney sey nikaal bahir kiya to tu mabood sey patthar ho gaya hai. Sunao janaan keh uss arooj sey iss pasti ka safar kaisa tha? Jo ehsaas e zayaan humain satata raha, kya uss ne tumhain bhi rulaya? Magar rehne do... tumhare oopar kya beeti, humain iss sey kya matlub? Humain apne dil ki roodaad bhi kuch theek sey yaad nahin, phir kisi aur ki kahani kya sunain?"

Ishq mein karb aashna log jantey hain keh yeh dil ya sar nigoon hai ya sar firosh. Uss ka dil torra to apne ki kirchian bhi uthain... magar wohi azal hi nadani keh apna haal uss ke haal sey bil akhir mil hi gaya. Jiss chehre ki jhalak par kal jaan daitey thai aaj uss par behta woh eik tanha aansoo nahin ponch sakey. Humari barson ki shab baidari ka hisaab aaj saaf ho gaya. Ab woh umer bhar tanhai mein muskura nahin sake ga. Akeelay chand ko daikhna ussey bhi rulai ga. Aisi gehri udasi sey uss ne mujhe nazar bhar kar dekha keh jaisey eik aakhri baar umer bhar ke liye dekh raha ho. Dil ne dheemay sey kaha, ab hum dobara nahin milain gey, kyunke hum donon karb ashna ho gaye hain... murawwat o mohabbat ke mabain faisla sirf itna hua keh murawwat ajnabee ke sath hoti hai aur mohabbat mehram sey... magar jab mehram hi ajnabee ban jaye to na murawat ki takmeel hoti hai aur na mohabbat ki!
shahrafiq
ye rekh rekho muhabbat sekha gey es ko
ab jab b melta hai muskrara k melta hai
sahi kah rahi hai wo ensan marwat anjnabi logo se kerta hai or muhabat mehram se ,,,,,,,,,,,,,,,,
"Kash ussey khabar ho ke hum mohabbat ke zeenay sey utter kar murawwat ki manzil par aa chuke hain... ab har sawal ka khara khara jawab uss ko mil jaye ga...Kash!"
ye sab kahtay howay takleef to bohat howe ho gey usay,,,,,,,,,,,,,,,kyun k muhabat kernay walay hemsha muhabat he kertay hain,,,,,,,,,,,,,un ki muhabbat khabi marwat main nahi badlti ,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,bus shayad ab wo thak gey hai aklay aklay muhbaat kartay kartay,,,,,,,,,,,,,
or ajj he wo dono ak dosray k lay mehram ban gey hain
*Life*
hmmm very touchy but its true each words thx for very nice sharing
Shahid Sarfrosh
Bohat khub, ,shaandar
BeJaan
Wah kya khoobsurat likha hai apne ManPaki jee, zabardast so touchy & true rose.gif Parh k ankhon main ansoo A gaye, Thanx 4 sharing with us... Bohat hi zabardast andaz-e-beyan hai aur kya khoobsurat &sachi baat kahi hai, Awesum!
Ghazal khushboo
buhut khoob rose.gif
nazo454
bohat zabardast tehreer hai ,ap ne apni tehreer may asay rang berh diya hai k ye afsana kam or haqeeqat zayada lagnay laga hai ,ya yun kehna behter rahay ga k afsanay may haqeeqat ka rang daal diya hai ,dil ko chu liya hai ap k afsanay nay
thanx for sharing
asi he khubsurat tehreer adab say duri ko kam karnay may madad de gi
asif shahzad
buhat umdha
ManPaki
QUOTE(shahrafiq @ May 17 2008, 01:34 PM) *
ye rekh rekho muhabbat sekha gey es ko
ab jab b melta hai muskrara k melta hai
sahi kah rahi hai wo ensan marwat anjnabi logo se kerta hai or muhabat mehram se ,,,,,,,,,,,,,,,,
"Kash ussey khabar ho ke hum mohabbat ke zeenay sey utter kar murawwat ki manzil par aa chuke hain... ab har sawal ka khara khara jawab uss ko mil jaye ga...Kash!"
ye sab kahtay howay takleef to bohat howe ho gey usay,,,,,,,,,,,,,,,kyun k muhabat kernay walay hemsha muhabat he kertay hain,,,,,,,,,,,,,un ki muhabbat khabi marwat main nahi badlti ,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,bus shayad ab wo thak gey hai aklay aklay muhbaat kartay kartay,,,,,,,,,,,,,
or ajj he wo dono ak dosray k lay mehram ban gey hain


Dekhay hain hum ny hangaamay Muhabbat k
Aaghaaz bhi ruswaii anjaam bhi ruswaii......

CODE
Tujhe umeed hai keh shayad teray baad mein phir khush nhin hui? nahin aisa har giz nahin, mein ne teray naam ki jagah dil mein koi aur naam basa liya hai. Ab woh mehboob ka martaba kisi aur ki takdeer hai. Mein ne ishq sey toba nahin ki, faqt tujhe iss naimat sey bedakhal kar diya! bohot pooja hai tujhe, magar ab dil ke sanam khaney sey nikaal bahir kiya to tu mabood sey patthar ho gaya hai. Sunao janaan keh uss arooj sey iss pasti ka safar kaisa tha? Jo ehsaas e zayaan humain satata raha, kya uss ne tumhain bhi rulaya? Magar rehne do... tumhare oopar kya beeti, humain iss sey kya matlub? Humain apne dil ki roodaad bhi kuch theek sey yaad nahin, phir kisi aur ki kahani kya sunain?"


Aghaaz-e-Muhabbat aur anjaam-e-Muhabbat ki kafiyaat bht mukhtalif hotiin hain...
ManPaki
QUOTE(life of wat @ May 17 2008, 04:07 PM) *
hmmm very touchy but its true each words thx for very nice sharing


Thanks... rose.gif
Fani
Boohat Khoob
Lagay RAHO GUD LUCK
aaminah
bohat khoob....it seems as if i have read "SOMETHING" 0-headbang.gif
~~muhabat zehr-murawwat ban k nikal gayi~~ very beautifully written

hope we'll get to read more 4m U

ziddi
i dun knw wat to say... sachi.. bohat acha lihka hai Usman clapping3.gif

n jaise nazo neh kaha keh apne afsane main ap neh haqeeqat ka rang dhal diiya hai, dil ko chu lia ... bohat achi bohat shandar tehreer hai apki ... alfazo ka chunao aur beyaan karne ka andaz bohat acha hai smile.gif lihkte rehiye smile.gif
Kashif
hummm
acha likha hay Manpaki bhai

dil kay mamlay kuch ajeeb hi hotay hain

ta'ruf bojh ban jayay to usay bhoolna behtar
ta'luq rog ban jayay to usay taurna acha
ManPaki
sab dostuun ka pasand karnay ka shukryaa...
rose.gif rose.gif rose.gif

aur yey Afsaana manay bilkul nahi likha just share kiya tha ap sab dostuun k saath... smile.gif

Mrs.KnOwN_StRaNgEr
Bahot Umdah Tehreer

Khush Rahiay Aur Yoonhi Achi Tehreer Share Kartay Rahiay
hawwa ki beti
Mohabat zehr-murawwat ban k nikal gayi.
...........
Aik sey ziada baar aap ki post ko parha
bohat umda tehreer paish ki aap ney , aur
tarz e adaaigee bhi bohat umda raha.

Hum mohabat sey hain na-waqif , waqif hain to bas itney
Aaghaaz halaqat hai , anjaam khuda jaaaney.............!


sada khush rahain
This is a "lo-fi" version of our main content. To view the full version with more information, formatting and images, please click here.
Invision Power Board © 2001-2008 Invision Power Services, Inc.