Help - Search - Members - Calendar
Full Version: Ab Koi Ayae Tuo Kehna Musafir Tuo Gaya.....
HulChul.NET > Urdu Adab > Shair-o-Shaa'eri
Ghazal khushboo
Shahid Sarfrosh


Bhat khub, ,

Thanks



Forever Green
Wowww Sisoo ........Zabardast

Specially Hont jalte the jo kabhi leta tha aap ka naam
Is tarha aur kissi ko na satana Loogon

Kya baat hay
ok.gif
*Life*
very niceeeeeeeeeeee...


good job gud.gif
nazo454
wah zabardast shairng
beautiful image
BeJaan
As usual Ghazal Khushboo Sis... Bohat hi khoobsurat intikhab k sath intehai khoobsurat design smile.gif Simply the best rose.gif
But jahan tak mujhe yaad parta hai, yeh ghazal Ibn-e-Insha ki hai,Mohsin Naqvi ki nahi unsure.gif
BeJaan
hoo na duniya mein koye hum sa bhi payasa logo
jee mein aati hai kay pee jayain yeh daryaa logo
kitni iss shehar kay sakhiyoon ke suni theen battain
hum jo aye tu kissi nay bhi na poocha logoo
itafaqun'n he sahi, par koiye dar tu khultta
jhilmilaata puss e chilman koyee saaya logo
sab kay sab mast rahay apnay nehaan khanoon mein
koi kuch baat musaafir ke bhi suntta logo

hoon gai iss shehar mein kuch uss ay bhi parhnay wallay
youn tu yeah shakhas bhi mashoor tha khaasa logo
kissi daman, kissi anchal ke hawa tu miltee ?
jab sar e raah yeh wa'manda gira tha logo

aik tasveer the, kaya janiyeah kiss ke tarsveer
naqash e mahoom say aur rung urra sa logo
aik awaaz thi, kaya janiyeah kss kee awaaz
uss nay awaz ka rishta bhi na rakha logoo

kuch pata iss ka hmain ho tu tumhain bat'layain
koun ghar ? koun nagar ? koun mohalla logo
chand harfoon ka mo'amma tha woh uljha suljha
uss nay tu naam bhi poora na bataya logo

haye yeh dard keh mushkal say thama tha dil mein
chaand poonum ka abhi say nikal aya logo

phir wohi dasht, wohi dasht ke tunhai hai
wehshat e dil nay kaheen ka bhi na rakha logo
uss mein himat hai, tu dar aye, utha day yeh hisaar
apnay gunbad mein tu dar hai na dareecha logo
jee ke jee hee mein raheen hasratain tofaanoon ke
yeah safeena tu kinaray pay hee dooba logo

aaj ke daak say kaya koye lafafa aya ?
kaisi sargooshi kartay hoo, aray kaya logo ?
koye payghaam e zubani bhi nahi, kuch bhi nahi
hum nay apnay ko bohat dair sambhala logo

band anhain hoi jaati hain, pisaarain paoon
neend see neend ? humain ab na uthana logo
aik he shab hai, taveel, itni taveel, itni taveel
apnay ayaam mein amrooz na farda logo

aab koye aye tu kehna kay, musafir tu gaya
yeah bhi kehna keh, bhala ab bhi na jata logo
rah tuktay howay pathra see gai theen ankhain
aah bhartay howay chalni howa seena logo
hoont jaltay thai jo layta tha kabhi aap ka naam
iss tarhaan aur kissi ko na saatana logo
ziddi
bohat khoob rose.gif
Ghazal khushboo
QUOTE(BeJaan @ May 20 2008, 01:28 PM) [snapback]2879732[/snapback]
As usual Ghazal Khushboo Sis... Bohat hi khoobsurat intikhab k sath intehai khoobsurat design smile.gif Simply the best rose.gif
But jahan tak mujhe yaad parta hai, yeh ghazal Ibn-e-Insha ki hai,Mohsin Naqvi ki nahi unsure.gif

poster_oops.gif

ye humko kya hogaya hay duas.gif baycharay MOHSIN NAQVI bhai sahab k sath kyun ghalty kiye jarahe hain pit.gif
ab IBN INSHA bhai sahab ko kya jawab daingay hum tomb.gif


1-baatcheet.gif




(ghabraiye nahi just kidding ) E9.gif


buhut buhut shukriya Bro smile.gif
humnay post delete ki hay jald hi sahi post share kerty hoon .


khush rahiye
BeJaan
Main ne apko bethe bithaye zehmat main daal diya 1-embaressed_smile.gif

Ap sirf Mohsin Naqvi k name ki jagah Ibn-e-Insha ka naam likh dain...

Khush rehye rose.gif
hawwa ki beti
image open nahi ho raha
Ghazal khushboo
QUOTE(BeJaan @ May 20 2008, 07:53 PM) [snapback]2880311[/snapback]
Main ne apko bethe bithaye zehmat main daal diya 1-embaressed_smile.gif

Ap sirf Mohsin Naqvi k name ki jagah Ibn-e-Insha ka naam likh dain...

Khush rehye rose.gif

koi baat nahi Bro ...... its ok rose.gif







bas ye itny saary nazm ............. crying_anim.gif





BeJaan
Arre wah apne itni jaldi nazam change bhi kar di smile.gif Zabardast Sis... rose.gif
This is a "lo-fi" version of our main content. To view the full version with more information, formatting and images, please click here.
Invision Power Board © 2001-2008 Invision Power Services, Inc.