QUOTE(MJB @ May 28 2008, 06:05 PM) [snapback]2891229[/snapback]
aur sath main yeah bhi likh diya hey ke,,,,, unki push panahi karachi ke ba-asar afraad kertey hain,,,, jo na sirif unko aslaha faraham kertey hain,,,, balkey,,, ba-waqt-e-zaroorat zamanat ka bhi intezam kertey hain,,,,,,,,,,, aur karachi main yeah ba-asar tabqa konsa hey,,,,, kissi se pooshida nahin
waisey issi article main yeah bhi likha hey ke wardatoon main mulawis 40% aisey khush-haal gharaney ke larkey hain,,, jin ko yeah sab kerney ki zaroorat nahin,,,,,,,,,, abb yeah khush-haal gharaney wo tu nahin ho saktey,,,, jo wahan rozgar ki talash main aye huey hain,,,,,,,,,,,,,,, yeah konsey se 40% larkey hain,,,,,,,,,,, iska bhi sab ko ba-khoobi andaza hey,,,,, ke wo 40% larkey kion be-khof-o-khatar aur kis ki zair-e-sarparasti yeah sab kuch kertey hain
100 batouN ki aik baat...
karachi maiN pahlay crimes ghaTyaa level k log inferaadi satah par yaa local police ki pusht panahi say kia kartay thay. aur waardaat k baad awaam ki nazrouN say chup jaya kartay thay... MQM nay iss 'peshay' ko monazzam aur taaleem.yaaftah naujawanoun, teen agers k liyeh 'roz.gaar' ki farahmi ka behtareen zariyah bana dia.... hakoomat aur police ki saraparasti ki guaranty k saath... ab in naujawanouN ko mahaz 'business-tour' k liyeh apnay mohallay say 'bahar' jana parta hai... baqi yeh civilized community k saath hi rahtay hain.... baqi rahaa mahaz thrill ki khaatir arab-pati families k bigRay howay nau.jawanouN ka street crimes karna to yeh koi new baat nahi... aur inka tanasub, karachi k kul crime ka qaleel hissa hi hai.