asa
khan amar ,app ke batooon say yeh lagta hay kay app kisi khushfehmi ka shikar hay.berh hall aik doo batain ap kay jawab main likhta hoo.
app kehtay hainn
CODE
, iss key kuch wajhoohat haiN, jin maiN say sar-e-fehrisht yeh hay kay app jab bhi reply quote kertay haiN tu ussay sayaq.o.sabaaq baghair daikhtay haiN,
mairee tamam post dekh lain .main taqreeban her her line code tags main likh kar jawab daita hoon ,is kay bawajood bhee yhe kehna bara ajeeb lata hay kay main bay siyaq o sabaq say hat ker baat karta hoon
CODE
HC per maiN pehlay bhi sirf sangeeda mubahisooN maiN hi hisa liya kerta tha, aur ab bhi yehi karooN ga, ghalati yehi howi kay maiN nay app logooN key posts nahi paRheeN theeN agr paRheeN hoti tu qata'n app logooN ko quote kernay key ghalati na kerta, app say iltaymaas hay app ju bhi samjhaiN, jaisa bhi samjhaiN aur jahaaN bhi samjhaiN, agr app kay mutaliq ho tu ussay jaisay marzi paRhaiN, likhaiN ya ju marzi ayr karaiN, agr kisi aur meray baray maiN hu tu zara tol ker baat key jiye ga. kyoN kay app say logooN say ab maiN behas nahi karooN ga balkay case bana ker admins ko forward ker dooN ga. aur jaisay Jhootay ilzaamaat app log laga chukay haiN, uss per phir woh janay aur app.
aour mujh say yeh ghalti howee kay app jaisay shakhs say behs karnay baith gaiya jis ko kisi ko mukhtib karna ka tareeqa bhee nahin ata
CODE
Eak aur arz hay kay, meray topics aur reply ko quote na key'jiye ga, as yeh app key samajh kay level say uper hotay haiN, 2ndly app sangeeda reply kernay say aari haiN aur ab say maiN ghair sanjeeda replies ko ignore kernay key policy per hi karband rahooN ga.
sanjeeda topic kis qisam kay hotay hain plz zara is ke wazahat kar dain.
asal main app jaisay insan ka masala yeh hay kay app ghusa main kuch likh jatay hain ,aour jab us baray main pocha ja aiy to lajawab honay ke wajah say app ghusa main aa jatay hain.
aour phir jawab dainay ke baja aiy ,apnay mukhalif per batoon say apni bartaree sabit kar kay ,rah aiy farar ekhtiyar kar laitay hain.
app kay sath bhee yehee howa hay. main ghalti say ,app he ke dee howee quotation per kuch sawal kar baitha aour abb un ka jawab dainay ke bajaiy, yeh sub kuch likh diya.main nay app say abb tak 3 sawal poch hain
1.ap nay kaha sunni hilal kay nishan ko mutbarak samjhta hain,aour main nay is ke daleel mang lee.wahan app nay jawab nahin diya.
2.isi post main app nay malookiyat ko ulema ke siyasat qara diya ,main is ka ref mang liya ,to app nay jawab nahin diya.
3.app nay bukhari kay mutalik likha kay aik mukhtasir arsa main itni hadithain jama bhee kar leen aour phir un main say kayee lakh ko mojo qarar diya.main is sisilay main ap say ref mang liya per app nay wahan bhee jawab nahin diya
aour is ke bajaiay is post main apna ghusa niklanay per ektifa kiya. bher hall mera maqsad na app say laraye hay na main kisi bher bilwajah sawal kar ta hoon , agar app hum logon say behs nahin karna chahtay to phir hum bhee app say kowee baat nahin karain ghay ,inshallah