tenha_saima
Jun 7 2008, 03:54 AM
Assalaam-o-Alaikum
mujhe aik baat samajh nahienati .... loog aissa kyun samajhtey hain k agr koi namaz parhta hai too onhain pura haq hai os ki namaazoo'n ko point out kar k baat karne ka ... jaisse " tum namaz'ain parh k bhi aisse kartey ho?" ya " tumharri namaaz'oon ka koi faida naheina hai" ...
kuch loog yeh bhi kehtey hain k haquq-ul-Allah maaf ho jaate hain .. lekin haquq-ul-ibaad nahien .. to agr Allah k bando'n se pyar nahien karo ge too namazain nahien qabool hoon gi ..
yeh kyun nahien socha jata k namaz is the least thiing or sumthin dat each n every muslim has to do .. first step .. sirf aur sirf namaz parhtey kissi ko daikh k yeh nahein kah saktey k banda bilkul gunahoo'n se pak hai .. cuz pata nahien hota k koon se state ov mind main namaz ada ki gaii ..
sirf namaz parhna, iiman k paka honey ki zamanat nahien ahi ..
wat do u guyz hav to say?? ..( correct me if am rong)
Gambler1
Jun 7 2008, 08:14 AM
MashahAllah Bohat Sahi Baat Kahi App Nay (y)
Meray Father Bhi Aksar Mujhay Yeh Kehtay Hain Jab Hallat Waghera Kharab Hoon k Bus Beta Kise Ko kuch Na Kaho
Apna Chup Kar k Ghar Main Rahoo Or 5times Namaz Parhoo K Jessay Yehi Sara Imaan hain .
Jab Namaz Tu hummay her Haal main he parhni wo tu farz hai..
baqi jitnay huqooq hain wo bhi ada karnay hain like mard ka beard rakhna aurat ka parda karna eski misal lay layin app.
kise larki ko parday ka kaho tu jawab milta hai array rehnay do dekhayin humnay apni uni collage ki galz parday main kia karti hain parda kuch nahi hota nazar ka hota hai hum unsay achi hain ........
kise mard ko ya larkay ko lay layin app osko beard k leyh kaha jayy tu kehta hai bhai hum darhi walay say achay hain
namaz bhi parhtay hain or dhoka bhi nahi Falan ko deakho kitni bari darhi hai mager hai ek no ka topi baz essay kuch nahi hota 1000 jumlay logoon ki zubaan pay hotay hain yeh khatrnak baat hai afsoos ka maqam hai ..
humara outhna bethna sona jagna khana peena even baiul khilla ana jana bhi imaan ka hissa hai sunnat k mutabiq
ada karna hai jin kamoo say ihtiyaat ka hukum hai un say ihtiyat jin say ijtinab ka hukum hai unsay ijtinab jin ko karnay ka hukum hai unko karna hai tu kamil imaan hoga na InshahAllah ?? yeh thori jo kam asani say kar leya tu fakher k ji hum ossay achay hain ya jo baqi hukum sunnat wajib farz puray tu karta hai mager in k baqool topi baz hai ....
Allah pak hum sab ka sirate mustaqeem pay chalna asan farmayin ameen
xplaind
Jun 9 2008, 04:13 AM
QUOTE(tenha_saima @ Jun 7 2008, 03:54 AM)

sirf namaz parhna, iiman k paka honey ki zamanat nahien ahi ..
lekin namaz na parhna imaan na honay ki zamanat zaroor hay....... Allah karay hum namaz me tezi dekhain aur waqt per ada karen .. Aameen..
LEADER
Jun 11 2008, 11:40 PM
QUOTE(xplaind @ Jun 8 2008, 11:13 PM)

lekin namaz na parhna imaan na honay ki zamanat zaroor hay....... Allah karay hum namaz me tezi dekhain aur waqt per ada karen .. Aameen..
Ameen