Aaj jaab Shahbaz Shareef Sahib apni press conference kar rahay thay tu haam aur hamaray eik Saudi dost sath bethay Dawn News per un ko sun rahay thay. Saudi dost ki quality ye hey wo Urdu aur English main maharat rakhtay hain.
Unki press confrence kay duran wo zor zor se hans par tay thay haam bhi sath mila detaty thay. Jab Shahbaz Shareef eik daam uth kar bhagay tu wo hans hans kar lot pot hogaye.....
Haam nay kaha es main etni hansnay wali baat kia hey?
Hamaray dost kehnay lagay.. Tum bhi nahi samjhay? News waloon ki tarha!
Ham nay kaha kia bahi?
Kenay lagay CM khod masroof tha es liyee apna mushi behj diya.. aur saab us ko Cm samjh rahay hain.....
haam nay kaha nahi bhai ye baat nahi hey.....wo Cm hi hain......
Phir Saudi dost serious andaz main bolay haan ye kharabi hamray yanha bhi hay jahil admi ko wazir bna detay hain....
Haam nay kaha chalo edher tu kuch ezat bachi... Forun jumla barhaya Pak Saudi bhai bhai hi tu hain..........
