Help - Search - Members - Calendar
Full Version: Mard Ki Aankhien
HulChul.NET > Masti - Masti > Male Gossip
Pages: 1, 2
Airy_Princess
QUOTE(sweet_angel @ Jun 10 2008, 05:58 PM) [snapback]2914931[/snapback]
salaam alaik,,

hua kuch yun k mien apne baba k sath passport office mien thi ..to wahan ek badi umr k aadmi molvi se they ...bilkul ..wo bethe the hamare saath seat per ..samne do aurtien ai ..ab unki dressing bhi aisi thi ..k un k PAENCHEY neeche se kafii uper they ..jo so called CAPRII kehlata hai ...to yeh uncle apne baraber wale se kehne lagey ..KEY DEKHO YEH HAMARE ISLAM MIE EK NAMAZI AADMI KA KAAM HOTA HAI YEH AB YE AURAT BHI YUNHI PEHENEY LAGGAE ,,woh aisa keh he rahe they k wo aunty ai or aisa tamasha bana dia us uncle ka K SHARAM NHI ATI KAB SE GHUREY JARAHE HO KAB SE GHURE JARAHE HO ..unki aankhien sharm se neeche he thi unhone nazrien uthai he nhin ....phr wo wo uth k chalegae office k ander ..itna afsoos hua bohut ziada ....

khair se yeh to aam he hain ..jahan aurat ka libaas aisa ho wahan mard ankhie jati he hain..to app mujhe yeh bataen ..k kehte to hain k AURAT KO AISA LIBAAS NHI PEHENNA CHAHIYE JISEY MARD K NAZRIE US PER JAEN..
OR DOSRI TARAF YE BHI KEHTE HAIN ISLAM MIEN K MARD HO YA AURAT US KI NAZAR GHALTI SE BHI KISI NA MEHRAM PER GAI USEY ALLAH K DAR SE NAZRIEN JHUKANI CHAHIYE ,,,

To kia kisi ko point out karna sahi baat hai ya nahi ?? app kia kehte ho is muamely mien ...mujhe kai din se yeh baat kehni thi ...mujhe bada wo tha k usko atleast wo aadmi itna kehta k "BIBI AP KAPREY AISE PEHNOGI TO NAZRIEN TO HAR KISI KI JAENGI" ...

to khair app apni rae thodi sii share karein is barien mien ... rose.gif


Lolz ... Nice Incident ... par really meko unn uncle par tars nahi aya ... unn uncle ki umar tou dekho n batien dekhou takay takay ki ... I still remember jab main first tym ayi thi HC par tou toocoolca k topic main yehi baat par long discussion chali thi ... its a discussing thing which is so much common these days ... aik baat kahon I dont think k Its up to ones dress ... yeh tou baat hoti hai dekhne ki ... wotever I think k ... kabhie koi young banday apko ghar tak nahi chorr kar ayega ... jitna 2 types k log apko dekhien ge specially girls ko chahey woh cover hon ya k nah ... 1-Borhay ...2- Teenage Boys borhe baray hain par phir bhi unki jawani khatam nahi hui aur bache chote hain tou unki jawaani kab ki start ho chuki hai ... aik larki chahey 7 pardon main b ho na uss ne dekh lena hai ager kisi ne dekhna hai aur ager kisi ne nahi dekhna tou simple usne nahi dekhna ... not even man mera tou khayal hai k ajkal aurton ki nazar bhi buht gandi hoti hai kuch ki ... woh larkon ko itna ghoor k dekhti hain k ghaar tak chor aaein
Abu Adnan
QUOTE(sweet_angel @ Jun 20 2008, 06:43 PM) [snapback]2933468[/snapback]
101% durust farmaya bhai apnney...
lekin in some way ..lyk mien apna kehti hun kabhi to miene sunadiii dar dar k lekin mien mostly khari kharii suna zarur deti hun...is baat ka mujhe bhi darr rehta hai k agey se kuch ulta sidha na hojae ..
lekin yeh bhi hai k agar mien bhai baba se kahun ..to mera wahan jana he band hojaega ...kabhi kubhaar ye soch k nhi kehti
kabhi kubhaar yahi k kuch nhin hotaa choti si baat hai thik hojaega!! or shayad mien ghalat hon


waqoo'ay pay durust faislah to wohi karsakti hai, jo wahaaN maujood ho aur situation ko face kar rahi ho.... bah shartekay ossay saray options bhi maloom houN aur har option k fawaid o nuqsaanaat say bhi agaah ho. kabhi koi ghalat action bhi 'kaargar' hojata hai aur kabhi aik acha action bhi ghalat result day sakta hai. lehaza be aware all such type of situations, their posible solutions /actions and take a better decision on spot. sab say aham baat yeh k Allah say madad talab karti rahaiN. bay shak wohi bachaanay wala hai.
Abu Adnan
QUOTE(sweet_angel @ Jun 20 2008, 06:44 PM) [snapback]2933472[/snapback]
haan magar aisi aurtien KUDRATAN samajhti nhin ..ulta mun bana k chali jati hai ... breakface1.gif


lekin aapka kaam to sirf HAQ BAAT pah.chana hai. ossay 'hidayat' dena nah dena to Allah ka kaam hai. aap say sirf yeh sawaal hoga k aap nay apna KAAM kia yaa naheeN. koi amal karti hai yaa nahi iski jawab.dahi oss say hogi aap say nahee...... Allah nay quran maiN yehi baat apnay Nabi sallal laaho alihay wasallam ko bhi kahi hai k tumhara kaam sirf message dena hai. tum sallal laaho alihay wasallam iss baat par pareeshaan nah howaa karo k kaun tumhaari (sallal laaho alihay wasallam) baat par amal karta hai aur kaun nahi......... same instruction is for us as well k rasool (sallal laaho alihay wasallam) k baad aap (sallal laaho alihay wasallam) k ummati hi aap (sallal laaho alihay wasallam) k paighaam ko aam karnay k zimmah daar haiN.
VrSoLdIeRs
pehlay yeh batao afghanistan ka visa laga ya nahi lol3.gif

baat ji 100% theek hai u ki... point out umm... cant say.... best tareeqa yeh hai keh aap khud ko seedhay rastay par chalao shayad unkay liye example ban jao... n the thing is keh agar kisi ko uski fault batani ho to mehfil main nahi batana chahiyay alag say batana chahiyay but in this case cant really say... main hota to apni hi nazar jhuka leta
:duuno:
Gn0m3r.X
No comments on this nahi toh larai ho jayegi E9.gif
sweet_angel
QUOTE(Airy_Princess @ Jun 21 2008, 12:47 AM) [snapback]2933828[/snapback]
Lolz ... Nice Incident ... par really meko unn uncle par tars nahi aya ... unn uncle ki umar tou dekho n batien dekhou takay takay ki ... I still remember jab main first tym ayi thi HC par tou toocoolca k topic main yehi baat par long discussion chali thi ... its a discussing thing which is so much common these days ... aik baat kahon I dont think k Its up to ones dress ... yeh tou baat hoti hai dekhne ki ... wotever I think k ... kabhie koi young banday apko ghar tak nahi chorr kar ayega ... jitna 2 types k log apko dekhien ge specially girls ko chahey woh cover hon ya k nah ... 1-Borhay ...2- Teenage Boys borhe baray hain par phir bhi unki jawani khatam nahi hui aur bache chote hain tou unki jawaani kab ki start ho chuki hai ... aik larki chahey 7 pardon main b ho na uss ne dekh lena hai ager kisi ne dekhna hai aur ager kisi ne nahi dekhna tou simple usne nahi dekhna ... not even man mera tou khayal hai k ajkal aurton ki nazar bhi buht gandi hoti hai kuch ki ... woh larkon ko itna ghoor k dekhti hain k ghaar tak chor aaein

nhin yara kaprey aise hongey to dekhengey na nah nah kisne kehdia larkey nhi ghortey woh to mahaa chipku hotey hain MOST OF EM ..
lekin mujhe aya un uncle pe kiu k unhone durbin ki tarah lagataar nhin ghura tha usey ..per khair kia kehsakte hain breakface1.gif
sweet_angel
QUOTE(Abu Adnan @ Jun 21 2008, 07:09 AM) [snapback]2934178[/snapback]
waqoo'ay pay durust faislah to wohi karsakti hai, jo wahaaN maujood ho aur situation ko face kar rahi ho.... bah shartekay ossay saray options bhi maloom houN aur har option k fawaid o nuqsaanaat say bhi agaah ho. kabhi koi ghalat action bhi 'kaargar' hojata hai aur kabhi aik acha action bhi ghalat result day sakta hai. lehaza be aware all such type of situations, their posible solutions /actions and take a better decision on spot. sab say aham baat yeh k Allah say madad talab karti rahaiN. bay shak wohi bachaanay wala hai.

o0o for sure...thnx alot brothrt rose.gif
sweet_angel
QUOTE(Abu Adnan @ Jun 21 2008, 07:15 AM) [snapback]2934202[/snapback]
lekin aapka kaam to sirf HAQ BAAT pah.chana hai. ossay 'hidayat' dena nah dena to Allah ka kaam hai. aap say sirf yeh sawaal hoga k aap nay apna KAAM kia yaa naheeN. koi amal karti hai yaa nahi iski jawab.dahi oss say hogi aap say nahee...... Allah nay quran maiN yehi baat apnay Nabi sallal laaho alihay wasallam ko bhi kahi hai k tumhara kaam sirf message dena hai. tum sallal laaho alihay wasallam iss baat par pareeshaan nah howaa karo k kaun tumhaari (sallal laaho alihay wasallam) baat par amal karta hai aur kaun nahi......... same instruction is for us as well k rasool (sallal laaho alihay wasallam) k baad aap (sallal laaho alihay wasallam) k ummati hi aap (sallal laaho alihay wasallam) k paighaam ko aam karnay k zimmah daar haiN.

o0o done ab e aisa he karungi ...baki woh janey uska imaan ..magar ALLAH HAR AURAT KO IZAT DEY ...HAME NAIK HIDAYAT DEY duas.gif
sweet_angel
QUOTE(VrSoLdIeRs @ Jun 24 2008, 11:51 AM) [snapback]2940541[/snapback]
pehlay yeh batao afghanistan ka visa laga ya nahi lol3.gif

baat ji 100% theek hai u ki... point out umm... cant say.... best tareeqa yeh hai keh aap khud ko seedhay rastay par chalao shayad unkay liye example ban jao... n the thing is keh agar kisi ko uski fault batani ho to mehfil main nahi batana chahiyay alag say batana chahiyay but in this case cant really say... main hota to apni hi nazar jhuka leta
:duuno:

passport office gai thi visa office nhin idiot .. poster_oops.gif

chalo gud enuff ..aisa hee karna chahiye .. 1-kahani.gif
sweet_angel
QUOTE(Loner Tech @ Jun 24 2008, 12:58 PM) [snapback]2940621[/snapback]
No comments on this nahi toh larai ho jayegi E9.gif

arey!! kiu kiun hum bhi to dekhien apkey comments ..koi larai nhi hogi ..come on share ur comments too 1-kahani.gif
Gn0m3r.X
QUOTE(sweet_angel @ Jun 24 2008, 06:43 PM) [snapback]2940999[/snapback]
arey!! kiu kiun hum bhi to dekhien apkey comments ..koi larai nhi hogi ..come on share ur comments too 1-kahani.gif

Well I don't wanna discuss about this in open coz I might just hurt the feelings of others smile.gif
VrSoLdIeRs
QUOTE(sweet_angel @ Jun 24 2008, 06:12 PM) [snapback]2940993[/snapback]
passport office gai thi visa office nhin idiot .. poster_oops.gif

chalo gud enuff ..aisa hee karna chahiye .. 1-kahani.gif


to kiya bagair visa kay afghanistan janay ka irada hai lol3.gif aunty passport banda visa kay liye hi banwata hai.... ab passport dikha ka free pepsi to milnay say rahi sc.gif
sweet_angel
QUOTE(Loner Tech @ Jun 24 2008, 09:23 PM) [snapback]2941107[/snapback]
Well I don't wanna discuss about this in open coz I might just hurt the feelings of others smile.gif

no one will get hurt u just share it ..kuch hatkey bhi sunne ko miljaega na ..lets c kareley logon ki kkaisi rae hai ..ab itna kehrahi hu keh bhi chuko ab ..
sweet_angel
QUOTE(VrSoLdIeRs @ Jun 25 2008, 12:54 PM) [snapback]2942315[/snapback]
to kiya bagair visa kay afghanistan janay ka irada hai lol3.gif aunty passport banda visa kay liye hi banwata hai.... ab passport dikha ka free pepsi to milnay say rahi sc.gif

psprt naya naya nhi banwaya apki tarah xp hogaya tha renew karwaya hai ...or apna nhin kisi or ka samjhey .. chalo ab ghareeb log raasta napo mere topic mien serious batien eusa_naughty.gif
Aawaz
QUOTE(Kashif @ Jun 11 2008, 04:17 AM) [snapback]2915834[/snapback]
donon hi baatein ghalat haiN

aurat ko apnay libas ka khyal rakhna chahiyay kiyunke zahiri si baat hay jo apnay aap ko haya say aazad kar dey us ki taraf to sab log dekhein gi hi ....dawat-e-nazara dey kar ghoornay par ehtajaj karna ajeeb si baat hay....leikin yeh bhi haqeeqat hay kay aksar mard dekhtay hi ghalat andaaz say hain

dosri baat yeh kay mard ko bhi koshish karni chahiyay kay apni nigah aur khyalaat ko qaboo mein rakhay kiyunke sab say un kay aamal ki pooch honi hay .........koi comment pass karnay ki bajayay khamoshi hi ikhtiyaar karna behtar hay


jzk.gif gud.gif
Aawaz
QUOTE(Perplexed Soul @ Jun 11 2008, 07:44 PM) [snapback]2917185[/snapback]
aurton ko is tarha ke libaas nahin pehnna chahiye
aur mard ki ager aik bar nigah chali gai ghalti se to
phir dobara nahin dekhna chaiye.

jzk.gif gud.gif
Aawaz
QUOTE(Abu Adnan @ Jun 17 2008, 03:46 AM) [snapback]2925997[/snapback]
lekin as a MARD mera wastah to bahar har qism ki aurtouN say hota hai. lehaza maiN sab say pahlay to apni hifazat k liyeh apni nigaah neechee rakhany ki koshish karouN. 2ndly jab aur jahaaN bolnay ki quwwat rakhouN, naa.monaasib libaas waliyouN ko ahsan tareeqay say / hikmat say iss taraf tawajjah dilaayouN. fasaad say bach.tay howay... khawateen albatta iss maamlay maiN baRa aham role adaa karsakti haiN... woh aisee khawateen ko zeyadah behtar tareeqay say samjha sakti haiN.

being a LADY, mujhay apni hifazat k liyeh laazman apnay hijaab ka khayaal rakhna hoga. bilkhsoos bahar jatay howay, makhloot mahaul maiN job /shopping etc kartay howay....... as I know k mard ki jinsi ish.tehaa oski aankhouN say baRhti hai aur woh achay haseen chehray / libaas dekh kar oskay dil maiN kuch kuch honay lagta hai, aisay maiN woh 'apna control' kho sakta hai.... jabkay aurat k dil maiN kuch kuch tab hota hai jab oskay kaan mardanah awaaz maiN roomani baataiN sonaiN......... issi liyeh females ko mardouN say tanhaa baat karnay ko mana kia gaya hai k woh mokhatib ki shaatraanah guftagoo say apna 'control' kho sakti hai. it's natural.[/color][/size]


aaGer is Topic phe ap ki Reply na miltee tu yeh aadhuraa laGtaa

CODE
lekin as a MARD.......................


As A Mard yeh apnay apnay hi Khilat ka iZhar kiya hai naa hmmmm

CODE
lehaza maiN sab say pahlay to apni hifazat k liyeh


hifazat say kya mutlab hai ap kaaa...?

CODE
being a LADY, .....................


yeh kis lady ky Khilataay haiN hmmmmmmm

ya apnay hi As A Lady baN ker ..........................................
Aawaz
QUOTE(sweet_angel @ Jun 17 2008, 07:19 PM) [snapback]2927212[/snapback]
true yara ,,,hijaab mien bhi aise ghurte hain ,,,, ALLAH mafii ,,,, aurat ko sharam ajae ... dunno.gif


sahi kahaaa yeh bhi aik talKh haQeqaat haiiii
Aawaz
QUOTE(Abu Adnan @ Jun 18 2008, 02:30 AM) [snapback]2927991[/snapback]

SHIKAARI amooman TANHAA ko SHIKAAR kartay haiN.


yeh bhi sahi kahaaaa
Abu Adnan
QUOTE(Aawaz @ Jun 26 2008, 05:58 AM) [snapback]2944169[/snapback]
aaGer is Topic phe ap ki Reply na miltee tu yeh aadhuraa laGtaa

CODE
lekin as a MARD.......................


As A Mard yeh apnay apnay hi Khilat ka iZhar kiya hai naa hmmmm

CODE
lehaza maiN sab say pahlay to apni hifazat k liyeh


hifazat say kya mutlab hai ap kaaa...?

CODE
being a LADY, .....................


yeh kis lady ky Khilataay haiN hmmmmmmm

ya apnay hi As A Lady baN ker ..........................................


thanx 4 ur comments... agar viewers ki awareness maiN thoRa bahoot bhi izafah hojaye to meri tahreer ka maqsad poora hojata hai.
Abu Adnan
QUOTE(Aawaz @ Jun 26 2008, 06:07 AM) [snapback]2944172[/snapback]
yeh bhi sahi kahaaaa


thanx 4 confirmation thumbup.gif
VrSoLdIeRs
QUOTE(sweet_angel @ Jun 26 2008, 12:59 AM) [snapback]2943753[/snapback]
psprt naya naya nhi banwaya apki tarah xp hogaya tha renew karwaya hai ...or apna nhin kisi or ka samjhey .. chalo ab ghareeb log raasta napo mere topic mien serious batien eusa_naughty.gif

banwa kar frame nahi karwana hota travel bhi karna hota hai sc.gif khud afghanistan jati hai aur mujhay gareeb kehti ho sc.gif
Gn0m3r.X
QUOTE(sweet_angel @ Jun 26 2008, 01:28 AM) [snapback]2943751[/snapback]
no one will get hurt u just share it ..kuch hatkey bhi sunne ko miljaega na ..lets c kareley logon ki kkaisi rae hai ..ab itna kehrahi hu keh bhi chuko ab ..

Well the real problem lies in pov of the people coz they are always trying relate almost everything to the 'Religion'. I believe in the saying "Don't judge a book by it's cover", so I would say it doesn't matter how a person dresses coz I don't go by the overall appearance of a person and u don't have the right to bash em coz it's their life and btw aren't humans supposed to be the smartest species on the planet?
tihami
QUOTE(Loner Tech @ Jun 26 2008, 07:48 AM) [snapback]2944666[/snapback]
Well the real problem lies in pov of the people coz they are always trying relate almost everything to the 'Religion'. I believe in the saying "Don't judge a book by it's cover", so I would say it doesn't matter how a person dresses coz I don't go by the overall appearance of a person and u don't have the right to bash em coz it's their life and btw aren't humans supposed to be the smartest species on the planet?


there is a diff between being smartest and over-exposure...

Religion is for our full life not jz for prayers . It tells us the way to spend each n every second of our life. so every thing is connected to this.
Gn0m3r.X
QUOTE(tihami @ Jun 26 2008, 09:13 PM) [snapback]2945585[/snapback]
there is a diff between being smartest and over-exposure...

Religion is for our full life not jz for prayers . It tells us the way to spend each n every second of our life. so every thing is connected to this.

I tried to explain the whole thing in that small para but it seems that I failed 1-embaressed_smile.gif
sweet_angel
QUOTE(VrSoLdIeRs @ Jun 26 2008, 11:27 AM) [snapback]2944609[/snapback]
banwa kar frame nahi karwana hota travel bhi karna hota hai sc.gif khud afghanistan jati hai aur mujhay gareeb kehti ho sc.gif

zahir hai tum to afghanistan hi nhi jasakte ... sc.gif
sweet_angel
QUOTE(Loner Tech @ Jun 27 2008, 12:25 AM) [snapback]2946078[/snapback]
I tried to explain the whole thing in that small para but it seems that I failed 1-embaressed_smile.gif

tumhare xplaination ko hum sahi samaj he nhi sakte ..abt religion jo tihami bhai ne kaha am cent percent agree wid him tho..
or abt dat ur says.. am agree wid dat too dunt jugde a book by its cover ..BUT BOOK IS BOOK ND A HUMAN IS HUMAN..C AB TUM KISI AISI JAGA JAOGEY JAHAN SAB TAREEKEY SEY HAIN WELL DRESSD UP HAIN OR TUM FUNKY DRESS PEHEN K JAOGEY TO EVERYONE STRT STARIN AT U IN A VERY WIERDO WAY...SO IN DAT POINT IT COME TO UR COVER ..INIT?
nd dosra yeh k agar ek book jitney burey haal mie hoti hai usey ata chaljata hai k isey kafi parha gaya hai kafi logon mien kch to baat hogi...
Abu Adnan
QUOTE(tihami @ Jun 26 2008, 09:43 PM) [snapback]2945585[/snapback]
there is a diff between being smartest and over-exposure...

Religion is for our full life not jz for prayers . It tells us the way to spend each n every second of our life. so every thing is connected to this.


number1.gif number1.gif

doc sahab asal maiN satahi zehan k log maghrib / socalled taraqqi yaaftah momaalik ko dekh kar yeh conclusion nikaal baiTh.tay haiN k jiss tarah onhouN nay church aur state ko alaag karkay taraqqi haasil ki hai issi tarah hum muslims ko bhi apni zindagi say deenay islam ko alag kar na chahiyeh.... halaankay hamari tanazzali ka wahid sabab yehi hai k hum nay apnay maamlaatay zindagi say apnay deen ko alag kardia hai.... correct conclusion yeh hai...

1. jab tak yahoodi aur christians etc apnay apnay (corrupted n outdated) deen say joray howay thay, dunyaa maiN zaleel o khaar thay. lehaza joun hi onhouN nay apnay deen say 'rehayee' hasil ki taraqqi kartay chalay gaye....

2. jab tak muslim ummat apnay deen say juray howay thay... dunya maiN aur science o technology maiN orooj par thay... (afsos k hum apni history hi say naa waaqif haiN k kabhi aisaa bhi thaa) .... lekin jab hum nay aponay deen ko tark kia aur issay masjid o mulla k hawaalay kia ... hum tanazalli ki simat girtay hi chalay gaye aur ab bhi mosalsal gir rahay haiN.

kaash hum muslims apnay har maamlay ko islam ki ainak say dekhnay k qaabil hosakaiN. yaqeen karaiN phir hum dunyaa maiN bhi taraqqi karengay aur aakhirat bhi hamari sodhar jayegi aur marnay k baad azaabay aleem say bhi bach sakengay.
Khalish
QUOTE(Kashif @ Jun 11 2008, 07:17 AM) [snapback]2915834[/snapback]
donon hi baatein ghalat haiN

aurat ko apnay libas ka khyal rakhna chahiyay kiyunke zahiri si baat hay jo apnay aap ko haya say aazad kar dey us ki taraf to sab log dekhein gi hi ....dawat-e-nazara dey kar ghoornay par ehtajaj karna ajeeb si baat hay....leikin yeh bhi haqeeqat hay kay aksar mard dekhtay hi ghalat andaaz say hain

dosri baat yeh kay mard ko bhi koshish karni chahiyay kay apni nigah aur khyalaat ko qaboo mein rakhay kiyunke sab say un kay aamal ki pooch honi hay .........koi comment pass karnay ki bajayay khamoshi hi ikhtiyaar karna behtar hay


salam.gif

Aap ki yeh dono he baateiN (jo maiN ne nishaan zadah ki haiN) samajh meiN nahi aaeiN? Mazhab ko aik taraf rehne dijiay, samaji aur ikhlaqi aqdaar bhi koi haisiyat rakhti haiN. Hum jis mahool ke aadi nahi aur jiss ka faroogh apne ma'ashray meiN nahi chahte uss per ehtijaaj zaroor karna chahiye .. ya kam az kam na.pasandeedgi ka izhar .. Apne ghar aur chaar deevaari meiN public ki jo marzi ho karti phiray .. khule aam ... ma'ashrati (un-written) qavaneen ka itlaaq shuru ho jaata hai.

Dosri sourat jo aap ne tajveez ki hai usse urf.e.aam meiN buzdili ya (ma'azrat ke saath) be.ghairity samjha jaata hai. HaaN yeh kaam public na kare .. balke individual ke apne rishtedaar, maaN, baap, bhai, behan waghara karaiN ... basourat.e.deegar kisi bahar ke aadmi/aurat ki madakhilat ke liye tayyar rahaiN.

Khush RahaiN rose.gif rose.gif
Kashif
QUOTE(Aawaz @ Jun 26 2008, 04:42 AM) [snapback]2944163[/snapback]
jzk.gif gud.gif

shukriya rose.gif
Kashif
QUOTE(Khalish @ Jun 27 2008, 08:46 AM) [snapback]2946811[/snapback]
salam.gif

Aap ki yeh dono he baateiN (jo maiN ne nishaan zadah ki haiN) samajh meiN nahi aaeiN? Mazhab ko aik taraf rehne dijiay, samaji aur ikhlaqi aqdaar bhi koi haisiyat rakhti haiN. Hum jis mahool ke aadi nahi aur jiss ka faroogh apne ma'ashray meiN nahi chahte uss per ehtijaaj zaroor karna chahiye .. ya kam az kam na.pasandeedgi ka izhar .. Apne ghar aur chaar deevaari meiN public ki jo marzi ho karti phiray .. khule aam ... ma'ashrati (un-written) qavaneen ka itlaaq shuru ho jaata hai.

Dosri sourat jo aap ne tajveez ki hai usse urf.e.aam meiN buzdili ya (ma'azrat ke saath) be.ghairity samjha jaata hai. HaaN yeh kaam public na kare .. balke individual ke apne rishtedaar, maaN, baap, bhai, behan waghara karaiN ... basourat.e.deegar kisi bahar ke aadmi/aurat ki madakhilat ke liye tayyar rahaiN.

Khush RahaiN rose.gif rose.gif

w/salam Khalish bhai

pehli baat jo aap nay highlight ki us ka to seedha sa matlab tha kay aurat ka namunasib libaas pehen kar khud ko ghoornay par aitraaz karna ajeeb si baat hay.......bold alfaaz iss jumlay mein add karnay say ab shayd baat wazeh ho gayee hogi aap par smile.gif

aur dosri baat jo aap nay ki us ki wazahat bhi aap nay khud hi kar di hay ...yeh keh kar kay comments wala kaam us ka koi rishtadaar ya taluq wala karay .....aur main nay jin logon kay comments ki baat ki thi un ki aadat hi x-ray wali nazron say sab aurton ko ghoorna aur un par comment pass karna hoti hay.....kisi ko public mein tanqeed ka nishana bananay say pehlay apnay gareban mein bhi dekh laina chaiyay ...aap ko pata hoga kay iss tarah "yeh shareefon ka mohalla hay" ki aawaz laganay walay aksar khud qabil-e-fakhar character kay malik nahin hotay

agar aik banday kay comments say koi positive nateeja niklay to woh zaroor baat karay leikin agar sirf larrai ya badmazgi hi honi hay to chup rehna hi behtar hay aur yeh bey-ghairti nahin hay.......like agar koi kisi aur country mein hay to wahan woh aisay manazir dekh kar larray ga ya apnay aap ko alag rakh kar "bey-ghairat" kehlayay ga ......I think un logon kay aamal ka zimma dar woh nahin jo usay bey-ghairat kaha jayay....albata yahan tak sahi hay kay agar koi aurat apni haya ki hifazat nahin karti to us kay ghar walay iss kay zimma dar hain aur unhain iss baat ko ignore karnay par "bay-ghairat" kaha ja sakta hay
Airy_Princess
aik hai meri Dost S.A ju mere rep par rep nahi karti
VrSoLdIeRs
QUOTE(sweet_angel @ Jun 27 2008, 12:49 AM) [snapback]2946097[/snapback]
zahir hai tum to afghanistan hi nhi jasakte ... sc.gif

aur tum sirf waheen ja sakti ho sc.gif chalo ab pakao nahi thapar.gif
sweet_angel
QUOTE(Airy_Princess @ Jul 2 2008, 12:17 AM) [snapback]2953591[/snapback]
aik hai meri Dost S.A ju mere rep par rep nahi karti

miene u ko rep nhi dia??1-embaressed_smile.gif$:$ dia to hai yaraaa pit.gif

lemme c again kuuaaburr.gif
tension_4u
QUOTE(sweet_angel @ Jun 10 2008, 05:58 PM) [snapback]2914931[/snapback]
salaam alaik,,

hua kuch yun k mien apne baba k sath passport office mien thi ..to wahan ek badi umr k aadmi molvi se they ...bilkul ..wo bethe the hamare saath seat per ..samne do aurtien ai ..ab unki dressing bhi aisi thi ..k un k PAENCHEY neeche se kafii uper they ..jo so called CAPRII kehlata hai ...to yeh uncle apne baraber wale se kehne lagey ..KEY DEKHO YEH HAMARE ISLAM MIE EK NAMAZI AADMI KA KAAM HOTA HAI YEH AB YE AURAT BHI YUNHI PEHENEY LAGGAE ,,woh aisa keh he rahe they k wo aunty ai or aisa tamasha bana dia us uncle ka K SHARAM NHI ATI KAB SE GHUREY JARAHE HO KAB SE GHURE JARAHE HO ..unki aankhien sharm se neeche he thi unhone nazrien uthai he nhin ....phr wo wo uth k chalegae office k ander ..itna afsoos hua bohut ziada ....

khair se yeh to aam he hain ..jahan aurat ka libaas aisa ho wahan mard ankhie jati he hain..to app mujhe yeh bataen ..k kehte to hain k AURAT KO AISA LIBAAS NHI PEHENNA CHAHIYE JISEY MARD K NAZRIE US PER JAEN..
OR DOSRI TARAF YE BHI KEHTE HAIN ISLAM MIEN K MARD HO YA AURAT US KI NAZAR GHALTI SE BHI KISI NA MEHRAM PER GAI USEY ALLAH K DAR SE NAZRIEN JHUKANI CHAHIYE ,,,

To kia kisi ko point out karna sahi baat hai ya nahi ?? app kia kehte ho is muamely mien ...mujhe kai din se yeh baat kehni thi ...mujhe bada wo tha k usko atleast wo aadmi itna kehta k "BIBI AP KAPREY AISE PEHNOGI TO NAZRIEN TO HAR KISI KI JAENGI" ...

to khair app apni rae thodi sii share karein is barien mien ... rose.gif

wasy pehli nazar maaf hoti ha i mean agar galti sy pary

ab wo uncle us orat ko to nhi keh sakty thy bcoz un ka is sy zaada issue banta

ummn khwaateen ko asa libaas nhi behanna chahiye-------- bcoz orat to ha chupaany ki cheez jaisy ham QURAN-E-PAAK ko ghilaaf main lipatity hain usi terhan orat b bohat pyaari or paakiza cheez ha is liye usy apny app ko chupa k rakhna chahiye
or jahan tak khwateen ko viel kerna chahiye usi terhan merd hazraat ko chahiye k wo apni nazrain sambhaal k rakhain

raasty main chalty hoye nazrain neechy honi chahiyen
or idher udher nhi daikhna chahiye

mainye uncle k baary main kuch nhi kehta bcoz kuch samajh main nhi aa rha
sweet_angel
QUOTE
Airy_Princess @ Jun 21 2008, 12:47 AM)
Lolz ... Nice Incident ... par really meko unn uncle par tars nahi aya ... unn uncle ki umar tou dekho n batien dekhou takay takay ki ... I still remember jab main first tym ayi thi HC par tou toocoolca k topic main yehi baat par long discussion chali thi ... its a discussing thing which is so much common these days ... aik baat kahon I dont think k Its up to ones dress ... yeh tou baat hoti hai dekhne ki ... wotever I think k ... kabhie koi young banday apko ghar tak nahi chorr kar ayega ... jitna 2 types k log apko dekhien ge specially girls ko chahey woh cover hon ya k nah ... 1-Borhay ...2- Teenage Boys borhe baray hain par phir bhi unki jawani khatam nahi hui aur bache chote hain tou unki jawaani kab ki start ho chuki hai ... aik larki chahey 7 pardon main b ho na uss ne dekh lena hai ager kisi ne dekhna hai aur ager kisi ne nahi dekhna tou simple usne nahi dekhna ... not even man mera tou khayal hai k ajkal aurton ki nazar bhi buht gandi hoti hai kuch ki ... woh larkon ko itna ghoor k dekhti hain k ghaar tak chor aaein
SWEET_ANGEL
QUOTE
nhin yara kaprey aise hongey to dekhengey na nah nah kisne kehdia larkey nhi ghortey woh to mahaa chipku hotey hain MOST OF EM ..
lekin mujhe aya un uncle pe kiu k unhone durbin ki tarah lagataar nhin ghura tha usey ..per khair kia kehsakte hain


YEH KIA HAI LARKI .. threaten.gif
mann
salam to all,

nice reply from every one.

mujhay HC ko join kiye koi zaida din to nahin .likan sab ka reply perh kar maza bhi aye aur kushi bhi howi.
sab se pehlay main us female member ko apreciate kerta hoon jenonn na sab ki tawjoo is taraf dilai.
shyed is se kahain larkien apni dressing ko behtar bana layien.
kyeun ka mmera khayal hai larki agar proper dressing main ho to koi bhi us ko buri nazar se nahin dekhta beshak us na naqab na bhi kiyo ho.



M A N N rose.gif
tension_4u
QUOTE(mann @ Jul 5 2008, 04:43 PM) [snapback]2958191[/snapback]
salam to all,

nice reply from every one.

mujhay HC ko join kiye koi zaida din to nahin .likan sab ka reply perh kar maza bhi aye aur kushi bhi howi.
sab se pehlay main us female member ko apreciate kerta hoon jenonn na sab ki tawjoo is taraf dilai.
shyed is se kahain larkien apni dressing ko behtar bana layien.
kyeun ka mmera khayal hai larki agar proper dressing main ho to koi bhi us ko buri nazar se nahin dekhta beshak us na naqab na bhi kiyo ho.



M A N N rose.gif


welcome mann on HC
seemaf
salam.gif

Sorry dear Me late poster_oops.gif

Sab ke replies parhey buhat achhey aur bilkul theek kaha sab ne ... I addition itna kahoon gi ke Responsibilty dono taraf hoti hai... Baat yeh hai ke kon apni responsibility poora karta hai ... Khawateen ka yeh jawaz ke Mard dekhtey kyun hain bilkul be bunyaad hai .. ap jab moqa faraham karo gi to banda dekhey ga hi .. aur Shaitan to rehta hi moqey ki talaash main hai .... Aur aik baat mujhey buhat ajeeb lagti hai ke aisi khawateen ko agar toka jaye to yeh jawab milta hai ke "Sharam to ankhon main honi chahiyye" ... Main Jab us huliye main kisi larki ya kahtoon ko dekhti hoon to hairat hoti hai ke un ke ghar main tokney wala nahi .. ya un ke saath koi baap/bhai/husband jo bhi hota hai un pe hairat hoti hai mujhey.


seemaf
QUOTE(Abu Adnan @ Jun 17 2008, 08:46 AM) [snapback]2925997[/snapback]
sab mujhee say kahtay haiN nigaah neechi rakh apni
koi onn say nahi kahta, nah niklo youN ayaaN hokar


khair yeh to baat baraye baat hai. islamic teaching to aap nay khud hi batlaadi k

1. mard ko hukm hai k k kissi khatoon par nigaah paRay.. aur dil maiN aisaa waisaa khayaal aaye to apni nigaah fauran nichee karlay ... naa.monaasib lebaas maiN kissi female ko dekhay to nigaah nichi karlay.

2. aurat ko hukm hai k woh bahar nikaltay waqt nah sirf yeh k apnay satar ko covered rakhay balkay opposite @@@ ko attract karnay wala (outer) libaas pahan kar bahar nah niklay.

lekin as a MARD mera wastah to bahar har qism ki aurtouN say hota hai. lehaza maiN sab say pahlay to apni hifazat k liyeh apni nigaah neechee rakhany ki koshish karouN. 2ndly jab aur jahaaN bolnay ki quwwat rakhouN, naa.monaasib libaas waliyouN ko ahsan tareeqay say / hikmat say iss taraf tawajjah dilaayouN. fasaad say bach.tay howay... khawateen albatta iss maamlay maiN baRa aham role adaa karsakti haiN... woh aisee khawateen ko zeyadah behtar tareeqay say samjha sakti haiN.

being a LADY, mujhay apni hifazat k liyeh laazman apnay hijaab ka khayaal rakhna hoga. bilkhsoos bahar jatay howay, makhloot mahaul maiN job /shopping etc kartay howay....... as I know k mard ki jinsi ish.tehaa oski aankhouN say baRhti hai aur woh achay haseen chehray / libaas dekh kar oskay dil maiN kuch kuch honay lagta hai, aisay maiN woh 'apna control' kho sakta hai.... jabkay aurat k dil maiN kuch kuch tab hota hai jab oskay kaan mardanah awaaz maiN roomani baataiN sonaiN......... issi liyeh females ko mardouN say tanhaa baat karnay ko mana kia gaya hai k woh mokhatib ki shaatraanah guftagoo say apna 'control' kho sakti hai. it's natural.


Jazak'Allah Brother rose.gif
hamzaad
QUOTE(sweet_angel @ Jun 10 2008, 05:58 PM) [snapback]2914931[/snapback]
salaam alaik,,

hua kuch yun k mien apne baba k sath passport office mien thi ..to wahan ek badi umr k aadmi molvi se they ...bilkul ..wo bethe the hamare saath seat per ..samne do aurtien ai ..ab unki dressing bhi aisi thi ..k un k PAENCHEY neeche se kafii uper they ..jo so called CAPRII kehlata hai ...to yeh uncle apne baraber wale se kehne lagey ..KEY DEKHO YEH HAMARE ISLAM MIE EK NAMAZI AADMI KA KAAM HOTA HAI YEH AB YE AURAT BHI YUNHI PEHENEY LAGGAE ,,woh aisa keh he rahe they k wo aunty ai or aisa tamasha bana dia us uncle ka K SHARAM NHI ATI KAB SE GHUREY JARAHE HO KAB SE GHURE JARAHE HO ..unki aankhien sharm se neeche he thi unhone nazrien uthai he nhin ....phr wo wo uth k chalegae office k ander ..itna afsoos hua bohut ziada ....

khair se yeh to aam he hain ..jahan aurat ka libaas aisa ho wahan mard ankhie jati he hain..to app mujhe yeh bataen ..k kehte to hain k AURAT KO AISA LIBAAS NHI PEHENNA CHAHIYE JISEY MARD K NAZRIE US PER JAEN..
OR DOSRI TARAF YE BHI KEHTE HAIN ISLAM MIEN K MARD HO YA AURAT US KI NAZAR GHALTI SE BHI KISI NA MEHRAM PER GAI USEY ALLAH K DAR SE NAZRIEN JHUKANI CHAHIYE ,,,

To kia kisi ko point out karna sahi baat hai ya nahi ?? app kia kehte ho is muamely mien ...mujhe kai din se yeh baat kehni thi ...mujhe bada wo tha k usko atleast wo aadmi itna kehta k "BIBI AP KAPREY AISE PEHNOGI TO NAZRIEN TO HAR KISI KI JAENGI" ...

to khair app apni rae thodi sii share karein is barien mien ... rose.gif


Hamein tou kehtay ho k nazrein neechi rakho apni
Unhien nahi kehtay k na niklo yu aya'n hokar


hamaray mashray ka bohati hi common magar intihai hassas topic uthaya hay aapnay............aajkal waqai ye burai bohat aam hogai hay aurtein itnay bareek kapday pehan kar nikalti hien aur itni fit dressing hoti k ..........Alaman Alhafeez

ye sahi baat hay k mard ko bhi apni nazrein neechi rakhni chaiye..............lekin jahan is tarah ki bay pardgi ho tou mardo ki nazrein bhi apnay qabu mien kahan rehti hien..........shetaan tou unkay saath bhi laga hua hi hay..........

Hazrat Ali ka galiban qol hay k................Aurat ki baypardgi mard ki baygerti ki daleel hay

mujhay tou is baat say herat hoti hay k kia un aurto ko bura feel nahi hota k bazaro mien sab ki nigahien unka tawaaf kar rahi hien..........unkay baray mien kis socha jaraha hoga......

Allah ham sab ko hidayat day (aameen)
This is a "lo-fi" version of our main content. To view the full version with more information, formatting and images, please click here.
Invision Power Board © 2001-2008 Invision Power Services, Inc.