Help - Search - Members - Calendar
Full Version: Yeah Pagri .................
HulChul.NET > Religions > Islam
FATIMA4U
Ye hari pagri aur deegar rangon ki pagri sajaye kahaan ke musalman hain? jabke Islam main firqa bandi ka koi concept hi nahin ha.

Giroh bandi karne walon aur deen ko tukron main taqseem karne walon ka Islam se koi taaluq nahin hay..............WHAT U SAY ?
1-quest.gif
LEADER
Hakeem-ul-Ummat Allama Iqbal (r.a.) ne fermaya tha:

Firqa baNdi hai kahiN, aur kahiN zataiN haiN....

Kiya zamaney main panapney ki yehi bataiN haiN !!
HulChul
Allah Talah Ny Quran Main Fermaya Jis Ka Qareeb Qareeb Mafhoom Yay Hy

"" Allah Ki Rassi Ko Mazboti Saay Thamay Rakho Aur Taferuqy Main Na Perhoo""

Yay Firqa Bandi Jo Bhi Kerta Hy Galt Hy Aur Pagriyoon Main Firqa Bandi Hy Tou Mohterma

Islam Amaal Ka Naam Hy Pahnawa Tou Mukhtalif Ho Sakta Hy Ab Sab Aik Rang Ki Pangriyaan

Pahny Yay Mumkin Nahi Aur Firqa Bandi Main Bhi Logo Ko buhat Galt Fahmiyaan Hain
Gambler1
wo pagri nahi Imama bandhtay hain fatima pagri or cheaz hai ..

well imama k Cloure ka masla hai Green pehnnay walay yeh beyaan kartay hain k Huzoor(saw) nay Green pehni
Brown walay bhi unhi main say neklay hoay hain unka kehna hai k brown Pehni..

or White nd Black pehannay walay in clourse ko sunnat bata tay hain Black Umoman Jihadi Ulema Talib or mujahid pehanatay hain ..

abb yeh Sahi ahadith ki kutub say ya sahi autehtic ulema say masla pocha jayy k kaunsay clourse Jinab-e-Rusoolullah(saw)
nay pehnay thayy.. simple
FATIMA4U
QUOTE(Gambler1 @ Jun 15 2008, 01:22 AM) *

well thanx 4 ur comments .................islamic knowledge mera bhi nahin hai bilkul thats y i want to know .....k yeah aajkal molvi + molana khazrat aur kuch log rang barangi pagrion mein nazer aatay hein .....kiya concept ya logic aur haqeeqaT hai iss k peechay .....WHAT ISLAM SAYS ABOUT THIS TREND N HADEES....N THANX TO ALL (LEADER UNCLE + HULCHUL ......)
Abu Adnan
QUOTE(Gambler1 @ Jun 15 2008, 01:22 AM) *
wo pagri nahi Imama bandhtay hain fatima pagri or cheaz hai ..
well imama k Cloure ka masla hai Green pehnnay walay yeh beyaan kartay hain k Huzoor(saw) nay Green pehni
Brown walay bhi unhi main say neklay hoay hain unka kehna hai k brown Pehni..

or White nd Black pehannay walay in clourse ko sunnat bata tay hain Black Umoman Jihadi Ulema Talib or mujahid pehanatay hain ..

abb yeh Sahi ahadith ki kutub say ya sahi autehtic ulema say masla pocha jayy k kaunsay clourse Jinab-e-Rusoolullah(saw)
nay pehnay thayy.. simple

well explained. baja farmayaa. Allah aap ko jazaa.e.khair day. yeh aik aisee sunnat ka ahyaa hai, jo muslim society say napaid hoti jarahi hai. ab hum nangay-ser (mard o zunn dounouN) k etnay aadi hogaye haiN k agar koi female apna ser covered rakhay aur mard topi pahnay /imaamah bandhay to hamaiN ajeeb ajeeb saa feel hota hai....... aghlab imkaan yeh hai k aaN.hazrat nay in saray colors k imamay pahnay houN....... aur mazkoorah ahbaab nay apni apni tanzeem ki shanakht k liyeh makhsoos color k imaamay ko select karlia.... tanzeem /nazam maiN 'uniform' ki baRi bunyaadi ahmiat hoti hai........ Allah waalay iss maamlay maiN 'kuffar' ko copy nahi kartay k diff colors k paint-shairt-tie etc ko opt karain. woh kissi sunnat hi k hawaalay say yeh kaam kartay haiN.

wallaho alam bissawaab
FATIMA4U
QUOTE(Abu Adnan @ Jun 15 2008, 12:41 PM) *

very well said but sir plz yeah ek point ko kindly app zara elaborate ker dain ....better to explain in the lightnapaid hoti jarahi hai. (ab hum nangay-ser of Qur,an n sunnah .....) ...app iss point ko zara explain karein gey ...Islam ne dhanpany ka huqam diyaa hai ...okies but kya iss mein rangon ki bhi pabandi batayi gaii hai ...aur rangon ko prefernce di gai hai ........n most important thing Nabi pak ka favouite color jahan tak mujhay patah hai green/sabaz tha .....but kya unhon ne bhi rangon ko terjeeh di .....Islam ne jin perdon mean to say dhanpany k ehkammat sadir kiye hein woh just un satroun ko chupana maqsood ho sakta hai but rongon ki ehmyet yeah mujhae samjh nahin aa raha ..kindly drop ur knowledge....
Abu Adnan
QUOTE(FATIMA4U @ Jun 15 2008, 02:06 PM) *

aurtouN ka ser iss tarah DhaaNpna k hair ka black color, DopaTTay k ooper say bhi nazar nah aaye, aurat k satar maiN shamil hai aur farz hai. jabkay mard k liyeh sar pay Topi /pagRi /imamah pahnna afzal /sunnat hai, farz nahi. aurat ki namaaz above tareeqay say sar DhaaNpay beghair nahi hoti jabkay mard ki namaaz beghair Topi k bhi adaa hojati hai. taham angrezi culture maiN as ghulaam sadyouN rahnay k baaes hum muslims men nay sar dhaankna choR dia hai. maslah yahaaN tak khatam hogaya.

color farz /sunnat maiN shamil nahi. yeh har fard /group aof afraad ki apni choice hai........ aam taur say dresses maiN bhi same colors /design k pahnaway oss waqt pahnay jatay haiN jab apni tanzeem /institutions ko represent karna maqsood ho like school college institutions, police /army etc..... yeh log apni choice k color apnay memebrs k liyeh LAZIM karsaktay haiN.... issi tarah deeni groups k log bhi 'apni shankht' k liyeh koi bhi color adopt karsaktay hain. aur yeh manaa nahi, haraam nahi, makrooh nahi... balkay imaamah pahnna to sunnat hai har fard alag alag rung k bhi pahan sakta hai aur aik hi color k bhi.... yeh koi 'deeni masla' nahi nah hi iss mai kissi fatway ki zaroorat hai k falaaN color ghalat hai

jaisay moharramul haraam maiN shia beraadri 'apni shanaakht' k liyeh black-dress pahanti hai. ijtemaayee taur par......... bharat k baaz ilaqouN maiN 'jawaban' sunni-beraadri maahay moharram maiN green kurtay pahantay haiN takay onhaiN shia beradri say alag 'shanakht di jasakay. (prohibited colrs k elawaah) kissi bhi rung k libaas pahnay jasaktay haiN.
FATIMA4U
QUOTE(Abu Adnan @ Jun 15 2008, 01:17 PM) *

buhat buhat shukeryia .....................4 this kindness ............
This is a "lo-fi" version of our main content. To view the full version with more information, formatting and images, please click here.
Invision Power Board © 2001-2008 Invision Power Services, Inc.