TOOTHPICK
Usay ek toothpick darkaar thee,
charon taraf nazar daali
kitaabon ki qareenay say saji shelve,kitaabein hi kitaabein
toothpick ka dibba wahan kaheen naheen
nazrein sofay say hoti hui flower decoraton wali table tak pahoncheen idhar udhar khhanka daayein baayein,yeh toothpick gaye kahan.
Bedroom ka rukh kiya neatly biccha bistar,side table pa rrakhee kitaabein utthayin lamp ko uttha ke dekha,table ke peechay bhi jhaank liya
"ya ALlah kahan gaya nigoda dibba"
"kaheen kapdon ki cupboard mein kisi nay na daal diya ho chance to naheen magar dekh hi loon"
kapday idhar say udhar udhar say idhar kiye,kapdon ke beech mein zewar ka dibba bhi,khubsurat zewar uski pasand kay,usay bhi band karkay rakh diya,"ab yeh toothpick ka kaam to karnay walay naheen" woh jhuunjhlaayi.
tthak haar ke woh soafay par aakar dhamm say baitth gayi,daant ke dard par ghussa bhi tha ,baitthtay hi koi cheez zameen apr ucchal kar giri ,tooth pick ka dibba tha.
woh muskuraayi,zehen mein kitaabein ,sofa, side table a khubsurat decoration saaf sutthra bistar , zewaraat ka dibba sab ghoom gaya ke jab woh toothpick dhoondh rahi thee to yeh sab kitnay be maani lag rahay thay ,har cheez ki apni bahot ahmiyat khwaah woh toothpick hi kyun na ho!
