Help - Search - Members - Calendar
Full Version: Confusion
HulChul.NET > Religions > Islam
NaJ
Slamz

aj bhut time baad iss section ko visit kiya ha.. but really find it too informative.. abi ik topic Namaz ka phurh rahi thi.. to na janaiye ye baat ku mind mei aiye.. i ahv lil bit confusion.. miri la ilmi kah liaye ap issay...

the confusion is....

namaz phurrna aur qaim kurna.... iss mei koi diff ha ya ik hi meaning hai? coz mei nay bhut si jhugo pur phurha ha kiay " Namaz Qaim kuro "

it ll be really thank ful if come one clear...


HulChul
Namaz Qaem Keroo

MAiry Khiyal Main tou Iss Kay Kafi Matlab Ho Sakty Hain

1 ) Namaz Perhoo

2 ) Namaz Ba'qaedge saay perhoo

3 ) Aik Matlab Yay Bhi Hoo Sakta hy Ky Namaz Ko Khushoo Aur Khuzu Saay Perhoo
Abu Adnan
QUOTE(NaJ @ Jun 14 2008, 11:19 PM) [snapback]2921994[/snapback]
Slamz

aj bhut time baad iss section ko visit kiya ha.. but really find it too informative.. abi ik topic Namaz ka phurh rahi thi.. to na janaiye ye baat ku mind mei aiye.. i ahv lil bit confusion.. miri la ilmi kah liaye ap issay...

the confusion is....

namaz phurrna aur qaim kurna.... iss mei koi diff ha ya ik hi meaning hai? coz mei nay bhut si jhugo pur phurha ha kiay " Namaz Qaim kuro "

it ll be really thank ful if come one clear...


quran maiN 'aqeemus.salaat' yaani 'namaaz qaaim karnay' ka hukm hi milta hai. iss hukm k tehat teen cheezaiN aati haiN.

1. namaaz paRhna yaani adaaigi.e.namaaz

2. baa.jamaat namaaz paRhna yaani baa.jamaat namaaz ka 'ehtemaam' karna. jiss maiN baa.jamaat namaaz k liyeh mustaqal jagah /mosque banaanaa, namaaz paRhanay k liyeh imaam / mo'azzin (azaan denay walaa) etc ka intezaam karna aur baa.jamaat namaaz k liyeh deger sahooliyaat /zarooriyaat ko manage karna.

3. society k har area maiN yani mohallay maiN, dafatar maiN, school, colleges maiN, factory maiN, parks maiN, shopping areas maiN etc etc dauraanay kaar (kaam /business k auqaat maiN) baa.jamaat namaaz ka iss tarah ihtemaam karna k jumlah muslemeen ko kissi bhi waqt k namaaz maiN koi diqqat nah ho.

chouNkay namaaz qaa'im karna, namaaz paRhnay say kuch boland tar shaii hai lehazaa yeh inferdai taur par afraad par bhi aur ijtemaa'ee taur par adarouN /hakoomatouN par bhi FARZ hai.

iss waqt dunya bhar maiN sirf saudia arab maiN "aqaamatay salaat" ka nizaam qaaim hai jissay afraad, adaray, tanzeemaiN aur hakoomat sab mil kar kaamyaabi say chalaa rahay haiN. pakistan maiN nizaamay salaat k qeyaam ki aik 'koshish' gen ziaul haq shaheed k daur maiN howee thee. zia daur say qabal pak maiN dafatar etc maiN baa.jamaat namaaz ka koi tasawwer nah tha, illa masha Allah. lekin pakistan ki 'bay-deen' establishment nay zia daur k raaij kardah nizaamay salaat aur nizaamay zakaat dounouN ko 'nakaam' karnay ki poori koshish ki. aur baad maiN kissi hakoomat nay iss taraf koi sanjeedah tawajjah nahi ki.

wallaho aalam bissawaab
FATIMA4U
DAIKHEIN MADAM .....MERA iSLAMIC KNOWLEDGE BILKUL ZERO HAI .............truly speaking bachpan mein Quan-e-pak perha daily bhi Alhamdullillah mein perhti hoon ....but mujhay maslay aur masyels kaa kuch patah nahin naah he koi aayat-o-hadees buhat zaida zubani aati hein ....aur iss question k context mein which one i put ....haan ek practicle thinking aati hai .....namaz perhnae aur qayam kerne mein difference pucha app ne aur kuyn hukam aata hai qayam kerne kaa tow meri practicle sa reply hai

Namaz jub insaan perhtaa hai tow uss mein buhat c conditions aati hein ...haaltaein for exmple tasmeeyah , rakuoo kerna, sajda kerna ,tashkhud etc ...yeah sub haalton ki addyegi kerne k baad namaz mukmal hotti hai iss liey namaz ko qayam kerna kaha gaya hai ...jitni bhi activites app ko namaz mein perform kerna perti hein un sub mein ek ayetadal hai ....tabhi qayaam kerne ka lafaz aaya hai app ko apni body ko bhi flexible aur balance kerna perta hai ..her chiz k zawabit aur qawaid bataye gain hein kitna jhukna hai kitna uthna hai ...etc ..jahan tak perhne k taluq hai tow uss mein neeyat hoti hai mamanat nahin jub k namaz mein buhat c chizon ki mamanat batayi gai hai ...mukamal concentation neeyat , directly Allah tala se rajooh ..dunyiawi kamon se terkaa.kuch pabandian kuch asool ..koi khayel nahin bande aur Allah tala k dermayan ....her chiz se cut it out jub k perhne mein koi restrictions nahin .....naah app ko dahyan rakhana perta hai kya perhaa kiss terha perhaa kya galat thaa kya sahi ....jub k qayam kerne mein kuch asool aur zawabit aate hein u have to follow them wernaah namaz zayaa ya bayaser jati hai ....
shehzada salman
*NAMAZ PARHO
is main tilawat-e-quran bhi ata hay, duain bhi hain, tahajut bhi hain


*NAMAZ QAYIM KARO
is main sirf us namaz se murad hay jo 5 hain
fajir,zohar,asar,maghrib,isha

har ibadat ko namaz bhi kehsaktay hain
jis tarhan NAMAZ-E-JANAZA
jo asal main namaz nahi hay, wo sirf ek dua hay
shehzada salman
MOMIN ki zindagi ki qeemat kam az kam Jannat-e-firdos ka dosra darja hay
is zindagi ko is say kam main farokht na karo

(f)AMEER UL MOMINEEN ALI IBN E ABI TALIB(f)
Hanibal
AOA,

Iqeem us Salat ka hukum quran maiN ja baja aya hay, mazay key baat yeh hay kay issi quran maiN apni Allah tala nay apni bay'naizi ka izhar bhi kya howa hay tu kahin namaziyoon key namaz ko viod qaraar diya hay tu kahin inhi namazoon ko un kay munh per maarnay key baat bhi key hay, tu sawal paida hota hay kay salat ya namaaz ka yeh hukm kyon'ker diya gaya.

sathi nazr say dekha jaye tu Abu Adnan sahib key baat sahi lagtee hay per Nazool-e-Quran kay maqsad ko mad-e-nazr rakhain tu baat badl jati hay.


Islam kay baray main kaha gaya hay kay yeh nizam-e-hayaat hay, her nizam chahay woh koy sa bhi ussay nazm o zabt key zaroorat hoti hay, yehi asool Islam per bhi lago hota hay, Namaz parhnay key kuch shartain hain, Islam main aanay key kuch conditions hain, namaz parhnay wala her woh kaam nahi kerta ju Islami mizaaj kay khilaaf ho, Quran nay aisi hi salaat kay qayem kernay ka hukm diya hay, aisi salaat ju deen ko qayam karay, jisay qayem kernay wala degr roz maraah kay kamoon main bhi amanat aur ibadat ka izhaar karay, yeh na ho kay idher namaz parhi, zakaat dee aur udher soodi karobar kya ya kisi kay haq per najaiz daka dala ya zakheera andoozi kernay laga.

pas zayaada tafseelat main na jaoon ga kay kaheen app bore na ho jayain, mukhtasiran arz hay kay iqeem.us.salaat ka yeh mukhtasir sa hukm uss baray hukm kay tehat hi diya gaya hay jis main Allah nay insaan ko zameen per apna Depute muqrar kiya hay. takay woh Allah ka nizaam nafiz ker sakay.
NaJ
1st of all very sorry not visting earlier just bcoz of my job engagments :(....

thanks all of you for being so helpful rose.gif

pur last time miri discussion miray ik frnd say chul rahi thi regarding same topic.. uss ka view ap sab logo say diff lugga ...

let me share this wid u as well, baqool un kiay namaz qaim kurnay ka mutlub na sirf namz phurna bulikay uss mei wo sabatiye bi ajti ha jin ka islam nay roknay ka hukum bi diya ha.. in short.. nmaz qaim kurnay ka mutlub khd ko un chezo say rookna jin say islam nay munna kiya ha till nxt prayer... smile.gif

can i hav comment on that?
Hanibal
QUOTE(NaJ @ Jun 22 2008, 07:18 PM) [snapback]2937019[/snapback]
1st of all very sorry not visting earlier just bcoz of my job engagments :(....

thanks all of you for being so helpful rose.gif

pur last time miri discussion miray ik frnd say chul rahi thi regarding same topic.. uss ka view ap sab logo say diff lugga ...

let me share this wid u as well, baqool un kiay namaz qaim kurnay ka mutlub na sirf namz phurna bulikay uss mei wo sabatiye bi ajti ha jin ka islam nay roknay ka hukum bi diya ha.. in short.. nmaz qaim kurnay ka mutlub khd ko un chezo say rookna jin say islam nay munna kiya ha till nxt prayer... smile.gif

can i hav comment on that?



App kay friend bilkul sahi farmatay hain, uper mera emphasis bhi issi baat per hay.
Abu Adnan
QUOTE(NaJ @ Jun 22 2008, 09:48 PM) [snapback]2937019[/snapback]
1st of all very sorry not visting earlier just bcoz of my job engagments :(....

thanks all of you for being so helpful rose.gif

pur last time miri discussion miray ik frnd say chul rahi thi regarding same topic.. uss ka view ap sab logo say diff lugga ...

let me share this wid u as well, baqool un kiay namaz qaim kurnay ka mutlub na sirf namz phurna bulikay uss mei wo sabatiye bi ajti ha jin ka islam nay roknay ka hukum bi diya ha.. in short.. nmaz qaim kurnay ka mutlub khd ko un chezo say rookna jin say islam nay munna kiya ha till nxt prayer... smile.gif

can i hav comment on that?


namaaz (salaat) ka matlab sirf namaaz hi hai, kuch aur nahi... yahaaN aik amar (do) ka hukm dia jaraha hai, naam (salaat) lay kar nah kah NAHI (don'ts) ka hukm dia jaraha hai k falaaN falaaN kaam NAH karo.... do & donts (amar n nahi) ka faraq to saaf zaahir hai... jab kissi baat ka wazah naam lay kar hukm dia jaye to moraad wohi shaii hoti hai generally sab shaii nahi.... lehaza namaaz qaaim karnay (aqeemus.salaat) k hukm maiN namaz say related bataiN hi aayengi jo mahaz namaaz-paRhnay say kuch aagay ki cheez /boland tar shaii hogi... i.e. to establish the system of salaat in the society.

u can also check any tafseer of the following ayaat mobarak, quraan main bahoot see soortouN maiN maujood hai.:


سُوۡرَةُ البَقَرَة

وَأَقِيمُواْ ٱلصَّلَوٰةَ وَءَاتُواْ ٱلزَّكَوٰةَ وَٱرۡكَعُواْ مَعَ ٱلرَّٲكِعِينَ (٤٣)




- Establish worship, pay the poor-due, and bow your heads with those who bow (in worship). (Translation by : Pickthal )

- And be steadfast in prayer; give Zakat, and bow down your heads with those who bow down (in worship). (Translation by: Yousuf Ali)



Doshezah
^^
Tu app ka matlab hay kay main namaz parh ker ju merzi karti phiron meri namaz tu ho hi jaye ge? qabool kerna na kerna Allah jee ka kaam hay. sahi kaha na main nay.
shehzada salman
doston namaz parhnay or qayim karnay ka matlab tab samajh ayega, jab ham lafz e NAMAZ ka matlab jantay hongay

Spiritual Meaning of NAMAZ is Only "Worship"

Dear NAJ,
in masail k jawabat search karnay main boht zehmat bhi ho to koi harj nahi
Book "Misbahat e Hussain(as)" writer Shaheed® Dastagheb Sherazi
This is a "lo-fi" version of our main content. To view the full version with more information, formatting and images, please click here.
Invision Power Board © 2001-2008 Invision Power Services, Inc.