


Stars In The Scene
M.Kashif Nisar As Ouliyaa Siraj
Uncertainty As Manaab Mir
Irrational Methane As Salman
Princess of Self As Zartasha
Nemo As Naumana
Nomi As Raad
Dark Angel As Nisha
Humzaad As Abid
Seemaf as Seemaab
Amminah As Nayaab
Kamli As Rubaab
Anzalah Siraj
Faisal Siraj

After A Week In Court
[i][Salman adaalat main judge k samne ouliyaa par tohmatien laga raha hota hai aur manaab baithi chup kar k sun rahi hoti hai...Rubaab wahan aati hai aur manaab k kaandhay par haath rakhti hai ... ouliya box main khara manaab ko khamoshi se dekh raha hota hai aur khud par lagi tohmatien sun raha hota hai...Faisal aur Anzalah pareshan hote hain aur apne lawyer se kehte hain k woh salman ka muqabla kare]
Faisal: Arey Ehtiyaaq sahab app kuch kehte kyun nahi?
Ishteyaaq: Arey! Main kya kahon Sir appne apne beetay ko deekha hai...koi jawab nahi deta hai woh bus chup kar k ...Monh par taala lagaya ho jaise ... HUnh
Anzalah: Andha ho gaya hai ye tou iss Churail k saaye se [manaab ki tarf nafrat se dekhte huye]
Rubaab: Manaab [usko bulati hai aur uss k kaandhe par haath rakhti hai]
Manaab: Agaye app bhi [halki awaz main bolti hai behan ko dekh kar uss ki ankhon main aye ansoo motiyun ki tarhan girne lagte hain]
Salman: Aur Your Hounour abb main app key samne Eye Witness ko paish karna chahonga ... iss case ki chas-ma-deed gawah ko jinn k samne hua ye sab aur ju Mr.Kamran Haq ki wife bhi hain
[Rubaab Manaab ka haath chor kar jaati hai uski nigahien behan par hi hoti hain Manaab hasrat se behan ko dekh rahi hoti hai jesy kuch kehna chah rahi ho par keh na paa rahi ho uski ankhon se ansoo nikal rahe hote hain]
Rubaab: Main ju kahongi Sach kahongi Sach k Sivaa kuch na kahongi [Quran Pak ki kasam khati hai]
Salman: G Rubaab! Tou app hain Mr.Kamran ki wife ... My lord koi bhi aurat apney husband k saath hui na-insaafi ko lay jhoot nahi bolaygi
Ishteyaaq: MyLord Mera khayal hai k hum sab ye jaante hain ... Mera khayal hai mere dost ko sawalaat ka silsila souroh karna chaheye adaalat ka waqt barbaad na karte huye
[Sab husne lagte hain]
Judge: Order ... Order ... U may Continue MR.Salman
Salman: Thankyou Sir ... G ... [rubaab ki janib mutwaja hote huye] Bataeye uss raat apne kya dekha ... Mr.OUliya ko kya karte dekha appne
Rubaab: Haan ye sach hai k Main ne uss raat ju dekha woh buhat bheyanak tha ... woh ... uss baat ka maine kabhie nahi socha tha [rubaab roune lagti hai]
Salman: honsla rakheye aur apne alfaaz ko wazehaa kejeye
Rubaab: Mujhey Pain ho rahi thi ... Kamran ne kaha k main unn k saath chalon aur koi risk na lon ... Hum hospital ki jaanib nikley ... jab hum wahan pohnchey tou kamran ne mujhey kaha k main gate ki janib rukon woh abhi park kar k aatey hain apni bike ... aur phir woh kabhie wapis na aye [roune lgti hai]
Salman: Madam app please honsla rakhien please ... ohh koi pani laye please ...
At Abid's House
Taimoor: Oye soocha kya tha tumne k tum bach jaaoge
Abid: Main ne kuch nahi kia T.J
Taimoor: oYe chup oye Bakwaas na kar zyada ... Nayaab ne mujhey sab kuch bata dia hai teri asliyat woh janti thi tou kuch b kar sakta hai islye usne mera sahara lia.
Abid: Bakwaas tum baand karo main ne kuch nahi kia ... Mujhse ye sab karwaya gaya hai
Taimoor: Acha kis ne kia hai ye sab
Abid: Ouliyaa ki Maa ne
Taimoor: Sabash ... ilzam par ilzam main nahi manta ye sab
Abid: tou matt mano ... nayaab tum batao tum janti ho na sab
Nayaab: T.J he is right ... yeah buhat bari game thi ... [nisha ka haath zabardasti pakar kar latey huye]
Nisha: CHoro mujhey ... U ...
Nayaab: baand karo bakwaas tum ... Miss lover
Taimoor: Wah isko dekho zara ... sab k samne kitni masoom aur ouliyaa ki chaheeti banti thi [hiarangi se nisha ko dekhte huye]
Nisha: I still love him
Nayaab: wah kesa pyar hai tumhara k tumhara pyar ajj tumhari wajah se kis mouqaam par hai aur tum khudh mazay main ho ye pyar nahi hai
In Counrt
[rubaab k lye paani aata hai woh paani peeti hai]
Salman: G abb bolien [pani ki bottle band karte huye]
Rubaab: Main ne dekha k ouliyaa ki car uss ke control main na thi ... usne buhat rokne ki koshish ki par ... par woh bacha na saka ... uski takar Kamran ... [uski awaaz bhaar aati hai] kamran ki bike se huyi aur woh ussi waqt mouqa par hi halaak ho gaye unki jaan mere samne nikal gayi ... woh mujhe akela chor kar chall diye [Rubaab rouney lagti hai]
Salman: Dekha MyLord! kesay yeh masoom si shakal ka insaan ... kesa hai iska dil kesay iss ne aik pal main ...
Rubaab: nahi ouliyaa ka dil kabhie na bura tha na bura hai aur na hi ye kabhie kisi ka bura soch sakta hai ... iss se ju hua woh be-khayali mai hua hoga ... isne buht kuch lia hai tou buhat kuch dia bhi hai sir ... mere bachon ko aur ajj main ... main ager zinda yahan khari kuch boll rahi hon tou ... mere ilaaj k lye pesay bhi sab ouliyaa ne hi diye thay ... [salman hairangi se rubaab ko dekhne lagta hai]
Ouliyaa: Sir Main Qatil hon ... Main MAnaab ki khushiyun ka Qatil hon ... Main ne buhat bura kia ... buhat bura mujhey har haal main saza milni chaheye ... zaroor milni chaheye
Ishteyaaq: dekha app ka beta kya kar raha hai [faisal ko kehte huye]
Faisal: Pagal ho gaya hai yeh
Ouliya: Sir app jald se jald iss case ka faisla dien ... main Qatil hon maine Qatl kia hai aur main ye kabool karta hon
Judge: Adalaat 1 ghantey k lye multavee ki jaati hai...
Nemo: Acha bhala ouliyaa jab apni ghalti maan raha hai tou najane kyun Judge sahab ittni dair karne lagey huye hain ... hunh ... upar se Bajo apko kya hua ... kesa beyaan dia appne
Rubaab: Main ne ju kuch kaha sach kaha aur nemo zyada matt bolo tum tou acha hai
Salman: par ruby ajj naumana sahi hai
Rubaab: Main ne Sirf Sach kaha hai
Salman: Sach ya ouliyaa ka bachao
RAAD: Manaab kahan hai nazar nahi arahi
Rubaab: woh dekho akele baithi hai chup chaap seereyun [stairs] main kuch bolne laiq chora hai usko kisi ne
Nemo: Tum ussi par nazar rakhna
Zartasha: aur tum hamesha ghalt sochna
Amber: Abhi sab faisla hoga ... aur ...
Nemo: Aur ouliyaa ko phansi ho jayegi [manaab ki tarf dekh kar kehti hai]
rubaab: Bolna band karo [aur nemo ko aik thapar marti hai]
Nemo: main ne kya kaha hai sach bola hai aur app mujhye maar rahi hai
Rubaab: Hdh hoti hai Naumana ... Hadh tum har waqt buhat bolti ho kisi ki feelings ki koi pervah hai tumko
Salman: Par yehi sach hai
Rubaab: law n order main b janti hon salman ... jab main keh rahi hon k ouliyaa key aese karne main koi aur hai tou ...
Salman: ju bhi hai par qatil tou wohi hai na ... Thank GOD break khatam hui
[sab faisla sunane ajate hain Judge sahab abhi chair par baithte hi hain k darwaza khatakta hai ... sab peeche palt kar dekhte hain wahan taimoor khara hota hai aur uss k saath sab hote hain]
Manaab: yeh log ... [rubaab ki tarf dekhte huye]
Taimoor: tum fikar na karo ouliyaa aur manaab main agya hon
Nemo: lou agya ouliyaa ka chamcha
Raad: chup kar jao tum
Salman: G ... kya kehna hai abb apko?
Taimoor: kehna mujhey nahi kehna inn 2no ko hai ...
Salman:Kinko?
Judge: Apko ju kehna hai witness box main aakar kahien
Abid: Ouliyaa ne Kamran ka Qatal jaan boujh kar nahi kia
Ouliyaa: yeh tum kya keh rahe ho abid aur kese keh sakte ho tum yeh
Abid: TUm kuch nahi jaante ouliyaa ... koi bhi kuch nahi janta tha ... Ouliyaa ki mom ne mujhey paise diye thay ye sab karne kay ye sab plan unhi ka tha woh nahi chahtien thien k Ouliyaa manaab se shaadi kare ...
Ouliyaa: Jhoot mat bolo Mom aesa kuch nahi chahti thien woh tou
Abid: sab jhoot tha drama tha ... main ne uss raat tumhari car ki breaks fail kien thein Ouliyaa Haan main ne ... main kuch bananah chahta tha aur isss sab main meri madad nisha ne ki ju k tum se buhat pyar karti thi ouliya ...
[sab hairangi se abid ko sun rahe hote hain khamoshi chaa jaati hai ... salman iss khamoshi ko tortaa hai]
Salman: iss baat ka koi saboot hai tum logon k pass
abid: ANZALAH siraj khudh [woh ju k bhagne ki koshish kar rahi hoti hain]
Taimoor: Oye pakro iss fasad ki jarh ko
Ouliyaa: Mama ...
Faisal: Anzalah tumhi humare baite ki dushman niklien
Nisha: Haan iss sab main mein ne bhi inki madad ki thi .. woh party arrange karna sab aik plan tha ... main ne ouliyaa ki drink mai nashey ki dawa bhi milayai thi
Judge: Tamam beyanou aur sabooton k mad-e-nazar ouliyaa siraj ko rehaa kia jata hai aur Mrs.Anzala Siraj ... Abid Shah aur Nisha ko adalat apni girift main leti hai inko jald hi kari se kari saza sunayi jayegi
Nemo: yeh adalat main log b na ye nahi karte k aik damm se sab k faisle kar dien
Raad: chup kar jao abb mujhse na khaa lena
[Manaab khushi se Rubaab k galay milti hai aur hanste huye ouliyaa ko dekhti hai manaab ko hansta dekh k ouliyaa b muskurane lagta hai]
After A Week
Ouliyaa: Aunty sab taiyarian kesi ja rahi hain app ki [ghar main enter hotey huye Manaab kay]
Seemab: Buss beta sab sahi chal raha hai shukker hai ALLAH ka
Rubaab: Manaab se milne aye ho itne bahane na lagao jao jaa kar mil lo uss se[muskuratey huye]
Ouliyaa: Jee ja raha hon... [ouliyaa manaab k room main enter hota hai ... Manaab ...
[windchimp bajj rahi hoti hai ... Manaab bathroom main hoti hai ... bathroom ka darwaza khula hua hota hai]
Manaab: Walee [murjhayi nazron se ouliyaa ki tarf dekhti hai ... aur ulti karti hai uss k monh se khoon nikal raha hota hai ... ouliyaa manaab ko iss halat main dekh kar ghabraa jata hai]
Ouliyaa: Manaab ... Manaab yeh tumhien kya hogya hai ... Manaaab
Manaab: walee [uska naam leti hai aur uss ki bazoo'on main beyhoos hojati hai ... uss k monh se nikalta khoon ouliyaa ki white shirt par lag jata hai]
... To Be ContinuEd ...


Group of Guys: RIjja k baaray main kya kahien ... hmm... Buhat moody larki hai par hai mast
Rijja's Dad: Meri beti mera Maan hai
RIjja's Mother: mERI pyaari si jaan ... meri laadli beti
Rijja's Brother: isko aur kuch nahi bus sukh ka dukh hai hunh
Rijja's sisters: Humari jaan hai humari Riju
Rijja's Friends: Buhat mazay ki larki hai par uska Ghussa uff churail hai tab tou
Rijja with Strangers:
chaltey huye Baba g: Arey beti yeh saath main kachi abadi hai k pakki
Rijja: Arey mujhey kya maloom tharki baba ... takar marr kar dekh lo kachi hai k pakki hunh
Baba g: tauba hai re ajkal k bachey
Rijja: haan haan ajkal k borhey bhi khaas kar tum jese tharki babay
Ammar-Rijja's will be husband : Rijja baby I love you n I mean it ...dekho mera milna thek hai gurls se par tum khud yeh mere wali harkatien mat kia karo ... please ... u KNW na tum mere lye kitni precious cheez ho
Huraira: Main nahi janti k tumhien dousron k mamle main tang aarane ki kyun buri aadat hai Rijja Rehman
Rohan's Views About Rijja:
Rohaan: hmmm ... kya kahon ... koi kuch boll nahi sakta Rijju k agey ... she is ... Life ...
Rohaan: Pholan Devi lagti ho tum tou mujhey kabhie kabhie
Rohaan: TUM zindagi ko dousra mauqa kyun nahi deti ho Rijja?
Rohaan: jab koi dost tumhari madad karien tum ehsaan kyun samajhti ho usko?
Rohaan: Tum sab se alag ho Rijja...
Rohaan: Zindagi tum se hai Rijaa ... haan tum Rijja ho ... zindagi ki umeed ... wo ju dosron ki zindagi main umeed ki kiran ban kar unki umeed jagati hai ... Meri Rijja [uski tasveer se batien kar raha hota hai]
Coming This JuNe
