Help - Search - Members - Calendar
Full Version: << Sea View >>
HulChul.NET > Masti - Masti > Baat-Cheet
**Gohar
Din bhar ki garmi .. aur Bijli k I shararat sey tang aa kar .. Idhar udhar ghoomtey huwey, hum log, Raat aik Bjey “ Sea View “ ( Clifton karachi ) ja pohnchey …

Family main mojood bachey … Garhi ruktey hee… Lehron ki taraf dourh parey .. !!
Main , mera dost aur .. hamari “ Begmaat “ aik khali Round table k Gird lagi hui .. lakri ki benchon par beth ga’ey … !!
Sahil ki Thnadi “ Mastt Hava “ ney waq’ee sub Uljhanain jaisey Ghayeb kar deen …
Coffee ka Mood bana … aur mera Dost Coffee leney chala gaya … bachey … Lehron sey khail rahey thay…!!

Aik “ Ma’soom Bacha “ bohut he pyara … lekin gard aalood libaas main hamarey pass aa kar khara ho gaya … aur apney “ Nanhey haath “ aagey kar diey …
Uss k hathon main .. 4 “ Mot’iey k gajrey thay …
Bachey ki Umr .. mushkil sey “ 4 Saal “ ki ho gee…. Uss ki ankhon main shadeed neend bhari hui thee…
Uss waqt raat k 2 baj rahey thay ….
Uss bachey ki ye haalat dekh kar sub he ko bohut “ Tarss “ bhe aya aur uss ma’soom ki Qismat par Afsoss “ bhe huwa…. !!

Hum ney who Gajrey uss sey … ley liey … Iss khayal sey k .. ab wo .. apney ghar jaa kar araam karey gaa… !!

Aur huwa bhe shayed yehi … who bacha .. paisey ley kar… Gum ho gaya aur hum .. baaton main masroof ho ga’ey … !!

Kuchh dair baad .. hamarey samney wali bench k log Uth kar ravana ho gaey aur Bench khali reh gaee…
Itni dair main Wohi ma’soom Pyara sa bacha kahin sey wapiss aya … aur Uss khaali bench par lait kar … So gaya… uss ma’soom ki Neend aur Mojooda halat ko dekhtey huwey .. aik baar phir wohi .. hamara guftgu ka moz’oo ban gaya thaa… !!

Taqreeban 3 bajey …. Achanak .. bohut sey bachey… 8- 10 k qareeb … hamarey nazdeek aa’ey … aur uss bachey ko dekh kar … Khushi sey chillaney lagey … wo “ Afghani Zaban “ main door kisi sey mukhatib thay…. Uss simt nazar gaee.. tou dekha k .. aik … Adhairh umr khatoon thee… jiss k andhey par … aik thailey main kuchh saman thaa…. Tezi sey bachey ki janib aati dikhaie dee..

Hum samajh ga’ey k … wo bachey ki “ Bey qarar Maan “ ho gee… jo apney bachey ko talash kar rahi ho gee… aur abhi Itni ma’soom neend main .. kho’ey huwey bachey ko … lapak kar utha’ey geeaur apny seeney sey Chimta kar usey pyaar sey choomey gee…

Who aurat tezi sey aagey barhi… baqi bachaey alag hat kar kharey ho ga’ey …
Aik “ Chataakh “ ki awaz gonji uss aurat ney uss masoom bachey ko jo gehri neend main soya huwa thaa
Kamar par aik zor daar Thapparh laga kar bedaar kiya thaa….
Aur uss k balon ko pakar kar usey bench sey neech khara kiya … iss douran .. us k thaprhon ki raftar barhti ja rahi thee…
Aur who ma’soom 4 saal ka bacha .. sehma huwa thaa… bachey ko khara kar k uss aurat ney .. uss k chehrey par ultey seedhey thapron ki gotya barsat kar daali … bachey k .. Munh sey khoon ki bareek lakeer beh nikli … wo aurat ‘ Afghani “ zaban main tez tez kuchh kehti ja rahi thee aur wo bacha … “ NAA” k andaz main zor zor sey sar hila raha thaa .. Sissak raha thaa….

Ab uss aurat ney apney thailey main sey phir 4 Gajrey Nikal kar bachey k haath main Thama’ey …
Aur who Ma’soom aik baar phir .. Siskiyan leta huwa … hamari bench k nazdeek aa khara huwa aur apney haath aagey kar diey … !!!

( Umeed hay ... aap uss ma'soom bachey ka uss Aurat sey rishta .. aur uss ki majboori samjh gaey hon gey ... !!! )
ManPaki
aisa almiyaa k jis per sab ki nigah her roz partii hai aur hum isay ignore kartay hoyey zindagee main masroof hojatay hain... bashamool meray hum sab yehi sochtay hoyey aisi situation ko ignore kartay hain k aik ma akela in k liyey kiya karsakta hun... aur halat juu'n ki tuu'n balkay bad sy bad-tar hoti jarahi hai...

jis tarah k bachay ka zikr ap ny kiya hai... ma apko lahore ka aik manzar pesh karta hun... same isii tarah ka koi pathan bacha hai lahore canal bridge per sakht chilmilaati dhoop main nangay pair woh bacha road per apny pop-corn philayey yey taus'ur day raha hota hia k us pop corn sab zayaa hogayey aur ab us k paas kuch nahi... aur raah jatay logoon ki tawajjah aur maali madad haasil karnay main kaamyaab hota hai... woh bacha canal sy uth'ta hai aur phir Stadium tak her signal per yunhi beth'ta hai...

sawal aisay bachuun ko dekh kar yey ataa hai meray zehn main k ayaa k in bachuun ki madad karni chayey ya nahi... bcoz agar reham kha kar madad karain gey tu us ka bhi koi faida nahi bcoz jaisay ap k woh 4 gujray kharednay k bawajood woh bacha maar sy bach nahi saka tu phir is situation ka kiya hul hai???
Abu Adnan
QUOTE(**Gohar @ Jun 18 2008, 03:50 PM) *

ufffff bahooooooot hi afsos naak manzar khainchaa hai aap nay........ go k iss qism k manazaar din bhar karachi bhar maiN har traffic signals par nazar aatay haiN magar etni raat gayee...............

by da way aap log etni raat gaye wid family sea side kiyouN gayee......... yeh to bahooooooooot risky hota hai.... aisay maiN kuch bhi hosakta hai....... kissi criminal / police walay (aik hi baat hai) ka (Allah nah kararay) shikaar ban jaatya to........ kia aas paas hi rahtay haiN...... hum to 5/10 mint ki drive par rahnay k bawajood kabhi raat gaye sea view ko visit nahi kia..... by da way oss waqt wahaaN ketnay log nazar aarahay thay.... yaa sirf aap hi log thay.....
icon_peace.gif
**Gohar
QUOTE(ManPaki @ Jun 18 2008, 03:27 PM) *

Buss...

iss mas'ley ka behter hall yehi ho sakta hay k .. na sirf fard e wahid ... bal k ijtema'ee tour par hamain iss amal k khilaaf jehaad karna ho gaa...
Awwal tou gadagari ka tadaruk ... doosra ye bhe gadagari he ki aik qism hay , k jo kam qeemat aur bey masraf ashiya hathon main utha'ey ... hum sey hamdardi hasil kar k ... " Indirect bheek " vusool kartey hain ...
hamain yehi raviya apnana ho gaa k .. hum aisey logon ko " No Lift" par rakhain ... in ki housla Shikni ki ja'ey tou .. kahin aa kar tou ye seylaab thamey ga hee... !!
**Gohar
QUOTE(Abu Adnan @ Jun 18 2008, 03:29 PM) *
ufffff bahooooooot hi afsos naak manzar khainchaa hai aap nay........ go k iss qism k manazaar din bhar karachi bhar maiN har traffic signals par nazar aatay haiN magar etni raat gayee...............

by da way aap log etni raat gaye wid family sea side kiyouN gayee......... yeh to bahooooooooot risky hota hai.... aisay maiN kuch bhi hosakta hai....... kissi criminal / police walay (aik hi baat hai) ka (Allah nah kararay) shikaar ban jaatya to........ kia aas paas hi rahtay haiN...... hum to 5/10 mint ki drive par rahnay k bawajood kabhi raat gaye sea view ko visit nahi kia..... by da way oss waqt wahaaN ketnay log nazar aarahay thay.... yaa sirf aap hi log thay.....
icon_peace.gif

Hamarey atraaf main har lamha .. senkron manazir aisey hotey hain .. k .. jo hamain bohut kuchh sikha aur samjha rahey hotey hain ....
ye alag baat hay k .. hum ... Chashm poshi sey kaam letey huwey .. unhain nazar andaz kar k guzar jatey hain .. aur iss tarah un " manazir " ko panapney ka mouq'aa milta hay aur wo pehley sey zyada asar angez andaz main jalva gar hotey hain .... !!! adb.gif

Abu Bhaiee... aap k doosrey para k jawab main sirf itna kahoon gaa k ..

Hum Dohri azi'yyat key .............. giraftaar Musafir
Paaun bhe hain shall , Shouq e safar bhe nahin jata

icon_peace.gif
aaminah
ummm as AA said ~ufffff bahooooooot hi afsos naak manzar khainchaa hai aap nay~
u know what poverty aur isi tarah ki dosri situations like war-effected pplz,,,un k saath yeh sab bohat bara zulm hay.....i dun't know if i am right here cuz yeh "qudrat" ki taraf sey hay...or isey :zulm" kehna chahyea ya "imtehan"
and that afghani woman ..very brutal behaviour wid a 4 year old kid...is ki saza to jail hay...child-abuse
~majboori~ aurat ki majboori..really hard to justify k us ney bachay k saath acha kia ya ghalat!
iss mas'ley ka behter hall yehi ho sakta hay k .. na sirf fard e wahid ... bal k ijtema'ee tour par hamain iss amal k khilaaf jehaad karna ho gaa...
Awwal tou gadagari ka tadaruk ... doosra ye bhe gadagari he ki aik qism hay , k jo kam qeemat aur bey masraf ashiya hathon main utha'ey ... hum sey hamdardi hasil kar k ... " Indirect bheek " vusool kartey hain ...
hamain yehi raviya apnana ho gaa k .. hum aisey logon ko " No Lift" par rakhain ... in ki housla Shikni ki ja'ey tou .. kahin aa kar tou ye seylaab thamey ga hee... !!

yeh meray liye bilkul aik nai baat hay...i never knew this thing before.....housla-shiknai karnay sey maybe kutch farq paray....agr positive paray to gud
n if negative...may be yeh zyada sserious criminal situation ban jaye 1-think.gif wht do u say?
sweet_angel
LAHOL WALA QUATT ..

KIA BEREHEM KAFIR AURAT THI

HERAT HAIN APNE KUCH NHI KIA???
MERI AMMA JAAN HOTI NA US WAQT UDHER US AURAT KA BERA GARAK KARCHUKI HOTI ...

MUJHE AISA LAGTA HAI APP KO ATLEAST US AURAT KO SUNA ENA CHAHIYE THA

AISE KAIIIIIIIIIIIIIIIIIII BACHEY HAIN YUNHII UMEED ANKHU MIE LIYE HATH AGEY KAR K CHALRAHE HAIN ...HAMARE MULK MIEN TO .. ..............

ASTAKHFAAR!!!
Sensitive
So Sad :(
**Gohar
QUOTE(aaminah @ Jun 20 2008, 01:44 AM) *
ummm as AA said ~ufffff bahooooooot hi afsos naak manzar khainchaa hai aap nay~
u know what poverty aur isi tarah ki dosri situations like war-effected pplz,,,un k saath yeh sab bohat bara zulm hay.....i dun't know if i am right here cuz yeh "qudrat" ki taraf sey hay...or isey :zulm" kehna chahyea ya "imtehan"
and that afghani woman ..very brutal behaviour wid a 4 year old kid...is ki saza to jail hay...child-abuse
~majboori~ aurat ki majboori..really hard to justify k us ney bachay k saath acha kia ya ghalat!

yeh meray liye bilkul aik nai baat hay...i never knew this thing before.....housla-shiknai karnay sey maybe kutch farq paray....agr positive paray to gud
n if negative...may be yeh zyada sserious criminal situation ban jaye 1-think.gif wht do u say?

Thnxz amenah jee... k aap ney iss topic par apney behtreen khayalat share kiey ..
wesey ye manzar main ney kheencha nahin ... buss jo in ankhon ney dekha ... wo harf ba harf
yahan .. tehreer kar diya ... !! yes.gif

iss manzar sey pehla ta'ssur aap ney bhe ghurbat " ka liya ... lekin dar haqiqat .. ye ghurbat ki majboori nahin thee... ye jara'eynm pesha criminal offance hay .. jo .. iss tarah mukhtalif umr k insanon ko khareed kar ...un sey karvaya jata hay ... !!

ye log ( Specially ) Afghan jang k mutasireen ko .. aur ghurbat sey tangg aa'ey elaqaie logon ko... apney jhootey hamdard chehron ko samney rakh kar... ya jabri tour par yarghamal bana kar... unhain apney daam main phnsatey hain ... un ki majbooriyon ko khareed kar issi tarah k kaam letey hain .. !!

ussi Zalim aurat ki tarah .. sakht dil log he iss Chain ki sahi nigrani kar saktey hain .. jin k andar k insaan ... marr chukey hon ... !!
Kashif
bohat afsoosnak ikhtitam huwa iss manzar ka
pata nahin issay majboori kahein gey ya be-hissi ya zulm

NaJ
very sad story.. pur afsoos ka muqam hamray hukmrano kiay liye hai jin ki waja say yea sab kuch ho reha ha... na janiye kitnay masoom in azeeto say guzrtaye ho gey...
pur bhai .. ik baat bolaiye khaiye qusoor war hum loog bi ha in sab cheezo kiay liye.... hamray educated honay ka kiya faidda hoiya kiay hum kuch bi naih kur sukkatye...

qamarkhan984
its an herrible example of child labour
Haneef
QUOTE(miss_abbasi @ Jun 23 2008, 03:22 AM) *
i think u r being abit xtreme

My dear all Friends

GOHAR nay jo bhi likha hay SUCH hay. Kion kay SEA VIEW per main hi GOHAR kay sat tha. Is story main EK word bhi wrong nahi. magar ya dunya hay. ALLAH hub sub ko Afat O Bilyat say pnha main rakhay.
**Gohar
QUOTE(sweet_angel @ Jun 20 2008, 02:27 AM) *
LAHOL WALA QUATT ..

KIA BEREHEM KAFIR AURAT THI

HERAT HAIN APNE KUCH NHI KIA???
MERI AMMA JAAN HOTI NA US WAQT UDHER US AURAT KA BERA GARAK KARCHUKI HOTI ...

MUJHE AISA LAGTA HAI APP KO ATLEAST US AURAT KO SUNA ENA CHAHIYE THA

AISE KAIIIIIIIIIIIIIIIIIII BACHEY HAIN YUNHII UMEED ANKHU MIE LIYE HATH AGEY KAR K CHALRAHE HAIN ...HAMARE MULK MIEN TO .. ..............
ASTAKHFAAR!!!

poster_oops.gif Waq'ee... mujhey kuchh aisa he lagta hay ... k uss waqt meri jaga zroor aap ki Ami jan ko hona chahiey tha .... kam az kam " Uss Aurat " ka berha wohi gharq kar pateen ...

Samjhana chahiey thaa.. lekin .. bachey par pehli nazar parna .. aur uss waqt gharhi main waqt ki haqiqat ... ye wazeh kar rahi thee k .. ye koi Ghurbat sey jang wala moamla nahin hay ...
bal k ye khullam khulla Jabri Gadagri wala qissa ho gaa...
kiuoon k koi bhe maan ya koi bhe aziz rishta .. raat k uss peher apni aulaad ko .. bheek k liey ghar sey baher nahin bhej sakta ... !!

jab soorat wazeh ho jaey k .. ye " Ba Qayeda " gang ki shakal main " wardat " ho rahi hay
aur az khud aap ... paraey shehr main hon ... families aap k sath hon .. tou .. thori bohut bey Hissi shayed jaeyz ho jati hay naa....?? 1-think.gif
CoOl LeO
Bhai sab se pehlay yeh irshad farmayen k itnay late hours sea view pe family k sath bhai itna bada risk kyun liya ???? thumbsdown_anim.gif

Hmm aise bachchon ki zindagi to samjho umar qaid se kam nahi hoti hai.Padh k bohot afsos hua or aik sawaal zehan mein aaya k kehtay hain har aurat mamta ki moorat hoti hai woh aurat itni janooni kyun ho gayi kya us ko us bachchay mein apni aulaad nazar nahi ayi itna martay huway??
Sensitive
QUOTE(Haneef @ Jun 23 2008, 12:57 PM) *
My dear all Friends

GOHAR nay jo bhi likha hay SUCH hay. Kion kay SEA VIEW per main hi GOHAR kay sat tha. Is story main EK word bhi wrong nahi. magar ya dunya hay. ALLAH hub sub ko Afat O Bilyat say pnha main rakhay.

New member welcome

gig.gif aapne mje qoute kiya hei
bcoz meine likha hei u r being extrme
Gohar bhai k topic par nahi
bas kisi new member neh kaha k yeh ek jhoot hei such nahi
bht kuch kaha

so meine useh qoute kar k kaha dat ur being extreme
i beleive wat happned
i mean yeh always hota hei
mein khud deikh chuki hn khai bar smile.gif
plz dnt think meine kuch kaha Gohar bhai smile.gif
Masoom_Pari
child labour to suna tha lekin itnay chotay se bachay sirf 4 saal k bachay k sath aisa salook bohat hi na insafi hai

yeh umer to bachay k naaz nakhray uthwanay ki hoti hai

bachay to itnay masoom hotay hain ........ phool ki terah ......... un k sath aisa salook hargiz nahi kerna chahiye
Leo
آپ نے واقعی ایک المیے کو اپنے احساس کے الفاظ دئیے ہیں دوست۔
ہماری بد قسمتی ھے کے ھم صرف حالات کا رونا روتے ھیں
نہ کوئی ایسا پلیٹ فارم ہمیں مہیا ھے اور نہ ھم بناتے ھیں کہ جہاں کسی المیے پہ لمبی لمبی ورک شاپس کے بجائے حقیقی معانوں میں کچھ کیا جا سکے۔
میں آپ کی اس کاوش کو ضرور سراھوں گا۔
**Gohar
QUOTE(Kashif @ Jun 21 2008, 01:32 PM) *
bohat afsoosnak ikhtitam huwa iss manzar ka
pata nahin issay majboori kahein gey ya be-hissi ya zulm

[b]Kashif bhaiee...

aap ki iss mukhtasir see line main .... mukamil tashreeh mojood hay ... !!
iss "ZULM" main ..

kisi ki "MAJBOORI"
..
Kisi ki " BE- HISSI"

kulli tour par shamil hain ... wo bey hiss hum aap bhe ho saktey hain ... k jo iss mo'ashrey ki buniyad hain ..
hamarey hukmraan bhe ho saktey hain ... aur iss soorat e haal ko parvaan charhaney waley ana'sir bhe ho saktey hain .. !!
[/b]
Haneef
My dear abbasi

Agar meri koi bat ap ko bo ri lagi hay to mazrat.

Thanks

QUOTE(miss_abbasi @ Jun 25 2008, 02:58 AM) *
New member welcome

gig.gif aapne mje qoute kiya hei
bcoz meine likha hei u r being extrme
Gohar bhai k topic par nahi
bas kisi new member neh kaha k yeh ek jhoot hei such nahi
bht kuch kaha

so meine useh qoute kar k kaha dat ur being extreme
i beleive wat happned
i mean yeh always hota hei
mein khud deikh chuki hn khai bar smile.gif
plz dnt think meine kuch kaha Gohar bhai smile.gif

Cupid Princess
mughay bhi sea dkahna hai
cheerleader.gif
Dezire
very very sad. Aap nay itna kuch dekha aap itnay saray log thay kisi aik nay bhi koshish nahein ki us bachay k liay
Dezire
QUOTE(Cupid Princess @ Jul 3 2008, 03:01 PM) *
mughay bhi sea dkahna hai
cheerleader.gif

Meni nikal rahi hon karachi k liay pkflg_pakistanidefence.gif aap bhi baith jain 0-moped.gif
This is a "lo-fi" version of our main content. To view the full version with more information, formatting and images, please click here.
Invision Power Board © 2001-2008 Invision Power Services, Inc.