Help - Search - Members - Calendar
Full Version: Humsafer Ya Humfitret
HulChul.NET > Masti - Masti > Baat-Cheet
FATIMA4U
HUMSAFER/MEANS UR LIFE PARTNER .....AGER HUMFITRET(NOT ACCORDING TO UR NATURE N EXPECTATIONS) NAAH HO TOW?
Sham_99
Pakistan main shadiyan waldain ki marzi say hoti hain.....is liye dulhay k liye dulhan surprise hoti hay.........ghunghat uthanay k baad ya to........ASHWARIYA..........ya phir........JAYSURIA......... lol3.gif lol3.gif lol3.gif
Abu Adnan
QUOTE(Sham_99 @ Jun 19 2008, 03:26 PM) *
Pakistan main shadiyan waldain ki marzi say hoti hain.....is liye dulhay k liye dulhan surprise hoti hay.........ghunghat uthanay k baad ya to........ASHWARIYA..........ya phir........JAYSURIA......... lol3.gif lol3.gif lol3.gif

E9.gif E9.gif E9.gif

dulhan k liyeh bhi dulha aksar o beshtar sir-prize hi hota hai.

yaa to narm narm dool.ha yaa phir garam garam chool.ha
E21.gif
Abu Adnan
QUOTE(FATIMA4U @ Jun 18 2008, 06:55 PM) *
HUMSAFER/MEANS UR LIFE PARTNER .....AGER HUMFITRET(NOT ACCORDING TO UR NATURE N EXPECTATIONS) NAAH HO TOW?

hum.safar kabhi hum.fitrat nahi hosaktaa, at least in pakistan, k yahaaN taa haal 2 mokhtalif sinfouN k afraad ki hi bahmi shadi hoti hai..... larkay aur larkiyaaN.... mard aur aurta ... 2 mokhtalif at motazaad sinf / jins k haamil afraad hai jinki physical aur chemical both properties joda joda hoti haiN. dounouN k nafa nuqsaan alag alag hotay haiN. dounouN ki soch alag alag hoti hai. dounouN ki zaroorat alag alag hoti hai. dounouN ki probs alag alag hoti hai... shadi k baad laRki aik new immigrant jaisee hoti hai jabkay laRka son-of-the-soil ki tarah apnay gird o pesh ka maalik yaa kam az kam jaanasheen............. bhalaa yeh dou nouN 'hum-fitrat' kaisay hosaktay hain 1-quest.gif

magnet k north aur south poles bhi kabhi aik jaisay / hum-fitrat howay haiN... yehi to inki khoob.soorti hai k yeh aik doosray say alag aur joda honay k bawajood aik doosray k liyeh kashish rakhtay haiN. baham milkar 'mokammal' hotay haiN. aik k beghair doosra adhoora hota hai.

shadi naam hai 'compromise' ka. jo bhi naseeb maiN ho aur mil.jaaye, ossay sabar-shukar k saath qabool kia jaye. sabar life-partener ki (mobayyanah) khaamiyouN par aur shukar life-partener ki khoobiyouN par k har fard khoobi+khami ka mojassamah hota hai. zeyadah adjustment ki zaroorat females ko karni paRti hai as a 'new immigrant' krakrani.gif naya mahaul, naye log, nayi rewayat, naya qanoon aur dulhan akeli.... ossay woh sab kuch karna chhaiyeh jo aik indian / pakistani ko us /europe maiN settle honay k liyeh karna paRta hai.
icon_peace.gif
ManPaki
QUOTE(Abu Adnan @ Jun 19 2008, 02:43 PM) *
E9.gif E9.gif E9.gif

dulhan k liyeh bhi dulha aksar o beshtar sir-prize hi hota hai.

yaa to narm narm dool.ha yaa phir garam garam chool.ha E21.gif

lol3.gif
FATIMA4U
QUOTE(Abu Adnan @ Jun 19 2008, 03:00 PM) *
hum.safar kabhi hum.fitrat nahi hosaktaa, at least in pakistan, k yahaaN taa haal 2 mokhtalif sinfouN k afraad ki hi bahmi shadi hoti hai..... larkay aur larkiyaaN.... mard aur aurta ... 2 mokhtalif at motazaad sinf / jins k haamil afraad hai jinki physical aur chemical both properties joda joda hoti haiN. dounouN k nafa nuqsaan alag alag hotay haiN. dounouN ki soch alag alag hoti hai. dounouN ki zaroorat alag alag hoti hai. dounouN ki probs alag alag hoti hai... shadi k baad laRki aik new immigrant jaisee hoti hai jabkay laRka son-of-the-soil ki tarah apnay gird o pesh ka maalik yaa kam az kam jaanasheen............. bhalaa yeh dou nouN 'hum-fitrat' kaisay hosaktay hain 1-quest.gif

magnet k north aur south poles bhi kabhi aik jaisay / hum-fitrat howay haiN... yehi to inki khoob.soorti hai k yeh aik doosray say alag aur joda honay k bawajood aik doosray k liyeh kashish rakhtay haiN. baham milkar 'mokammal' hotay haiN. aik k beghair doosra adhoora hota hai.

shadi naam hai 'compromise' ka. jo bhi naseeb maiN ho aur mil.jaaye, ossay sabar-shukar k saath qabool kia jaye. sabar life-partener ki (mobayyanah) khaamiyouN par aur shukar life-partener ki khoobiyouN par k har fard khoobi+khami ka mojassamah hota hai. zeyadah adjustment ki zaroorat females ko karni paRti hai as a 'new immigrant' krakrani.gif naya mahaul, naye log, nayi rewayat, naya qanoon aur dulhan akeli.... ossay woh sab kuch karna chhaiyeh jo aik indian / pakistani ko us /europe maiN settle honay k liyeh karna paRta hai.
icon_peace.gif

saray points ok hein .....lerkie ko he mostly adjust kerna perta hai kuyn k ek fard ka badlna aasan hota hai n keh afrad kaa.....but tasweer ka ek rukh hai ............jiss per app ne roshnii dali hai ....so true ..but...jo passand ki hotti hai what about them ..........uss mein kuyn ho raha hai ..........kuch waqat guzerta hai un mein ek khichao sa kuyn aa jata hai ............chuntae tow woh apne liey apna humfitret he hein ....but wahan phir aisa kya hota hai ....clashes occur ho jate hein ..../ ?......k un k liey akser auqat aik dujay ko berdasht kerna mushkil ho jata hai thora eloborate ker dain plz iss point per bhi ...
Airy_Princess
QUOTE(FATIMA4U @ Jun 18 2008, 05:55 PM) *
HUMSAFER/MEANS UR LIFE PARTNER .....AGER HUMFITRET(NOT ACCORDING TO UR NATURE N EXPECTATIONS) NAAH HO TOW?

tou khair hai dil ka acha hona chaheye icon_peace.gif aur aesa ho ju k qadar kare baki ye sab tou chalta hai boss
Abu Adnan
QUOTE(FATIMA4U @ Jun 19 2008, 05:56 PM) *
saray points ok hein .....lerkie ko he mostly adjust kerna perta hai kuyn k ek fard ka badlna aasan hota hai n keh afrad kaa.....but tasweer ka ek rukh hai ............jiss per app ne roshnii dali hai ....so true ..but...jo passand ki hotti hai what about them ..........uss mein kuyn ho raha hai ..........kuch waqat guzerta hai un mein ek khichao sa kuyn aa jata hai ............chuntae tow woh apne liey apna humfitret he hein ....but wahan phir aisa kya hota hai ....clashes occur ho jate hein ..../ ?......k un k liey akser auqat aik dujay ko berdasht kerna mushkil ho jata hai thora eloborate ker dain plz iss point per bhi ...

pasand ki shadi /love marriage ka saaneha E21.gif amooman aik 'courtship' k baad howa karta hai. do u know wot is courtship? samaajiyaat k mahereen nay isko youN define kia hai.

1. the act of paying attention to somebody with a view to developing a more intimate relationship
2. the period of a romantic relationship before marriage
3. friendly and often ingratiating attention for the purpose of winning a favour or establishing an alliance or other relationship
4. zoology behaviour designed to attract another animal or bird as a mate, or the time during which an animal or bird engages in this

shadi dunyaa ka aham tareen KAAM hai. jo hamari sari zindagi ki raah mota.ayyun karta hai. yeh hamaiN kaamyaab o kaamraan bhi karsakta hai aur tabaah o barbaad bhi........ lekin 'lateefah' yeh hai k iss aham tareen kaam ko 2 (bil.amoom) 'teen agers' beghair kissi realted knowledge /saabeqah experience k karnaa chaahtay haiN........ aur apnay sab say zeyadah khair khaah o tajarbah kaar (i.e.parents) ko involve kiyeh beghair mahaz 2 adnaa darjay k haiwaanoun (see def-4) ki tarah aik doosray say 'attract' hokar 'love marriage' kartay haiN. iss romantic period k dauran koi bhi fareeq apni asal soch / asal shakhsiyat say bil.amoom aur apni khamiyouN say bilkhasoos aik doosray ko agaah nahi kartaa......... jabkay marriage k baad woh aik doosray k saamnay har tarah say oryaaN hojatay haiN to onhaiN aik shock saa lagta hai jo deheeray dheeray aik deesray say doori ka sabab banta hai.

meray khayaal say love marriage ho yaa arrange marriage.... har do soortouN maiN.... youngsters ko apnay parents say (or vice versa) iss baray maiN open diaologue hona chahiyeh. 'selected' lifer-partener ko discuss kia jana chahiyeh. aik aadh baar oss say molaaqaat /baat cheet ki to islam bhi ijazat deta hai. jab love marriage ki soorat maiN bhi....... dounouN taraf k parents involved hojayengay to chaan phatak zeyadah behtar hogi. better selection hogi. aur woh after marriage bhi issay successfull bananay main apna supporting kirdaar /pressure ada karengay.

lehaza love bhi karo to apnay parents say chup kar nah karo, specially females.... apnay luv-affairs say apnay parents ko zaroor agaah karaiN. onsay guidance laiN. aur parents bhi apnay bachouN k jazbaat o ehsaasaat ka khayaal kartay howay onkay luv-affairs maiN involve houn......... BUT aik baat tay hai k agar parents aisaa nahi kartay to ismaiN onka apna zati koi nuqsaan nah hoga. albatta agar youth aisaa nah karay to nuqsaan laazman onka hi hoga, onkay parents ka naheeN.
FATIMA4U
QUOTE(Abu Adnan @ Jun 20 2008, 07:28 AM) *

thanx ...........................very well said .....issi liey tow kachi umer k jazbaat aur tajurbaat mein pukhtagi nahin hotti .....jazbati pun zaida hota hai ........root cause tow janab yeah hai keh" FITRET KA TALUQ INSAAN K BAATIN SE HOTA HAI . HUM INSAANON K ZAHIR-O-BATIN MEIN TAZAD BUHAT BHERTE JAA RAHAY HEIN .....HUMARI SHAKHSYET MATER K DANO KI TERHA DUHRII HOTTI JAA RAHI HAI ....WE SAY SOMETHING N DO OTHERWISE ......WE HAVE DUAL PERSONALITY ......SO KOI BHI RELATION HO USSAY PAANI KI TERHAA SAAF SHIFAAF RAKHEIN .....TRANSPARENT TYPE ....INSHALLAH KAMYABI NASEEB HO GII ...."
Abu Adnan
QUOTE(FATIMA4U @ Jun 20 2008, 01:00 PM) *

insaan dunyaa ki sab say mushkil tareen /pecheedha makhlooq /machine hai......... aik hi model ki machine /(other) living thing maiN etna variation nahi hota jetna human being main paya jata hai. issi liyeh insaan k liyeh banaye gaye qawaneen maiN if n buts (exceptions) bahoot zeyadah haiN. koi bhi kuliyah mutlaqan durust nahi hotaa.... e.g.

-jhooT nahi bolo.... lekin agar such bolnay say fasaad ka khatrah ho to jhoot bolna, such bolnay say behtar hai etc
-life parteners aik doosray say transparent rahaiN... lekin agar baaz bataiN apnay ham.safer ko batlaanay say baahmi talluqaat kharaab honay ka andesha ho to chopaanaa behtar hai... bilkhasoos qabl az shadi k naa.khush.gawaar events... aik hadees hai k agar tumhari kissi baat say tumhari biwi k naakhush honay ka andesha ho to tum oss say jhooT bol saktay ho.
- pardah poshi karna, kissi k aib ki aik afzal kaam hai.... ab yeh pardah poshi to amalan haqeeqat ko chopanay k motaradaf hai.

Allah hamaiN zindagi k har moR par durust faisla karnay aur hikmatay amali k saath rozmarrah k maamoolat iss tarah guzaaarnay ki taufeeq day k woh Allah hum say raazi hojaye aur hum rozay aakhir sur.khoroo houN.... baqi sab kuch khail tamasha hai... yeh dunya aur ahlay dunyaa sab aik imtehaan hai aur kuch nahi. mera hissab kitaab meray lifepartener k hissab kitaab say alag aur joda hona hai. mera sawaab azaab oskay sawaab azaab say joda hoga.
FATIMA4U
QUOTE(Abu Adnan @ Jun 20 2008, 02:58 PM) *

thank u so much sir app ne buhat aachi contribution kii hein ..........n whatever u suggest n opine , mind blowing .... number1.gif it sholud provide guidline for all ..................ek joke yaad aa gaya .. 1-afsana.gif ...............SHOHAR or BV mein baat cheet band thii....aik subah SHOHAR ko jaldi jana tha uss ne kaghaz peh likhaa: "mujhay subah 7 baje uthaa dena or kaghaz BV k takye k nichae rakh diyaa .... subah Sohar kii aankh khulli tow 8 baj rahay thae woh gussae se uthaa tow daikhaa k takye k pass aik kaghaz para thaa or likhaa thaa 7 baj rahay hein uth jao . E9.gif .
miss.roshni
QUOTE(Sham_99 @ Jun 19 2008, 02:26 PM) *
Pakistan main shadiyan waldain ki marzi say hoti hain.....is liye dulhay k liye dulhan surprise hoti hay.........ghunghat uthanay k baad ya to........ASHWARIYA..........ya phir........JAYSURIA......... lol3.gif lol3.gif lol3.gif

Aisa kahan hota hay abb.... 0-17_wink.gif
balky maan baap pochte hain k beta ghunghat k ander kon hay.....??? gig.gif
Abu Adnan
QUOTE(FATIMA4U @ Jun 22 2008, 01:30 AM) *
thank u so much sir app ne buhat aachi contribution kii hein ..........n whatever u suggest n opine , mind blowing .... number1.gif it sholud provide guidline for all ..................ek joke yaad aa gaya .. 1-afsana.gif ...............SHOHAR or BV mein baat cheet band thii....aik subah SHOHAR ko jaldi jana tha uss ne kaghaz peh likhaa: "mujhay subah 7 baje uthaa dena or kaghaz BV k takye k nichae rakh diyaa .... subah Sohar kii aankh khulli tow 8 baj rahay thae woh gussae se uthaa tow daikhaa k takye k pass aik kaghaz para thaa or likhaa thaa 7 baj rahay hein uth jao . E9.gif .

E9.gif E9.gif

lateefay asalm maiN hamari zindagi ki akkasi kartay haiN... pata nahi yeh kiyouN tasawwer karlia gaya hai k biwi hi subah shauhar ko oThayegi... E21.gif halaaNkay Allah nay dounouN ko hukm dia hai k alas.subah oTh kar fajir ki namaaz adaa karo... jis ki aankh pahlay khul jaye woh doosray ko namaaz k liyeh oThaa day aur baad az namaaz dounouN hi din k aghaaz ki tayyari shooroo kardaiN... ab to alarm table clock, wrist watch k saath saath har mobile maiN bhi maujood hai phir bhi aksar yehi dekhnay maiN aataa hai k biwi hi ... aik baar nahi baar baar othanay ka fareezah anjaam deti hai icon_peace.gif
This is a "lo-fi" version of our main content. To view the full version with more information, formatting and images, please click here.
Invision Power Board © 2001-2008 Invision Power Services, Inc.