


Stars In The Scene
M.Kashif Nisar As Ouliyaa Siraj
Uncertainty As Manaab Mir
Seemaf as Seemaab
Kamli As Rubaab

Ouliyaa: Aunty sab taiyarian kesi ja rahi hain app ki [ghar main enter hotey huye Manaab kay]
Seemab: Buss beta sab sahi chal raha hai shukker hai ALLAH ka
Rubaab: Manaab se milne aye ho itne bahane na lagao jao jaa kar mil lo uss se[muskuratey huye]
Ouliyaa: Jee ja raha hon... [ouliyaa manaab k room main enter hota hai ... Manaab ...
[windchimp bajj rahi hoti hai ... Manaab bathroom main hoti hai ... bathroom ka darwaza khula hua hota hai]
Manaab: Walee [murjhayi nazron se ouliyaa ki tarf dekhti hai ... aur ulti karti hai uss k monh se khoon nikal raha hota hai ... ouliyaa manaab ko iss halat main dekh kar ghabraa jata hai]
Ouliyaa: Manaab ... Manaab yeh tumhien kya hogya hai ... Manaaab
Manaab: walee [uska naam leti hai aur uss ki bazoo'on main beyhoos hojati hai ... uss k monh se nikalta khoon ouliyaa ki white shirt par lag jata hai ouliyaa Manaab ko apni gaud main uthata hai aur hospital le jata hai usi hospital jahan woh jaya karti thi wahan sab ouliyaa k saath chalay jaate hain]

In the Hospital
Ouliyaa: Doctor please Check her ... Please Doctor ... its an emergency case ... yeh Dr.Jamil k paas aati thien
Doctor: Ohhh ... hum abhi call kar k unko bulate hain ... Nurse jaldi idhar aao
Ouliya: Manaab ... [hatho se apne baal peche karta hai ... uss ki heartBeat slow honay lagti hai woh paas pari chair par baith jata hai]
Rubaab: Ouliyaa honsla rakho sab sahi ho jayega
Ouliyaa: Bajo mujhey tou lagta hai k ...
Seemab: Iss k baap k saath bhi aesa hua tha
[sab chup kar k seemaab ki shakal dekhne lagte hain...ouliyaa b hairan ho jata hai]
Ouliyaa: kya keh rahi hain app?
Rubaab: Amma kya baat kar rahe ho app?
Seemaab: Haan main jaanti thi k isko ye takleef aik arse se hai ...
Rubaab: Kya takleef ???
Ouliyaa: Kyaa takleef??? kons ... konsi takleef Amm-Amma [uss se bola nahi ja raha hota]
Seemaab: Mano k abu ko bhi Stomach cancer tha aur wohi hua iss k saath bhi ... unn k saath b aesa hua tha
Ouliyaa: App ne mujhey bataya kyun nahi amma
Seemaab: Manaab tumhien marta nahi dekh sakti thi woh nahi chahti thi k uss k samne tum uss se pehlay marr jao
Ouliyaa: Marna ... Maut ... kya keh rahe ho ammA ... appp Amma app kya keh rahe ho ... main ...
[b][Thing to Remember: In Scene 15 ye baat clear kar di gayi thi k kese Manaab k father ki death hui now remember again if u cant the read post # 24 here http://www.hulchul.net/HC/index.php?showto...37745&st=20 Thankyou A.P]
Seemaab: haan usko 1 saal pehle se khaansi aa rahi thi ... ilaaj k itne paise na thay pass ... woh sumjhi k aam khansi hai aur usko kuch nahi hoga usko tou jeena hai aur meri bitto jeeti rahi uss dard k saath ju tufaan ki tarhan uss main uthte thay...tumhare aanay ki umeed woh khou chuki thi ouliyaa ... phir tum aye uski zindagi badal gayi usko laga sab sahi ho jayega par kuch b sahi na hua...phir tumhari sachayi uss k samne khuli
Ouliyaa: usne mujhey ...
Seemaab: haan usne kisi ko na bataya jis din uspar tumhara raaz khula uss din woh buht roui aur uss din pehli baar route route ussko khoon ki ulti ayi [remember that scene jab manaab seemaab ki gaud main gir k behoos ho jati hai]
Rubaab: usne itna kuch bardasht kia
Seemaab: bardasht kar kar k hi tou uski hadh khatam ho gayi Ruby ... akhir kitna bardasht karti woh ... [aik damm doctor wahan ataa hai]
Doc Jamil: Main ne app logon se pehle hi kaha tha k unnki halaat abb naqabil-e-illaj hai
Ouliyaa: Sir app jitne kahien ge utne paaise de donga main uska hum behtareen se behtareen illaj karvain ge plz sir plz
Doc: okay as u wish ... unka cancer buht zyada phail raha hai jism main u know its fast growing now
Ouliyaa: Sir app paisa matt dekheye ... please ... please ... please ...
Doc: thek hai hum ajj se treatment dety hain jitna ho sakay utni ... unka cancer floating surat main hai aur abhi unse bilkul bola nahi ja raha unki awaz bilkul band hai so app log na hi jaein tou acha hai cuz woh bol na paeingi aur unko dukh hoga

After a Week
[ouliyaa manaab k room main dakhil hota hai woh usko dekh kar halka sa muskurati hai]
Manaab: Agaye tum walee [uss se utha nahi ja raha hota]
Ouliyaa: Kesi ho Manaab [usko sahara de kar bithata hai]
Manaab: ahhh [dard se karhati hai] hmmm Buhat pyari walee ki Manaab ju hui
Ouliyaa; jisne walee ko walee nahi sumjha [uska ansoo manaab k hathon par girta hai woh ussk pass chair par baith kar uska haath pakar leta hai]
Manaab: Walee ... ouliyaa ... mera ouliyaa ...mera dil karta hai k jitni baar ho sakay tumhara naam le lon
Ouliyaa: tumhien kuch na hoga ... dekha nahi Manaab abb tum bolne lagi ho [uss k pass ho jata hai]
Manaab: hmmm suna tha mai ne k insaan marne se pehlay bilkul thek ho jata hai walee [muskurati hai] hai na
Ouliyaa: kuch nahi hoga tumhien tum thek ho jaogi ... bus 1 ya 2 saal lagein ge ...aur haan main tumhara intezar karonga ... humare ache waqt ka ...
Manaab: aur agher issi beech main marr gayi tou [halka sa muskurati hai]
Ouliyaa: Manaab aesa matt kaho please ... please aesa matt kaho please ... I love u Manaab ... I love you I cant live without u
Manaab: I love u 2 Ouliyaa ... main jeena chahti hon ... tum hamesha kehte thay k hum paise se sab kuch khareed sakte hain ... tou khareedo na walee ... khareedo meri zindagi ... main marna nahi chahti ... main jeena chahti hon ... Main jeena chahti hon
Ouliyaa: Main harr gaya Manaab ... Main kitna ghalt tha
Manaab: Mujhey Bacha lou walee ... I love you ...
[yehi woh akhri baat thi ju manaab se ouliyaa se kahi...uss raat route route woh dono haath main haath dalay sou gaye aur agli subah jab ouliyaa utha tou...]
Ouliyaa: Manaab ... [uska nazuk sa haath sard hou chuka tha...aaise lag raha tha k woh abhi soui pari hai ... pass chalti machine main dil ki dharkan nazar aani band ho chuki thi]

Funeral Of Manaab
sab Manaab ka janaza le kar jaate hain aur ouliyaa durr khara sab se khamoosh uss ko dafan hote dekh raha hota hai ... Log uss par bechargi ka izhar kar rahe hote hain par ussko aesa maloom hota hai jese usko kuch sunayi nahi de raha...woh apne kamre main akar baithta hai aur apne room ka darwaza banc kar deta hai ... uss andhere main bhi usko Manaab ki jhalak nazar arahi hoti hai ... uski tasveerein deewaron par sajji hoti hain aur uss ki ankhon main dekh rahi hoti hain...usski hansi ki khanak uss k kano main gonj rahi hoti hai ... marne se pehle k uss k alfaaz uss main gonj rahe hote hain
Manaab: Main marna nahi chahti Walee ... main marna nahi chahti ...
woh apni ankhein band karta hai aur sou jata hai ...

Ouliyaa: Kahan ho Manaab ... dekhou main tumhara intezaar nahi kar sakta
Manaab: Acha ju main ne tumhara intezaar kia ...
Ouliyaa: Kuch na Kaho abb hum aik hain ... aur aik dousre k saath hain [ussky honton par haath rakhta hai aur uski ankhein band karta hai aur usko aik jagah le jata hai]
Manaab: Kahan le kar ja rahe ho mujhey
Ouliyaa: Aao tou sahi [Manaab ki ankhon par se haath uthata hai]
Manaab: ... yeh Humara ghar hai ouliyaa .... mein ne apne khwabon ko paanay ki itni koshish ki
Ouliyaa: aur humare ALLAH ne humarey sab khwaab poray kar diye Manaab ... Humara chota sa ghar aur uss k agey pyara sa bagh yehi khwaab tha na humara ...

jahan woh aik dousre ko apna ghar dikhane main magan thay wahan aik aam insaan ki ankh k lye kuch na tha ... unka ghar woh 2 qabrien thien ju wahan thein jahan kabhie unho ne ghar banane ka socha tha ... duniya ne unko wese tou saath na kia haan Maar k aik saath dafn karne ka ehsaan kar dia unpar ... aur wohi unki khushi ka sabab bana ...han ... Kabhie Kabhie Yun Bhi ...
[Aapp sab ko batana chahongi jinho ne iss kahani ko perha k yeh aik sachi kahani thi kisi k pyar ki jiska anjaam yehi hua ... par haqeeqat main inn 2no main se aik insaan abhi b zinda hai aur maut k intezaar main hai k kab uski sansien khatm hon aur woh apne pyar ko paa lay]
THE END
Written by: AIry PrINCESS
a sPECIAL THANKS TO ALLAH G who made me to write it till the end ... my Friends jinki ye story thi ... and they allowed me to write all this ... my Friends who appreciated me in this period Uncertainty and Nemo are very special Names for this ... THankyou Friends ... It was a good experience working with all the hcians ... Thankyou ... Best of Luck in your Life ...
Written by: AIry PrINCESS
a sPECIAL THANKS TO ALLAH G who made me to write it till the end ... my Friends jinki ye story thi ... and they allowed me to write all this ... my Friends who appreciated me in this period Uncertainty and Nemo are very special Names for this ... THankyou Friends ... It was a good experience working with all the hcians ... Thankyou ... Best of Luck in your Life ...


