



Stars In The Scene
Braveheart As Rohaan
Khushi As Rijja
Tenha Saima As Huraira
Cool Leo As Ammar
Miss Abbasi As Rania
Sweet Angel As Reem
Life As Rida

Chuti Time --- Shofia College of Arts And Sciences
Rijja: chall aja tabahi karne ka time agya hai
Reem: Par Baba g ko patayega kon?
Rijja: Tou tere samne khari hai...tou apna kaam kar aur main apna [aur daur k buss main charh jati hai aur buss ki front seat par bag rakh kar baith jati hai aur buss k driver baba g se batein karne lagti hai]
Baba G: KHairiat ajj itni jaldi beta...
Rijja: Bus baba g ajj front seat malne ka dil tha ... ahaaaaaaa
Baba G: kya hua beta ... thek ho na tum?
Rijja: Baba G appko tou maloom hai na bus abb ye college chor k janay ka time agya hai
Baba G: haan beta yeh tou hai ... bus beta waqt aik sa nahi rehta
Rijja: G ... main yeh waqt jee lena chahti hon ... choti si tou life hai ... mera patah sachi yeh college chorr k janay ka dil nahi karta ... abb app bataein main kya karon
Baba G: beta aaisa karo fail ho jao
Rijja: Baba G app bhi na ... app k samne kitni larkiyan choti si bari ho k gayein hon gi na
Baba G: haan beta yeh tou hai
Rijaa: Bus ho gya [ghari main time dekhti hai]
Baba G: kya ho gya???
Rijja: kuch nahi ... kuch bhi tou nahi
[thori dair baad sab buss main akar baith jate hain n bus full ho jati hai]
Rijja: Bus chalein ... aik aur din college ka khatam hua
[Bus chalti hai aur aik zorr daar awaz aati hai]
Rijja: OYEEEEEEEEEEE dekho dekhou tyre puncture [sheeshay se bahar nikalte huye tyre ki tarf dekhti hai]
Baba G: Kya ???
Rijja: HAn G... BAbA baBa G ... tyre puncture ... patah nahi kisne kiss stupid ne buss k tyres k neechay sheeshay ki bottles rakh dien thein.[aur reem ki tarf dekh kar ankh marti hai]
[sab bus se foran utar kar neechay ajate hain]
Rijja: jab tak main na aaon dosto bus na chalana ... sun lo sab bag mera meri seat par para hai khabardaar kisi ne usko uthane ki himmat ki ... samajh gaye sab ... baki mere sathiyou ajao
Reem: Agaye Be-nazir tere peeche
[sab class room main chalay jaate hain]
Rijja: Bolo plan kya hai??? kIs song par tum sab log dance karna chahte ho???
Reem: Yeh ...
Rijja: tum chup raho ...bolo ... tumhare liye ajj Miss.Rijja Rehman ne apni buss ka tyre puncture karvaya takay tum log ju mujhey farewell de rahe ho woh sahi se ho sakay aur tum log pori taiyari k saath nahi ho ... I love dancing mujhey dancing ka buht shoq hai ...by the way shart yaad hai na ... main tum sab ko dance sikhaongi aur tum log akhir main Principal k jaane k baad hum sab seniors ko dance k lye bulaoge???Done???
Juniors: Haan Rijja buss humein dance sikha dou plz ... plz .. plzzzz
Rijja: bus karo buttering karni ... start music please ....
Karachi University
Rohaan:Huraira tumhare kya plans hain farewell k lye???
Huraira: I will be rocking ... as usual
Rohaan: U always rock baby ... u know u are the best
Huraira: I know I am ...
Rohaan: Uss din tumhari birthday bhi tou hai
Huraira: O sweeto u remember ... love you
Rohaan: kya chaheye tumhien?
Huraira: Kya de sakte ho [nails filing karte huye]
Rohaan: Ju tum Mango ... except my life ... kyunki woh main sirf tumhare saath jeena chahta hon
Huraira: hahaha konsi movie ka dialogue boll rahe ho cuz really its funny...well mujhey chaheye ... hmmm
Rohaan: kaho na [bottle peetay huye]
Huraira: Diamond Ring
Rohaan: Kya [uss k monh se bottle bahar nikal aati hai]
Huraira: haan ... diamond ring original diamonds ki
Rohaan: woh 3 lacs ki aati hai utni tou banda new car le lay n u knw me ... hum 2no middle class family se hain hoor tum ko kya ho gya hai tum wesi nahi rahi jesi k...
Huraira: Realistic ho gayi hon
Rohaan: Hoor aaise tou matt kaho
Huraira: tum mujhse pyar karte ho na???
Rohaan: haan buhat ... pichle 4 saal se yehi tou kar raha hon
Huraira: haan khali khali pyar ... abb main apni dreams apni wishes apne pyar ko na bataon tou kisko bataon
Rohaan: abhi tou meri koi job bhi nahi hai
Huraira: pyar karne se pehle sochna tha na...
Rohaan: main ja raha hon cricket ka match khelne ... tum aaogi mere saath
Huraira: mujhey bore nahi hona hai really ...
Shofia College of Arts And Sciences
Rijja: haan haan karo sabash ... 1 ...2...3...4 [dance sikhate huye aik damm uss k mobile par bell bajti hai woh phone uthati hai]
Rijja: yaad agayi meri ... assalam-o-alaikum
Ammar: ye ho sakta hai k apki yaad na aye...hum idhar England main baithe kaam kam kar rahe hain aur apko yaad zyada kar rahe hain.U are most precious thing for me
Rijja: Haan g aksar aesa hota hai
Ammar: tum ko yaad...isnt it romantic? aur app?
Rijja: Dance
Ammar: what???
Rijja: sachi ... I was teaching dancing to my juniors
Ammar: tum kesi bachon jesi baatein karti ho na
Rijja: Abhi main bari hui kahan hon?
Ammar: Plz Rijja be mature ... humari engagement ko aik saal hogya hai ... tum aik buhat baray bussiness man ki honay waali wife ho
Rijja: Ammar app mature ho par main nahi ... main bhi apni life jeena chahti hon
Ammar: C I know we have 7 years difference but ... u should be mature Rijji
Rijja: Ammar age difference pyar main matter nahi karta ...hum kitna aik dousre ko understand karte hian ye matter karta hai
Ammar: For GOD sake ... acha bhala main kaam kar raha tha
Rijja: U said u were missing me
Ammar: Bye ... I have so many other things in my life ... mujhey apki fazool batein nahi sunani[phone band kar deta hai]
Rijja: haan haan ... kesy kahon abhi sab samne hain mere ... ok bye ...[phone band kar k apna mood zabardasti change kar leti hai]
Reem: Oye hello ... ma'am kya hua ? r u okay?
Rijja: kuch nahi ... bus thek ho gayi abb chalein???
Reem: chall ... pagal ho ... kabhie khushi kabhie ghum hi bani rehti ho
Rijja: aur tum guru ki malika sherawat
Boys Hostel
Umar: kesa raha yaar ajj tera match???
Rohaan: kya bataon yaar harr gaya main
Umar: Match ya k ???
Rohaan: paisa kitni bari taqat hai na
Umar: woh tou hai mere bhai ... aja khana kha lein
Rohaan: bhook nahi hai [aur apne mobile ko dekhta hai k shayad koi huraira ka message aya ho]
Umar: ohhh acha tou ye baat hai ... larayi hui hai kya huraira se teri
Rohaan: arey nahi ... nahi tou ...
Umar: kya baat hai dost ??? boll tou sahi
Rohaan: hoor ki birthday arahi hai
Umar: Acha
Rohaan: woh
Umar: kya woh bhai?
Rohaan: woh diamond ring chahti hai yaar.
Umar: Kya oye ... D.I.A.M.O.N.D.R.I.N.G.[bistar par se kharaa ho jata hai]
ROhaan: haan aur tou kharaa kyun ho gya hai
Umar: jaa 2 tandoor ki rootiyan laa aur woh pack kar k day de ussay ... mujhey tu yeh larki pehle se hi theek nahi lagti thi aur tou hai k devdas bana hua hai
Rohaan: kuch samajh nahi araha hai yaar ... hoor ko kya ho gya hai ... yeh meri wohi hoor hai jis se mian ne pyar kia tha
umar: oye pyar vyar kuch nahi hota hai ... tou sab se handsome mundda tha college ka uss ne tumko buss islye phansaya
Rohaan: tou kya lagta hai tujhe ussay mere saath pyar nahi
umar: bilkul bhi nahi woh tujhey aik damm se na buss bewaqoof bana rahi hai ... aur tou bann raha hai
Rohaan: kya boll raha hai yaar tou?
Umar: na maan aik din pachtaye ga tou ... oye kuri aaisi nahi hoti ... woh tou bari masoom hoti hai
Rohaan: pagal hai yaar tou ... patah nahi aage kya hota hai mujhse tou ju hoga wohi karonga...
Umar: aur tou kar bhi kya sakta hai
Rohaan: par tou kar sakta hai
Umar: boll yar
Rohaan: kuch paise hon ge yaar
Umar: lay le par khudh par lagaein uss hoor par nahi
Rohaan: woh meri roh hai mere liye
Umar: phir tou tum jaldi marr jaoge ... woh chiriya ki tarhan urti phirti hai ajjkal kab jism se niklegi maloom nahi hoga teri khud ki rooh ko
Rohaan: woh mere bina nahi reh sakti
Umar: ye dialogue mere samne na bool
Rohaan: aaahaa woh bhi yehi kehti hai
Rijja's Home
Rania: Ami jaldi khana dein na
Nadia: Laa rahi ho beta ... sabar
Rania: abb tou main tujhey kal subah nahi uthaongi Rijja g
Rijja: na uthana ... ager main uth gayi tou soch lo jaate huye tum par balti phaink kar jaongi pani ki
Rania: Ami iss ko dekh lein
Rijja: pechle 20 saal se dekh rahi hain ... tujhey maloom hai main ju kehti hon woh karti bhi hon
Rania: Dhamkian de rahi ho
Rijja: 10 mins baad maloom hua hai [darwaze par bell bajti hai]
Rania: main kholongi
Rijja: ja khool sabash [rida aati hai apne 2 bachon k saath]
Rida: Assalam-o-alaikum Ami
Rijja: Salam rida baji
Rida: kesi ho rijju
Rijja: buhat pyari nazar nahi araha hai apko
Nida: Massi app tou ajj magzine main gum hi ho jaogi
Rijja: kitne dramas dekhti ho tum star plus k nida ... mian tumhari massi nahi khala hon
Rida: ajj kal massi kehna fashion hai
Rijja: fashion tou patah nahi kia ... kya hai baji
Rida: ye dekho tum sab k lye umbrellas layi hon
Rijja: free ki
Rida: haan na tumhare bhai ne ju medicine company join ki hai na nayi wahan se ajj woh laye thay main yahan le ayi
Rania: abb main apni chatri ko sajaongi
Rijja: waley aur farigh logon ko aur kaam hi kya hai...hai na rani
Rania: Ami dekh lo issko
Rida: pichley 20 saal se dekhti aarahi hain
Rijja: haan
Rida: Buhat pyar karta hai woh tumse
Rijja: jaanti hon kitna ... usko meri shakal pasand hai meri aadatien mere khayal nahi usko tou main
Nadia: buss kar apney honay waale sohar ko kuch nahi kehte
Rijja: acha chahey woh ju marzi kahe
Rida: haan kyunki yehi aik kameyab zindagi hai
Rijja: kameeyaab k ghulami waali
Rida: tum jaanti ho na Rijja k Ammar ne hi HUMARE akloute bhai ko dobtey huye bachaya bussiness main
Rijja: haan aur usko inaam main mein milli
Rida: RIjja buhat zabaan khul gayi hai tumhari
Rijja: app nahi samjho ge ... woh mujhey *cheez* kehta hai main uss k lye aik cheez hon khareedi hui
Rida: Situation ko sumjho Rijja ... life partner kabhie badalta nahi hai
Rijja: logon k fiances tou unn se itna pyar karte hain ... Ammar k abhi yeh halaat hain tou baad main...
Rida: aaise hi hote hain husband ... abb mera husband hi dekh lo ... hai na ami
Nadia: kon samjhaye issey [rijja apne room main challi jati hai ... room k bahar terrace par jaati hai aur aasmaan ki tarf dekhti hai ... udhar Rohaan bahar apne room k Terrace par jata hai aur aasmaan ki tarf dekhta hai]
Rijja: Aaisa mere saath hi kyun ALLAH mian g ... Main Ammar se itna pyar karti hon aur uss k lye mian aik cheez hon
Rohaan: Huraira mujhey samajh kyun nahi rahi
Rijja: Main apna dukh kisi ko batana nahi chati ... kaash k mera koi dost hota ju mujhey samajh sakta ... Ammar ne mujhey kabhie nahi samjha
Rohaan: kaash k koi hota ju mujhey samajh sakta
[Rijja waapis aati hai aur computer on karti hai k shayad Ammar online ho tou uss se maafi mangay...udhar Rohaan apna computer on karta hai k usko huraira ko manane k lye kuch karna chaheye]
Rijja: Ohh Again .... uss Rohaan k cards mujhey ... dunno yeh hai kon ... he is so much irritating[mails check karte hue ... aik damm rania room main aati hai]
Rania: Kya hua Rijja???
Rijja: Kaka
Rania: Ammar se sulah ho gayi?
Rijja: Shut up
Rania: batao na kya hua
Rijja: kuch nahi ussi Rohaan Sajood Butt k cards aye huye hain....karta kissi huraira ko hai n dunno mujhey aajate hain...sick man
Rania: tou kya hua uss se baat kar k dekh lo ... ya usko mail kar lo ... woh pyar kisi se karta hai aur cards tumko mill jate hain
Rijja: Haan lagta hai meri aur uski lover ki id same hai ...
Rania: ho sakta hai...aksar aesa hota hai
Rijja: abb apni na koi kahani start kar dena...ajj Msn par add karti hon aur sunaa deti hon usko khari khari
Rania: sunaogi tou tum baith kar hi
Rijja: mUjhey tang matt karo ...[rohaan ko msn par add karti hai aur songs sunane lagti hai...rohaan k pass invitation aata hai woh usko add kar leta hai]
Rohaan: uff yeh kon hai?
Umar: ju bhi hai add kar le ... shayad koi mere lye hi bani ho
Rohaan: bani tere liye hogi aur add mujhey karegi
[Rijja rohaan ko click karti hai aur sunanah start karti hai]
Rijja: Tum jese chaval log samajhte ho kya appne appko?
Rohaan: chaval?
Rijja: Bano matt ... mujhey ... mujhey mails karte ho tum woh bhi pyaar bhare cards unn par pics kesi bani hoti hain
Rohaan: oye tumhain cards kon bhaijta hai??? kis ka gunnah mujh par thopp rahi ho?
Rijja: Gunah ... wah ... pappi insaan tumhari baat kar rahi hon
Rohaan: Star plus k dramas se inspire pappi aurat main nahi bhaijta
Rijja: Bakwaas matt karo
Rohaan: tum matt karo aik tou tum larkiyan hum larkon ko add karti ho upar se jaan k raub daalti ho k hum ...
Rijja: kya tum ... oye hello main ne tumhein tumhari class lene ko hi add kia hai koi shoq nahi hai mujhey bilkul bhi tum se baat karne ka
Rohaan:Listen Main aagey hi buht pareshaan hon ... tell me hua kya hai?
Rijja: Tumhari lover hai Huraira ryt?
Rohaan: Haan how do u know?
Rijja: tum ju cards usko bhaijte ho woh mujhey mill jate hain I dont know ye sab kese ho raha hai...its about ur feelings...tum ne mujhey aaise hi daantna start kar dia
Rohaan: baat buray tareekay se tum ne start ki thi
Rijja: I am S.O.R.R.Y
Rohaan: I am Sorry 2...I am sorry aainda aaisa nahi hoga
Rijja: Yani k tum ne apni ghalti maan li
Rohaan: haan iss mein konsi baari baat hai?
Rijja: Thanks
Rohaan: Can we be Friends???
Rijja: What???
Rohaan: Please ... c I am already in love ... main koi ...
RIjja: dont worry main bhi wesi nahi ...
Rohaan: kesi???
Rijja: peeche par janay waali ...I am Engaged ...
Rohaan: ohh ok Congrats ... baat purani hai par mere lye nayi hai
Rijja: Butt :p
Rohaan: lolz its my caste not that
Rijja: Ohhh ok ... I am Rijja ... Rijja R...itna hi kaafi hai
ROhaan: Ahaan ... I am 24 years old doing MCS
Rijja: which semister???
Rohaan: Last one .... and u?
Rijja: I am Doing my graduation ...
Rohaan: Last year
Rijja: YEp ... meri 1 sis hain than bro than main than aik aur sis
Rohaan: meri 2 sis hain aur main aik hi aik hon haan cusions ki tadaad kaafi hai
Rijja: mere bhi
Rohaan: Can u show me your pic
Rijja: Zyda nahi ho gaya ...
Rohaan: ok lemme show u my pic first ... here u go ...
[abhi picture display par aanay hi lagti hai k Rijja ki lite challi jati ho]
Rijja: Ohh ... yeh kya ...Light ko bhi abhi jaana tha ...He was nice ... itni baat nahi hui par ... hope so jahan rahe khush rahe ...
.... To BE cOntInUeD ....


