Salam!...............ek hadsa aisa hai jo bhulana buhat he mushkil hai ......i just to wanna say ...be careful when u r in driving ...............mein university jaa rahi thii......near to Jennah HOSPITAL .....road k beech_o_beech ek dead body pari thii ....he was a teen-ager n uss ki umer lag bhag just 20 or 19 ho gii .....woh cycle per thaa n road per khoon mein latt paat gira para thaa ....cycyle per agay handl per ek tiffen bhi latkaa thaa .......jo car takker maar ker gaaii uss ne uss ka behjaa bilkul uraa diyaa thaa ...........aur uss lerke ki help k liey koi nahin thaa ....subah ka 8:30 ka time ho gaa jo bhi log thae pass se guzer thae per koi uss ki madad k liey yaa ambulance bulane mein interested nahin thaa ....k lahore ki police in short words pakistan ki police jo help karay uss ko dher liayaa jata hai n police station k chaker mein kaun paray ....khair mere father ne ambulance mangawaii ......but woh raat se merr chukaa thaa ......car wala itni buri taker maar ker gaya thaa k uss k bhejaa he baher aa chukaa thaa .....tow zindagi kahan rehti uss mein .....sawal yeah hai keh ......zara sochyie .....k woh teen-ager lerkaa kissi maa baap k burhapay kaa sahara ho gaa ....ghar se rozi rotti kamanay niklaa ho gaa .....kissi behan ki shadi kerna ho gii ......aur woh tiffen abhi bhi latka nazer aa raha hai jo uss k ghar walon ne kitnae pyar se uss ko diyaa ho gaa ..........aab uss k ghar walon kaa naqsha sochyie zara ............uss kaa kuch pata nahin chala k kahan se thaa woh .....means ghar walon kaa ....uss k maa baap aur ghar walay tamam umer uss k intezar kerte rahein gey k woh aaj wapis aaye gaa aur aaj .........but woh nahin jante keh woh uss safer per rawanah huawa hai jahan se kissi kii wapsi mumkin nahin ..yeah intazar shayed woh apni zindagi ki aakhri saans tak karein gey ....ek terhaa se pal pal kaa merna ho gaa ...so iss waqayah ko yahan batane kaa maqsad yeah maqsood hai keh ....plz jub app log driving karein tow thora carefullly plz ....ek lamay ki jaldi app ki kissi ki zindagi bher ki taa-kheer naah bun jaye ...aur kissi se uss ka shara cheen lay ....aur zindagi bhi ......thanx ..
