QUOTE(KnOwN_StRaNgEr @ Jun 23 2008, 09:35 AM)

Hazrat Abu saeed khudri razi Allah taala anho aur Hazrat Abu haraira razi Allah taala anho
RASOOL ALLAH SALLALLAHO ALAIH WASSALLAM
say rawayat kertay hain ..
jis din sekht germi hoty hay tuo ALLAH TAALA ahle zameen ki taraf apnay kaan aur ankhain laga daitay hain aur jab koi banda kehta hay Aaj kya sekht germi hay ,, ayat ka terjuma ( YA ALLAH ! MUJHKO DOZAKH KI AAG SAY BACHA ) tuo
ALLAH TAALA
dozakh say fermatay hain ; meray bandon may say aik banda tery germi say panah mang raha hay aur mein tujhko gawah banata hoon kay may nay uss banday ko tujh say panah dee.
aur jab sekht serdy ka din hota hay bhi
ALLAH TAALA
apni ankh aur kaan ko ahle zameen ki taraf mutawajha kertay hain aur jab koi banda kehta hay 'Aaj kya sekht serdi hay' ayat ka terjuma ( YA ALLAH ! MUJHKO DOZAKH KAY TABQA ZAMHAREER SAY BACHA ) tuo
Allah taala Dozakh say fermatay hain ; meray bandon may say aik banda teray zamhareer say panah mang raha hay , may tujhko gawah banata hoon kay mainay usko teray zamhareer say panah day dee.
logon nay arz ki ..... ; YA RASOOL ALLAH sallallaho alaih wassallam
JEHANNUM ka zamhareer kya hay ?
RASOOL ALLAH SALLALLAHO ALAIH WASSALLAM
nay fermaya....
Aik makan hay jis may kafir ko daal diya jayaega aur uss makan ki serdi aur thandak ki wajha say uss kay Aaza^a aik dusray say juda ho jaingay . "SALAM BRO,AAPI & ALL
SUBHANALLAH,JAZAKALLAH
THANKS BOTH OF U SHAIR REALY VERY NICE MSG+IMG WITH US
MAY ALLAH BLESS U & UR HAPPINESS
KHUSH RAHAY HAMISHA & KEEP IT UP