Salamz n Hizz
thankyou thankyou thankyou scenes pasand karne ka so people herez Scene 4 for u




Stars In The Scene
Braveheart As Rohaan
Khushi As Rijja
Tenha Saima As Huraira
Cool Leo As Ammar
Qamar Khan As Umar
Sweet Angel As Reem
Miss Abbasi As Rania

After One Year
Rijja's house Rijja: Mama Break fast ready hai kya???
Nadia: Haan ... waise khair hai ajj tum breakfast kar k jaogi
Rijja: G [apne documents waali file check karte huye]
Nadia: ALLAH tumhein kameeyab karey ameen
Rijja: Ameen ami bus app dua kijeyega...
Rania: Ammar bhai se keh deti na koi shifarish ka ... aaise tou tumhein naukri milne se rahi
Rijja: Main khudh par kuch bananh chahti hon Rani
Rania: we will see
Rijja: tumhari yeh mashkharon waali hansi mujhey buht buri lagti hai
Nadia: Laro matt dono ... aur rijja tu bhi na
Rijja: Main bhi kya ami?
Nadia: woh choti hai tere se...sharam kar ley
Rania: Na kahein ami isko kuch yeh tou jalli rehti hai har waqt .. abhi thore din hi tou hain rukhsati main
Rijja: hmmm [chai peetay huye]
Nadia: Rijja abb tu tumhara aur Ammar ka nikah ho gya hai abb sabar karne ki aadat dalo khudh ko koi kuch keh bhi day tou chup kar jao sumjho Rijja.
Rijja: wohi tou samjh chuki hon ami...janti hon main k Ammar kesa hai aur mujhey ... [ussky ansoo nikal aate hai woh baat nahi kar paati]
Nadia: Main jaanti hon RIjja ... par usi ki wajah se ajj tera bhai ...
Rijja: bus ami main ja rahi hon ...sorry Rania ... koi baat buri lag gayi ho meri [ansoo saaf karte huye]
Rania: lou mujhey tumhari koi baat buri lag sakti hai bhala baji ...
Rijja: lagti tou hai ...

[hasne lagti hai]
In the Office Boss: Hmm main ne app k sab documents check kar liye hain ap ko hum 2 days main appointment letter day dein gey ...
Rijja: Thankyou so much Sir ... Thankyou so much [rijja ko job milne ki buht khushi hoti hai woh apni khushi main ja rahi hoti hai k uski rohaan se takkar hoti hai]
Rohaan: Andhi ho kya???
Rijja: M so much Sorry sir ... woh actually
Rohaan: Girls ARe Like That ... hunh
Rijja: Pagal aadmi hai
ROhaan: kya kaha?
Rijja: Nothing...[Rohaan boss k cabin main enter hota hai]
Rohaan:May I come in Sir?
Boss: Yeah come in Rohaan
ROhaan: Sir apne iss larki ko job kyun di yeh tou
Boss: janta hon simple gracuate hai kuch courses bhi kye hain iss ne humari N.G.O ko
Rohaan: kiski shifarish thi sir?
Boss: kya ho gya hai Rohaan tumko? aur tum hotey kon ho yeh pochne waale?
Rohaan: Sir bahar aik aur larki ... woh buht majboor hai sir usko job chaheye ... woh iss job ki asal haqdaar hai
Boss: main sahi tarhan jaanta hon k kon sahi hai aur kon nahi...kyun bhool rahe hain app k Huraira ko job main ne app k kehne par hi di thi
Rohaan: Thanks sir
Boss: U may go now...[bahar nikal kar dekhta hai tou Rijja wahan khari hoti hai]
Rijja: Mujhey ye job meri kaabliyat par milli hai
Rohaan:oye...bibi kisi ghalt fehmi main matt rehna acha
Rijja: hunh
Rohaan: iss k illawa bhi kuch karna aata hai tumko?
Rijja: I will prove myself...
Rohaan: abhi pochon tou prove k spellings nahi aate honge...
Rijja: u are sick ...[aur chali jaati hai bahar raaste main ghar call karti hai]
Rijja: Mama mujhey job mill gayi hai bus 4th se join kar rahi hon main.
Nadia: buhat buhat mubarak ho beta ... meri bachi pyari..Ammar ko bhi bata do woh tumhara pooch raha tha.
Rijja: hain sachi mama??? main abhi unko call karti hon.[rijja ammar ko call lagati hai]
Ammar: Sweetheart ... my wife ... think of my princess n princess is there
Rijja: Love you u know mujhey job mill gayi hai
Ammar: arey kesay na millti...akhir tum Ammar Ahmed ki wife ho ... main ne hi phone kar k kaha tha woh mere dost ki hai banai N.G.O hai befikar raho koi tumko kuch kaheyga bhi nahi
Rijja: apne kaha tha...
Ammar: aur kya ... kya hua???kya main apni wify ki khushi k lye kuch nahi kar sakta ... it was a surprise for my jaan
Rijja: thankyou so much [usko apni mama ki batien yaad aati hain k chup rehna hai] acha Ammar apko nahi lagta k ye job kisi zaroorat mand ko
Ammar: o plz janu ... tum N.G.O main kaam karne ja rahi ho ... kar nahi rahi ... so ... I love your smile baby
Rijja: u know ammar u are so nice mujhey patah hi nahi chalta k tum kya ho?
Ammar: tum mere pyar ki intehaa ho
Rijja: u know jahan se tumhara naam khatam hota hai wahan se mera start hota hai aur jahan se mera naam khatam hota hai wahan se tumhara start hota hai
Ammar: oh GOD abb aesi bachon jesi baatein phir se matt start karo ok

bye ... its time for me to go ... bye janu
Rijja: Main app se thori dair aur baat karna chahti thi [Ammar bina sunay phone band kar deta hai aur woh palat kar dekhti hai tou wahan rohaan khara hota hai]
Rohaan: Sach maloom ho gaya?
Rijja: haan
Rohaan: buhat phudak rahi thi
Rijja: Phudkon gi tumse matlab??? [aik damm wahan se huraira nikalti hai for lunch]
Huraira: Shaheeeeeeeeeeer [ounchi awaaz deti hai ...shaheer apni car lekar aata hai black color ki honda civic huraira muskurati hai aur shaheer k saath baith kar chali jaati hai Rohaan unnko dekh kar jall jata hai]
Rohaan: Damn it ... [aur pathar par apna paaon marta hai]
Rijja: tut ... tuut ...tut ... dekh lia phudakna sirf mujhey acha lagta hai ... tum jeson ko nahi
Rohaan: hunh
Rijja: buss yehi karna aata hai kya???
Rohaan: w8 n watch
Rijja: u 2
After 3 Weeks [Rohaan Rijja k cabin main aata hai aur file buri tarhan uss k table par phainkta hai]
Rijja: Whats wrong with you?
Rohaan: Have u checked your Work??? Miss R.I.J.J.A
Rijja: Yeah I did ... [aur bari pursakoon si shakal banati hai]
Rohaan: Kitne confidence k saath jhoot bolti ho na tum
Rijja: dekh lo but u cant
Rohaan: yeh khee khee band karo
Rijja: phir kya khaa khaa karon
Rohaan: Be Serious Rijja...Main tum jesi larkiyun ko ache se janta hon buhat ache se ... k tum jesi kaise kaam kar k ye jobs hasil karti ho binna kuch parhe
Rijja: Tumhara matlab kya hai? Tum ...
Rohaan: Mera monh matt khulvao sumjhi tum ... jab tumko kaam karna hi nahi aata tou kaise tum ko yeh job mill sakti hai?
Rijja: tum meri chair lelo itni pasand hai tou
Rohaan: be serious damn it
Rijja: see tum patah nahi mujhey kya samjhte ho ...
Rohaan: i knw you ... aur ajj jab tak ye kaam nahi hoga tum yahan se nahi jao gi aur u know ajkal Boss bhi gaye huye hain aur woh saari authority mujh par daal kar gaye hain
Rijja: Mujhey ghussa aata tou nahi par abb agya hai ... abb to main tumko sab kaam theek se kar k hi deekhaon gi ... Go back to your Cabin Mr.R.O.H.A.N
In the Office CanteenUmar: yaar tujhey aaise nahi karna chaheye
Rohaan: kya kesay nahi karna chaheye
Umar: woh larki achi hai yaar ... tou nahi jaanta woh buht dukhi lagti hai
Rohaan: acha tou abb tou usski side lega .. itni achi hai k itne se dino main itni free hogayi tere saath k tujhey sab kuch bata dala
Umar: Rohaan tou abb wesa nahi raha ... patah nahi kahan gum ho gya hai woh mera hansta muskurata dost Rohaan sariel hogya hai tou
[Udhar apne cabin main rijja reem se phone par baat karte huye usse sab bata rahi hoti hai]
Rijja: Janti ho reem gabbar singh hai woh ... mera dil nahi karta uski shakal tak dekhne ko aur woh mera senior hai aur mujhey uss k under kaam karna par raha hai
Reem: Tujhey kisne kaha tha k tu kaam kar
Rijja: main tang agayi thi yaar ... tu janti hai na Ammar ko kabhie kuch aur kabhie kuch
Rohaan: aaisi tez larki lagti hai woh mujhey
Umar: ju tez thi usko tou pehchan na saka aur ju
Rohaan: tu uski side kyun le raha hai?
Umar: tou janta bhi hai k woh kaun hai?
Rohaan: hogi koi ...
Umar: woh buhat baray industrialist Ammar Ahmed ki wife hai ... Nikkah ho gaya 2no ka abhi rukhsati nahi hui ...kabhie usko namaz perhte huye dekh itna routi hai
Rohaan: tou kesay jaanta hai usko itna???tu ussko chup chup k dekhta hai kya?
Umar: haan aik baar dekha tha ... pehli larki ju route huye bhi pyari lagti hai

meri behan ki nand hai Reem ... uski best friend hai yeh...baji ne sab kuch bataya mujhey
Rohaan: ohh acha
Umar: tou huraira ko bhoola nahi abhi tak ... aur usko kuch kehta nahi abb uss k badlay tou kya Rijja jesi larkiyun se lega?
Rohaan: Huraira ki baat maat kar mere saath plz
Umar: phir kya shaheer ki karon
Rohaan: khana khaa chup kar k bhoukey
[lunch break k baad Rohaan wapis aata hai aur Rijja ko chup k apne cabin se dekhta hai woh kaam kar rahi hoti hai ... uski samajh nahi araha hota hai k kaam kesay karon par woh kuch try kar rahi hoti hai...Rohaan uski harkatien dekh kar muskurata hai aur dil main kehta hai]
Rohaan: Pagal hai dekhta hon kese kaam karti hai ye
Rijja: iss Gabar Singh ka tou main monh dhulaa k rahongi [kaam karte dil main sochti hai]
To Be ContinuEd 