QUOTE(tenha_saima @ Jul 2 2008, 12:47 AM)

hazrat taqreeer khatam hoi .. darkhuwast hai k apney apney gher tashreeef le ja'ain 
konsi taqreer? mujhe koi taqreer karna nahin aati woh to
kuch bat aesi nikal aai jiska jawab dena zaroori hogaya
jis ki bina pe maine thora sa likhna chaha kuch to woh
chalta chala gaya maine socha phir is baat ko kion na
mukhtasaran bayaan kardia jaye phir is hi baat pe amal
pera honay ki koshish kar raha tha ke kuch khealaat zehan
main is tarha ubhray ke main unko qatai daba na paya
aur kuch likhne main masroof hogaya aur masroor hogaya
to main yeh bhi bhool gaya ke mujhe bukhaar tha aur mere
keyboard ke barabar main aik cup jis pe Coffee likha hai
per ander Chae thi jo ke thandi ho chuki thi.
karwa di na phir se Chae thandi tumne