QUOTE(Naila Akhtar @ Jul 1 2008, 01:22 AM) [snapback]2952483[/snapback]
1- Rona chate hoto Allah k azaab KO yaad kar k ro
2- Khana chate ho to ALLAH ka khof khao
3- Peena chate ho to ghussa piyo,
4- Pehanna chate ho to sharam-o-haya ka libaas pehno,
5- intezar karna chate ho to mout ka karo,
6- Khatam karna chate hoto nafs ki khuwahish KO khatam karo
Hum rozana inbox kholte hain k humare friends ne Kounse sms bheje hain. Lekin Kiya hum rozana QURAN kholte hain K ALLAH ne humain koun se message diye hain. Sochna zara
wsalam
wase madam pehle yeh baat yahan sare kerne se pehle insaan jo share ker raha hai woh is baat per amal ker raha hai aj tak jab insaan namaz parta hai to kabhi insaan ne yeh socha mere right hand per jaant hai aur left hand per jahnam hai kabhi yeh socha jo namaz main parh raha hoon hosakta hai yeh meri last namaz hoo zindagi main kabhi yeh socha quran parho to tarjome ke sath parho aur amal bhi kero buhat kuch mile ga app ko inshallah wase app ki post buhat achi hai lekin pehle apni taraf dekho