NAIK NIATI
Puranay zamanay may aik bhoorra aur aik jawan dono nay milker aik zameen khareedi...
aur uss mein gandam booee.... khaity jab puk ker tayyar huee .. aur kaTai hochuki...
aur dono apna apna hissa taqseem kernay lagay ... tuo bhorra apna hissa laita aur
chupkay say jawan ki taraf serka daita...
aur kehta kay shayad iski umr may berkat ho aur ussay ziada gandum ki hajat ho..mein tuo
bhorra hochuka hoon ... mujhay ziada gandum ki kya hajat ?
aur jawan apna hissa laita tuo chpkay say wo bhi bhorray ki taraf serka daita ...
aur kehta kay bhorra ayaldar hay ussay ziada gandum derkar hogy...
jun jun ye dono apas mein ye mamala kertay rahay...
gandum berhty gayee... aur khatam honay mein na atee thee....
jab ye dono taqseem kertay kertay thuk gayae tuo dono nay ....
aik dusray ko apni apni niyat bayan ki tuo pata chala kay ye Berkat humari
naik niyati kay baais hay....
Baadshah-e-waqt ko in dono kay iss mamlay ka pata chala tuo uss nay in kay iss
Zakheera gandum say aik dana mangwa ker apnay khazana may rekha..
uss ki Berkat say uss kay khazana mein bhi Berkat paida hogayee...
Naik Niyati say RIZQ mein Berkat paida hoty hay aur bad niati say qahat paida hota hay..
pehlay log aik dusray kay khair khuaa aur eesaar paisha thay..
issy wajha say wo log mAAshi tangi may mubtla na thay..
aur Aaj kal duniya bhar mein bad niaty aur zulm o sitam Aam hay
issi liye sari duniya mAAshi tangi may mubtla hay..
pas humay chahiye kay apnay bhaiyon ki haq talfi na kiya kerain..
balkay hatul imkan dusron par ehsan kerna chahiye.