Help - Search - Members - Calendar
Full Version: Is Shahzada Salman Banned Or Ran...............
HulChul.NET > Religions > Islam
asim10
asa
main nay kafi din baad jab dubara hc join kiya too dekha aik shia hazrat buhat say topic kholay baithay hain. aour kuch dost un ko ban karwana chahtay hain. mairee tamam dostoon say request hay kay kisi ko ban na karwaya karain.kiuon is leyai kay allah nay kaha "haq aa gaiya aour batil mit gaiya,aour batil to mitnay kay leyai hee hay."to mairay dostoo jab hum huq per hain,to phir in shia kay aitrazat say darna kiya.in ke aik aik baat ka aisa moonh toor jawab hay humray pass kay yeh woh jagha he chor jatay hain jahan kowee sunni alim a ja aiy.
[
[quote]is leyai mairee yeh request hay admins say kay agar unhoon nay shahzada sahib ko ban kiya hay to un ko un band kar dain . aour un kee jo post qabilay aitraz hay us ko delete kar dain.[/quote]
MJB
kissi bhi member ke khilaf koi bhi action na tu kissi ke kahney ya mashwarey pe liya jata hey,,,, aur na hi koi iss tarah ban kiya jata hey,,,,, jo bhi action liya jata hey,,,,, wo member ke apney rawaiye ki bunyad pe liya jata hey


asim10
to kiya shahzada sahib ban ho chukay hain
MJB
QUOTE(asim10 @ Jul 5 2008, 12:15 PM) [snapback]2958132[/snapback]
to kiya shahzada sahib ban ho chukay hain

aap ke liye ziada zaroori yeah hey ke na kissi ke kahney pe kissi ko ban kiya jata hey,,, aur hi ban uthaya jata hey

jahan tak salman ka ta'luq hey,,, main ne koi action nahin liya,,,, aur na hi kissi aur ke action ke barey main pata hey
Khalish
salam.gif

Baat yeh hai keh aisa sunni jiss se sunni members bhi be.zaar ho jaaeiN aur aisa shiya jiss se shiya members bhi be.zaar ho jaaeiN .. usska HC se dour rehna he behtar hai.

Islam Section ka maqsad maiN pehle bhi kaee dafa samjha aur bata chuka hooN, hum yahaan apne ilm meiN izzafay ke liye aate haiN na.keh aik dosray ko galiyaaN deyne aur ranjishaiN paida karne.

Khush RahaiN rose.gif rose.gif
asim10
asa
to admins bahi app loog pata nahin kis duniya main jeetay hain,yeh chat fourm to hotay hee is leyai hain kay loog apna apna noqta nazar paish karain.aour dosroon ko apnee islah ka moqa milay.

khalish bahi app kehtay hain...
QUOTE
hum yahaan apne ilm meiN izzafay ke liye aate haiN

plz zara is baat ka matalb bhee bata dain.ilm main izafa kaisay hoo gha.
bahi hum loog apnay naam nihad ulema kay peechay lag kay asal deen say itnay door ho chukay hain kay humaree wapsi kisi na mumkin nazar atee hay.isi qisam kay chat fourms he too hain jin per ikhtilafat ke shakal main sahih baat pata chaltee hay kay kaouns sa fareeq haq baat kar raha hay.
warana agar ilm main izafay ka matlab ikhlaqiyat ka dars daina hay to bahi phir maira yeh khiyal hay kay taqreeban tamam firqay in batoon per mutafiq hain kay , burayee kiya hay aour achayee kiya hay .
bahi asal mamla ko aqaid ka hay. kiya app nahin samjhtay kay agar hum logoon main kisi baat per ekhtilaf hota hay to buhat say logon ke is say islah bhee hotee ho ghee.
kuch loog deen ka buhat ziyda ilm nahin rakhtay hain jab woh hum logoon kay ilmi dalail suntay hoon ghay to unhain apnee islah ka moqa milta ho gha.
bahy sahib yeh sub batain main is leyai keh raha hoon kay mujhay apnee islah ka moqa is qisam kay aik voice chat forum paltalk kay munzara jaat nay diya . is leyai main samjhta hoo plz app iktilafee mozoot ko band karain bulkay app loog admin honay ke haiseyat say judge ka kaam karain . jo sahih baat keh raha hoo us ke tayeeed karain aour jo ghalt baat keh raha hoo us ko us ke ghaltee bata dain . maira yeh dawa hay kay buhat say lgoon ke islah ka zaree ya yeh munzarana post he banain ghee .
haan jo member gali ghalooch karain,ya kisi ilmi ya ghair ilmi shakhsiyat kay khilaf koyee ghaleez zuban istaimal karay,to aisay loogon ke post delete kar dain , yeh hay mairay khiyal main behtar hall.
aik aour baat shia sunni discussion ko to bilkul band na karain , is ke wajah yeh hay kay hum loog jab kisi shia forum per baat cheet kartay hain aour unhain kuch kehna chahtay hain to woh humain ban kar daitay hain.to admin bahio kowee forum ho jahan hum apnay dil ke bhras nikal sakain.aour shia ko woh jawab day sakain jis ka woh tasawar bhee nahin kartay .

CODE
to plz baray mehrbani app shahzad sahib ka ban hata dain takay un say humaree ghuftagoo jaree reh sakay .
Khalish
aagahi daam.e.shanidan jiss qadar chahay bichaaey
mudda.a anqa hai unke aalam.e.taqreer ka !!

jab aap ulama ko he naam.nihaad keh rahe haiN .. tu phir aap meiN isslah ki gunjaaish kyoN kar ho sakti hai?

Jo firqay 1400 saal se dast.o.giraibaaN haiN aap unhaiN kyoN kar sahi aur ghalat saabit karaiNge?

HaaN agar aik dosray per keechar uchaalna he maqsood hai tu koi aur forum daikhiye.
tension_4u
asim 10 app ny bohat achi baat ki

main b aik baat kehna chahta hon k

agar shiya koi topic start kerty hain to hmain b apny dlail dainy chahiyen bcoz ho sakta ha k app k dlail un per koi positive asar krain or wo sahi rah py aa jain
*DhanaK*
khalish bhai salaams
kya banning hui hai?
aur agar haan to auron ko bhi kar dijiye,there are so many.kyunki yahan is waqt bhi is section mein ek say barh kar ek hain,i'll be happy as a member if wholesale mein sab ko ban kiya jaaye.
aur mjb nay kaha unhonay naheen ban kiya to ban karnay ka BIG decision kya individually liya jata hai? yeh to ajeeb baat hai ke aapko bhi naheen pata to phir kiya kisnay and on what grounds.
yeh to members jaanna chahaeingay ke fulaan member ban huwa ya unban aur jawab to admin say ana chahiye.we have the right to know.right?
yahan to Rasool e Khuda,bibi Fatima zehra a's. Imamhusain a's' waqeya e karbala ,Imam Ali a's' sab ko khoob khoob nauzobillah nauzobillah itna ridicule kiya gaya kaun kaun ban huwa?
pehlay say keh rahi hoon ke aisi posts ka sar same time kuchla jaaye,sab hi apnay aqeeday mein emotional hain,sitting on a time bomb ready to explode,so ban each and every shia sunni wahabi qadiyaani who ridicules othwer's aqeedah taakay ham sab dil aazaari jaisay gunaha e kabeer say bhi bachein.
aap nay kaha aur main aapsay muttafiq hoon ke yeh jhhagday nibatnay walay naheen ( though i still pray and still hope and keep hoping,ummeed chorna bhi kufraan e ne'mat.)

shukriya khalish bhai
Gambler1
QUOTE
main nay kafi din baad jab dubara hc join kiya too dekha aik shia hazrat buhat say topic kholay baithay hain. aour kuch dost un ko ban karwana chahtay hain. mairee tamam dostoon say request hay kay kisi ko ban na karwaya karain.kiuon is leyai kay allah nay kaha "haq aa gaiya aour batil mit gaiya,aour batil to mitnay kay leyai hee hay."to mairay dostoo jab hum huq per hain,to phir in shia kay aitrazat say darna kiya.in ke aik aik baat ka aisa moonh toor jawab hay humray pass kay yeh woh jagha he chor jatay hain jahan kowee sunni alim a ja aiy.
is leyai mairee yeh request hay admins say kay agar unhoon nay shahzada sahib ko ban kiya hay to un ko un band kar dain . aour un kee jo post qabilay aitraz hay us ko delete kar dain
Yeh Kis Kisam ka topic hai sumhaj say bahir bhai chattings k leyh yahoo chat room bhi hain msn bhi or bhi koe hongay islamic discussion ka section falto batoon ka nahi mutwater koe na koe araha hai or asal mqasad say public ka mind hata k Behas Baray Behas main zabardasti khenchnay ki koshish karraha hai ..


Asal topics laganay walay sab hath pay hath rakhay app logoon ka yeh tamashah khatam honay ka intezar karrahay hain k
baat agay barhaee jayy ..



QUOTE
in ke aik aik baat ka aisa moonh toor jawab hay humray pass kay yeh woh jagha he chor jatay hain jahan kowee sunni alim a ja aiy


Humnay in k maun nahi torhnay maun torhnay k leyh Medan hota hai maun medano main torhay jatay hain internet pay nahi..
humnay inki or apni islah ki koshish karni hai ..

Nahi mantay tu inki marzi hummay inka aqeeda jo k sara sar kufer pay mabni hai wo apni sunni quam ko dekhana hai thats it




app in topics say Modz or admin ko mushtail karrahay ho humara essay taluq nahi wazay kardoon main sabko admin jis ko chahay
jo behter sumjhayin kar guzrayin .

Jahaan tak tabbarray ki baat hai os pay mainay zaror reports ka option use kia hai adminz or modz ko es taraf tawajjo dilwaee hai
or os pay Teamz nay tawun kia hai hummaray sath .


app ager fareeq banna chatay hain tu wohi kirdar ada karayin jo ek fareeq ka hona chaeyh edher udher ki batein
logoon ka zehan kharab karsakti hain essay ziyada kuch nahi na khodh aysa karayin na dosroon ko moqa dayin..

Serf last line apki sahi hai k

QUOTE
aour un kee jo post qabilay aitraz hay us ko delete kar dain


jo qablay etraz post apko dekhay oski taraf app Hc ki team ko tawajo dilwayin baqi inka kam hain behter jantay hain yeh humsay.


Sab brother nd sisters say mazrat ager kise ko sakhti lagi ho mere baat main tu khososan asim say...

JazakAllah
wsalam
asim10
name='Khalish' date='Jul 6 2008, 01:37 AM' post='2958710']

QUOTE
jab aap ulama ko he naam.nihaad keh rahe haiN .. tu phir aap meiN isslah ki gunjaaish kyoN kar ho sakti hai?
YAAR KHALISH BAHI APP SAY MUJHAY IS QISAM KAY EKHLAQ KE TWAQOO NAHIN THEE.MAIN NAY UELMA KO NAAM NIHAD NAHIN KAHA BULKAY NAAM NIHAD ULEMA KAHA HAY , AOUR MERA KHIYAL HAY KAY DONO MAIN BUHAT FARAQ HAY. MAIN YAHAN BUHAT SAY ULEMA KA NAAM PAISH KAR SAKTA HOON MAGAR MAIN NAY KHUD KAHA KAY KISI KA NAAM LAIKAR BAAT NA KEE JAA AIY.
DOSREE BAAT KAY HER SHAKHS MAIN ISLAH KE GHUNJAISH HOTEE HAY , MAGAR JIS TARHA APP HUM PER APNEE MARZEE MUSLAAT KARNA CHAHTAY HAIN US TARHA ISLAH TO NAHIN SIRF EKHTILAF HO SAKTA HAY.


QUOTE
Jo firqay 1400 saal se dast.o.giraibaaN haiN aap unhaiN kyoN kar sahi aur ghalat saabit karaiNge?

Kkahlish bahi phir app nay shayad aisay logon ko nahin dekha ho gha jo isi qisam kay munazarana behsoon ke wajah say sahih rastoon per aa yai.
berhall main nay kowee ghalat baat nahin kee jis ka app nay itna sakht jawab diya. is behtar hall yeh hay kay app is silsilay main members ke aik polling karwa lain .

gambler wrote.
QUOTE
Humnay in k maun nahi torhnay maun torhnay k leyh Medan hota hai maun medano main torhay jatay hain internet pay nahi..
humnay inki or apni islah ki koshish karni hai ..

bahi app pata nahin kis baat ka ghusa kar gayai.moun toor jawab aour moaun tornay main buhat faraq hay mairay bahi aour yeh app achi tarha samjh saktay hain mujhay bata nay ke zaroorat nahin . yahan per jawab he diya ja sakta hay moon nahin tora ja sakta . main to sirf mahawratan yeh baat kee ,amlan nahin.

hairat ke baat hay gambler bahi mairee saree post ka maqsad hee yeh tha jo app nay aik line main likh diya,aour phir bhee mujh per ait raz hairat hay yaar
*RAJA*
yahan to Rasool e Khuda,bibi Fatima zehra a's. Imamhusain a's' waqeya e karbala ,Imam Ali a's' sab ko khoob khoob nauzobillah nauzobillah itna ridicule kiya gaya kaun kaun ban huwa?
sister only aik hiwala dey dain.........................
buss
kis nay eysi batain kain?
only aik hawala or member ka naam....................



Reehab
WALLAh hi Muhskilla.. wessy to may new member hoon is liya nahi pata kay kiya howa aur kiya nahi. may yeh kehna chahoonga kay. first jo posts humary Ambyah (AS) hamary Sahab ikram (RA) oliya ikran (RA) Jayed Ulma Ikram per koyee galet baat kary us ko delete ker diya jaye ya edit ker diya jaye. but members ko ban na kiya jaye. ALLHAMDULLILLAH hum sub may itna ilma hay kay us ka jawab diya jasakta hay. may khud iek to Alimnahi hoon per itna ilm hay kay us ka jawab day sakta hoon per ikhlaque kay daiery may reh ker. kissiki toheen na hoo is ko maday nazer rakhty howy . actually jo din sy bhtkay hoty hien. woh aker esi herkat kerty hien . mery khiyla may itna kafi hay koyee galet baat keh di ho to i oppologies .
JAZAKALLAH khier
This is a "lo-fi" version of our main content. To view the full version with more information, formatting and images, please click here.
Invision Power Board © 2001-2008 Invision Power Services, Inc.